*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum
Zaid Wazu Karke Masjid Me Aaya To Imam Ruku Me Tha To Zaid Ne Bagair Aastin Utare Ruku Me Chala Gaya Aur Ruku Se Uthne Ke Baad Apni Aastin Sahi Ki To Zaid Par Kiya Hukum Hai ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aasteen Bagair Utare Or Mod Kar Namaz Padhna Makroohe Tahreemi He.. Bahare Shariyat Me He Koi Aasteen Aadhi Kalai Se Zyada Charhi Hui, Ya Daaman Samete Namaz Padhna Makroohe Tahreemi He, Khwah Peshtar Se Charhi Ho Ya Namaz Me Charhaai..
Neez Zaid Ne Ruku'a Se Uthne Ke Baad Aasteen Utaari He Agar Utarne Me Amale Kaseer Na Ho To Namaz Na Gai Or Agar Amale Kaseer Ho Gaya To Namaz Jaati Rahi...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️16 March 2023, 23 Shabanul Muazzam 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment