Likoria Bimari Wali Aurar Ko Namaz Ka Hukm Or kapdo Ki Paaki Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hazrat Ye Mas'ala Hal Farma Dai Ki Jis Aurat Ko Likoria Safed Paani Ki Shikayat Ho To Uske Liye Namaz Ka Kya Hukm He ?

Kya Har Namaaz Ke Waqt Kapda Badalna Padega Ya Sirf Wuzu Karke Usi Kapde Me Namaz Ada Kare. ? Ya Kapda Hi Napaak Ho Jayga ??

Or Agar Ye Shikayat Halate Namaz Me Bhi Jaari Rahe To Kya Hukm He ? Jitna Mumkin Ho Jald Rahenumai Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khalis Ratoobat Jo Aurat Ke Aage Ke Maqam Se Nikalti He Agar Us Me Khoon Ki Bilkul Aamezish Na Ho To Wo Paak He, Jis Kapde Me Lage Wo Kapda Pak He Us Kapde Me Namaz Padhna Durust He. Albtta Koi Kapda Wagairah Rakh Le Taki Darmiyan E Namaz Kasrat Se Paani Aane Ke Sabab Wahshat Na Ho. Our Us Kapde Ko Dho Lena behtar He...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Aurat Ke Aage Se Jo Khalis Ratoobat Be Aamezishe Khoon Nikalti He Naqise Wuzu Nahiñ, Agar Kapde Me Lag Jaye To Kapda Paak He.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Wuzu Todne Wali Cheezoñ Ka Bayan, Mas'ala-4)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️16 March 2023, 23 Shabanul Muazzam 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts