Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Badmazhab Ka Likha Kalaam Padhna Kesa Jabki Usme Sharai Giraft Bhi Na Ho ??

 *🌹SAWAL:-🌹*
Naat Shareef/Mankabat Likhne Wala Ahle Sunnat Se Naho To Use....

Qa. Padh Ya Sun-Sakte He....???

Qb. Aalime Din Ko Us Kalam Me Koi Sharre Giraft Napaee Phir Us Ka Sunna Ya Padhna Likhna ....???

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Naat Shareef Ya Manqabat Likhne Wale Agar Sunni Nahiñ He To Unki Ye Naat Ya Manqabat Allah Ki Bargah Me Bhi Maqbool Nahiñ He.. Jab Allah Ki Bargah Me Maqbool Nahiñ To Bhala Ham Unki Naato Ko Sun Kar Ya Suna Kar Kyuñ Maqbool Kare ? 

Allah Irshad Farmata He,
وَقَدِمْنَا إِلَىٰ مَا عَمِلُوا مِنْ عَمَلٍ فَجَعَلْنَاهُ هَبَاءً مَّنثُورًا
*📚(Surah Furqan, Aayat-23)*
Yaani Jo Kuchh Unhone Aamal Kiye Hamne Sabko Bikhra Hua Reza Kar Diya...

Is Liye Un Hazraat Ki Koi Bhi Neki Allah Ki Bargah Me Qubool Nahiñ, Chahe Naat Shareef Ho, Ya Manqabat Ho Ya Kisi Aur Soorat Me... Jab Indallah Maqbool Nahiñ To Ham Kyuñ Maqbool Rakheñge.. Is Liye Ham Unki Naat Ya Manqabat Nahiñ Sunte..

Dusra Ye Ki, Hazrat Imam Muhammad Ibne Sireen Radiallahu Anhu Ki Bargah Me Kadri Aaye, Yaani Jo Taqdeer Ka Inkaar Karne Wale He, Girohe Kadriyah Ke Log, Or Vahañ Imam Muhammad Ibne Sireen Radiallahu Anhu Ki Bargah Me Unhoñ Ne Qura'an Shareef Parhna Shuru'a Kiya.. Aapne Farmaya: Ya To Tum Qura'an Shareef Band Karo Ya Phir Meñ Uth Kar Ke Chala Jaauñ, Unhone Kaha Ki Ham Qura'an Hi To Parhte He, Jo Tumhare Nabi Par Allah Ki Janib Se Kalam Nazil Hua Vahi To Ham Parhte He, Sunne Me Kya Harj He ? Ham Kahañ Apni Taraf Se Kuchh Tafseel Karte Hai Balki Qura'an Hi To Apni Zaban Se Parhte He... Aap Ne Farmaya Suno ! Mujhe Andesha He Ki Kahiñ Me Qura'an Tumhari Zubaan Se Sun Luñga To Kahiñ Aysa Na Ho Ki Mere Dil Me Tumhari Azmat Paida Ho Jaye Or Mera Aimaan Barbaad Ho Jaye... 

To Ye Badmazhaboñ Ki Zubaan Se Naato Manqabat Ki Baat Nahiñ Kalamullah Ki Baat He, Jo Allah Ne Apne Habeeb Par Nazil Farmaya, Vo Tak Badmazhaboñ Ki Zubaani Sunne Se Mana'a Kiya Gaya He... Kahiñ Aysa Na Ho Ki Uski Aawaz Ki Kashish Ke Chakkar Me Uski Azmat Dil Me Paidah Ho Jaye Or Aimaan Barbaad Ho Jaye...
Jab Kalaamullah Jiska Naazil Karne Wala Allah Tabarak W Ta'ala He Jab Isko Badmazhaboñ Ki Zabaan Se Sunne Se Mana'a Kiya Gaya He Chejayeke Ye Naat Or Ye Manqabat Jinke Likhne Wale Khud Agar Ye Badmazhab Hoñ Bhala Unka Sunna Kese Jaaiz Hoga ?

Teesra Ye Ki, Vo Is Naat Or Manqabat Likhne Me Jhutha He... Agar Waqaee Uske Dil Me Huzur ﷺ Ki Muhabbat Hoti Awliya E Kiram Ki Muhabbat Hoti, Allah Ki Muhabbat Sahih Ma'ana Me Hoti To Kyuñ Aimaan Laakar Sunni Sahihul Aqeedah Musalaman Nahiñ Ho Jata... Kyuñ Apne Galat Aqaaid Se Taubah Karke Sunni Nahi Ho Jata... Agar Vo Na'at Or Manqabat Likh Kar Ke Bhi Apni Badmazhabiyat Par Qaaim He, Ya Apne Kufr Par Qaaim He, Momin Nahiñ.. Badmazhab He To Fir Uska Ye Naat Likhna Kya Kaam Aayega Use Nijaat Dilane Ke Liye ? Vo To Jo Ki Numaaish Karta He Logoñ Se Huqooq Banane Ke Liye... Agar Waqaee Vo Un Baatoñ Ko Maanta Jo Naat Shareef Me Mazkoor He To Khud Hi Sunni Ho Jata.. 

Pata Chala Ki Jab Vo Naat Shareef Ya Manqabat Ko Jisme Koi Sharai Giraft Nahiñ He Vo Khud Likh Kar Ke Bhi Sunni Nahiñ Huaa, Or Uski Naat Shareef Me Jo Usne Baate Bayan Ki Usko Sidq Dil Se Vo Khud Nahiñ Manta To Bhala Ham Uski Jhuthi Numaaish Ko Kyuñ Sune....
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina, Khambhaliya Gujarat*
*🗓️9 Apr 2023, 17 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...