Roza Me Kufriya Kalimaat Bakne Par Roza Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu'alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh

Agar Koi Shaks Roze Ke Halat Mei Kufriya Kalimat Kahe Fir Baad Me Kalima-e-tayyab(Shahada) Pade Toh Aab Uska Roza Rahega Ya Nhi

Is Sawal Per Rahnumai Farmaie

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kalma E Kufr Laa Ilmi Ki Wajah Se Bak Diya To Vo Mazoor Na Hoga Or Us Par Hukme Kufr Naafiz Hoga. 

Jaisa Ki Fatawa Aalamgiri Kitabus Seer Baabul Marqah Me He,
ومن أتى بلفظة الكفر ، وهو لم يعلم أنها كفر إلا أنه أتى بها عن اختيار يكفر عند عامة العلماء خلافا للبعض ، ولا يعذر بالجهل كذا في الخلاصة . اهـ .
Kahne Wale Ko Taubah Tajdeede Imaan, Biwi Rakhta Ho To Tajdeede Nikah Ka Hukm He. Or Ehtiyatan Roza Ki Bhi Qaza Kare...

Fatawa Hindiya Me He,
ما كان في كونه كفرا اختلاف فإن قائله يؤمر بتجديد النكاح وبالتوبة والرجوع عن ذلك بطريق الاحتياط
والله اعلم بالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Shahabuddin Misbahi Sahab*
*📬Darul Uloom Shahe Aalam Ahemdabad*
*🗓️26 March 2023, 3 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts