Shayar Ka Aysi Mahfil Me Shirkat Karna Jahañ Badmazhab Bhi Ho ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum

Zaid Shayer Hai Aur Ishq E Mijazi Wali Gazle Padhta Hai, Aur Aise Mushairo Mai Shirkat Karta Hai Jahan Wahabi Rafzi Deobandi BadMazhab Shayer Ate Hai, Aisi Mehfilo Mai Zaid Ka Shirkat Karna Aur Aisi Mehfilo Ka Nazrana Lena Kaisa Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aysi Majlis Ya Mushayra Jis Me Wahabi Deobandi Wagairah Firqha E Baatila Shamil Hote Hoñ Aysi Majlisoñ Me Shareek Hona Kisi Ke Liye Bhi Jaaiz Nahiñ.. Unke Sath Ahle Sunnat Jesa Muamla Halaal Nahiñ... Unse Mel Jhol Nashisto Barkhaast Salamo Kalaam Sab Haraam He...

Allah Tabarak W Ta'ala Qura'ane Paak Me Irshad Farmata He,
 وَإِمَّا يُنسِيَنَّكَ الشَّيْطَانُ فَلَا تَقْعُدْ بَعْدَ الذِّكْرَىٰ مَعَ الْقَوْمِ الظَّالِمِينَ
Yaani Or Jo Kahiñ Tujhe Shaitan Bhula Ve To Yaad Aaye Par Zaalimoñ Ke Paas Na Beth..
*📚(Surah An'aam, Aayat-68)*

Hadees Shareef Me He, 
Nabi E Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: 
وَلَا تُجَالِسُوهُمْ تُؤَاكِلُوهُمْ وَلَا تُشَارِبُوهُمْ وَلَا تُنَاكِحُوهُمْ ، وَلَا تُصَلُّوا عَلَيْهِمْ وَلَا تُصَلُّوا مَعَهُمْ، 
Yaani Tum Un Badmazhaboñ Ke Sath Na Betho, Na Unke Sath Khana Khao, Na Unke Sath Paani Piyo, Na Unke Sath Shadi Biyah Karo Bimar Pade To Unhe Puchhne Na Jaao, Mar Jaye To Unke Janaza Me Na Jana Un Par Namaz Na Padhna..

Is Aayate Kareema Or Hadees Shareef Ki Roo Se Sunni Sahihul Aqeedah Musalman Shayar Ko Hargiz Hargiz Aysi Majlisoñ Me Jaana Jaaiz Nahiñ He.. Ashad Haraam He, Imaan Ko Khatre Me Daalna He, Lihaza Mazkoora Shayar Taubah Kare Or Jo Bhi Nazrana Haasil Hua Usko Garibo Faqeero Me Taqseem Farma De...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️25 March 2023, 2 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts