Ye Kahna Ki 'Hazrat Abu Bakar Zahiri Khilfa E Awwal The Batini Khalifa E Awwal Hazrat Ali The'... Radde Shia

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Aulma E Kiram Wa Muftiyane Izan Ki Bargah Me Suwal He Ke Kuch Sunni Kehlane Vale Pir Or Khutba Ye Bayan Karte He Ke Hazrat Abubakar Siddiq Zahiri Tor Par Khilafat Me Awwal He Lekin Roohani Or Batini Tor Par Hazrat Ali Awwal Khalifa He To Kiya Ye Durust He Iski Kiya Hakikat He Quran Or Hadees Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmaye Or Aehle Sunnat Ka Kiya Mokif Ye Ye Bhi Dalali Ki Roshni Me Vajeh Farmaye

Or Kitabo Ke Scan Bhi Mil Jayeto Badi Mehrbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ahle Sunnat W Jama'at Ka Salfan Khalfan Aqeedah Raha He Ki Ambiya Or Rasool Ke Baad Sabse Afzal Shakhs Hazrat Abu Bakar Phir Umar Phir Usman Phir Maula Ali Radiallahu Anhum Hai.. Or Yahi Khilafat Ki Tarteeb, Or Yahi Hazrat Abu Bakar Siddique Khalifa E Awwal Bar Haq He Batini W Zahiri He..... Or Agar Batini Khilafat Maula Ali Ki Hoti To Vo Hargiz Hazrat Abu Bakar W Umar Ki Ita'at Ya Bay'at Na Karte Balki Haqiqat Ko Wazeh Karne Ke Liye Unke Khilaf Jate..... Lekin Aysa Nahiñ He, Balki Uske Bar Aqs Maula E Qainat Hazrat Ali Karramallahu Ta'ala Wajahhul Kareem Ne Hazraate Shaikhain Yaani Hazrat Abu Bakar W Umar Ki Baaraha Fazilat Bayan Ki Afzaliyat Bayan Ki Unki Ita'at Ki Unki Bay'at Ki, Balki Ahle Bayte At'har Or Tamaam Sahaba E Kiram Ka Is Par Ijma Raha Ki Ambiya W Rasool Ke Baad Sabse Afzal Hazrat Abu Bakar He Or Wahi Zahiri W Batini Khalifa E Awwal He...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,
Baad Ambiya W Mursaleen, Tamam Makhlooqate Ilahi Inso Jin W Malak Se Afzal Siddique Akbar Hai, Phir Umar Farooque Aazam, Phir Usmane Gani, Phir Maula Ali Radiallahu Anhum.

Mazeed Farmate Hai,
Tamam Awliya E Muhaddiseen Me Sabse Zyada Qurbe Ilahi Me Khulfa E Arba'aa Radiallahu Anhum Hai Or Unme Tarteeb Wahi Tarteebe Afzaliyat He, Sabse Zyada Ma'arefat W Qurb Siddique Akbar Ko He, Phir Farooqe Aazam, Phir Zunnoorain, Phir Maula Murtaza Ko رضی ﷲ تعالیٰ عنم اجمعین Haañ Martaba E Takmeel Par Huzure Aqdas ﷺ Ne Jaanibe Kamalate Nabuwwat Hazraate Shaikhain Ko Qaaim Farmaya Or Jaanibe Kamalate Wilayat Hazrat Maula Mushkil Kusha Ko. To Jumla Awliya E Ma Baad Ne Maula Ali Hi Ke Ghar Se Ne'amat Paai Or Unhiñ Ke Daste Nigar The, Or Hai Or Raheñge..
*📚(Bahare Shariyat, Wilayat Ka Bayan)*

Aarif Billah Shaikhe Akbar Muhiyuddin Ibne Arbi Alaihir Rahma Apni Ma'aroof Kitab Futoohaate Makkiya Me Farmate Hai,
Un Awliya Me Se Vo Log Bhi Hai Jinke Liye Ek Zahiri Hukm Hota He Or Unke Liye Jaise Khilafat Zaahira Hoti He Isi Tarah Khilafate Baatina Bhi Hoti He, Jaise Abu Bakar, Umar, Usman, Ali.. الخ
*📚(الفتوحات المکیہ باب 73ص297)*

Shaikhe Akbar Muhiyuddin Ibne Arbi Alaihir Rahma Ki Is Ibarat Se Maloom Huva Ki Saiyduna Siddique Akbar Samet Baqiya Teenoñ Khulfa Jaise Zaahiri Khilafat Se Muttasaf The Usi Tarah Batini Khilafat Se Bhi Muttasaf The Or Jo Urooj W Kamaalat Khilafate Zahira Me Hasil Tha Aysa Hi Kamaal Khilafate Baatina Me Bhi Hasil Tha.. Isse Un Logoñ Ko Sabaq Lena Chahiye Jo Khilafate Zahiri W Batini Ka Raag Alapte Hai...

Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Ahle Sunnat W Jama'at Ka Ijma'a He Ki Mursaleene Malaaika W Rasool W Ambiya E Bashar صلوات اللہ تَعَالٰی وتسلیماتہ علیہم Ke Baad Hazraate Khulfa E Arbah رضوان اللہ تَعَالٰی علیہم Tamam Makhlooqe Ilaahi Se Afzal Hai. Tamam Umame Awwaleen W Aakhireen Me Koi Shakhs Unki Buzurgi W Azmat W Izzat W Wajaahat W Qubool W Karamat Q Qurb W Wilayat Ko Nahiñ Pahunchta..

Phir Unme Baaham Tarteeb Yuñ He Ki Sabse Afzal Siddique Akbar, Phir Farooqe Aazam Phir Usmane Gani, Phir Maula Ali صَلَّی اللہ تَعَالٰی علی سیدہم،  ومولا ہم وآلہ وعلیہم وبارک وسلم

Imam Bukhari رحمۃ اللہ تَعَالٰی علیہ  Hazrat Muhammad Bin Hanfiya Shahzada E Janabe Ameerul Mo'amineen Ali Radiallahu Anhuma Se Raawi,
قال: قلت لأبي: أيّ الناس خیرٌ بعد النبي صلی اللّٰہ تَعَالٰی علیہ وسلم؟ قال: ((أبو بکر: قال: قلت: ثم من؟ قال: عمر))۔
Yaani Mene Apne Walide Maajid Ameerul Mo'amineen Maula Ali Karramallahu Wajahu Se Arz Kiya: Ki RasoolAllah ﷺ Ke Baad Sab Aadmiyoñ Se Bahetar Kon Hai ? Irshad Farmaya: Abu Bakar, Mene Arz Kiya Phir Kon ? Farmaya : Umar..
*📚(صحیح البخاري‘‘:کتاب فضائل أصحاب النبي صلی اللّٰہ علیہ وسلم:الحدیث: ۳۶۷۱: ج۲: ص۵۲۲۔)*

Abul Qasim Kitab Sunnah Me Janabe Alqama Se Raawi,
بلغ علیّا أنّ أقواماً یفضّلونہ علی أبي بکر وعمر فصعد المنبر فحمد اﷲ وأثنی علیہ ثم قال: أیہا الناس! ((أنّہ بلغني أنّ أقواماً یفضّلوني علی أبي بکر وعمر ولو کنت تقدمت فیہ لعاقبت فیہ فمن سمعتہ بعد ھذا الیوم یقول ھذا فھو مفتر: علیہ حد المفتري: ثم قال: إنّ خیر ھذہ الأمۃ بعد نبیہا صلی اللّٰہ تَعَالٰی علیہ وسلم أبو بکر ثم عمر ثم اﷲ أعلم بالخیر بعدہ: قال: وفي المجلس الحسن بن علي فقال: واﷲ لو سمّی الثالث لسمی عثمٰن))۔
Yaani Janaabe Maula Ali Ko Khabar Pahunchi Ki Log Unhe Hazraate Sheikhain رَضِیَ اللہ تَعَالٰی عَنْہُما Par Tafzeel Dete (Or Hazrat Maula Ali Ko Unse Afzal Batate) Hai, Pas Mimbar Par Tashreef Le Gaye Or Allah Ki Hamdo Sana Ki Phir Farmaya: Ay Logo! Mujhe Khabar Pahunchi Ki Kuchh Log Mujhe Abu Bakar W Umar Se Afzal Batate Hai Or Agar Mene Pahle Se Suna Hota To Use Me Saza Deta Yaani Paahli Baar Tafheem Par Qana'at Farmata Huñ Pas Is Din Ke Baad Jise Aysa Kahte Sunuñga Go Vo Maftari (bohtan Bandhne Wala) He Us Par Maftari Ki Had Lazim He, Phir Farmaya: Beshak Bahetar Is Ummat Ke Baadun-Nabiyyi  ﷺ Ke Abu Bakar Hai, Phir Umar, Phir Khuda Khoob Janta He Bahetar Ko Unke Baad, Or Majlis Me Imam Hasan (Radiallahu Anhu) Bhi Jalwa Farma The Unhone Irshad Kiya: Khuda Ki Qasam ! Agar Tisre Ka Naam Lete To Usman Ka Naam Lete..
*📚(إزالۃالخفاءعنخلافۃالخلفاء‘‘ بحوالہأبيالقاسم مسند علي بن أبي طالب: ج۱: ص۶۸۔)*

Daar Qutni Ki Riwayat Me He,
Irshad Farmaya,
دخلنا علٰی رسول اللہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم فقلنا یارسول اللہ استخلف علینا قال لا، ان یعلم اللہ فیکم خیرا یول علیکم خیرکم قال علی رضی اللہ تعالٰی عنہ فعلم اللہ فینا خیرا فولی علینا ابابکر (رضی اللہ تعالٰی علیہم اجمعین؂ )
Hamne Khidmate Aqdas Huzur ﷺ Me Haazir Ho Kar Arz Ki: Ya RasoolAllah ﷺ Ham Par Kisi Ko Khalifa Farma Dijye, Irshad Huva: Na, Agar Allah Ta'ala Tumme Bhalaai Jaanega To Jo Tum Sab Me Bahetar He Use Tum Par Waali Farma Dega. Hazrat Maula Ali Karramallahu Ta'ala Wajahhu Ne Farmaya: Rabbul Izzatﷻ Ne Ham Me Bhalaai Jaani Pas Abu Bakar Ko Hamara Waali Farmaya..
*📚(الصواعق المحرقہ بحوالہ الدارقطنی الباب الاول الفصل الخامس دارالکتب العلمیۃ بیروت ص۷۰)*

Imaam Is'haaq Bin Raahwiya W Daar Qutni W Ibne Asaakir Wagairahum Batriqe Adeedah W Asaanide Kaseerah Raawi,

Do Shakhsoñ Ne Ameerul Mo'amineen Maula Ali Karramallahu Wajahu Se Unke Zamana E Khilafat Me Darbara E Khilafat Istafsaar Kiya
اعھدعھدہ الیک النبی صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم ام رائ رایتہ 
Kya Ye Koi Ohada W Qaraar Daad Huzure Aqdas ﷺ Ki Taraf Se He Ya Aap Ki Raaye He, Balki Hamari Raay He,
اما ان یکون عندی عھد من النبی صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم عھدہ الی فی ذٰلک فلا، واللہ لئن کنت اول من صدق بہ فلاکون اول من کذب علیہرہ
Ye Ki Asbaab Me Mere Liye Huzur Poornoor  ﷺ Ne Koi Aohda  Qaraar Daad Farmaya Ho So Khuda Ki Qasam Aysa Nahiñ Agar Sabse Pahle Mene Huzur Ki Tasdeeq Ki To Me Sabse Pahle Huzur Par Iftara Karne Wala Na Huñ Ga 
ولو کان عندی منہ عھد فی ذٰلک ماترکت اخابنی تیم بن مرۃ وعمر بن الخطاب یثوبان علٰی منبرہ ولقاتلتھما بیدی ولولم اجد الابردتی ھذہ
Or Agar Asbaab Me Huzur  ﷺ Ki Taraf Se Mere Paas Koi Ohda Hota To Me Abu Bakar W Umar Ko Mimbare At'hare Huzure Aqdas ﷺ Par Jast Na Karne Deta Or Beshak Apne Hath Se Unse Qitaal Karta Agarche Apni Is Chadar Ke Siwa Koi Sathi Na Pata,
ولٰکن رسول اللہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم لم یقتل قتلا ولم یمت فجأہ مکث فی مرضہ ایاما ولیا لی یاتیہ المؤذن فیؤذنہ بالصلاۃ فیا مرا بابکر فیصلی بالناس وھو یری مکانی ثم یاتیہ المؤذن فیؤذنہ بالصلاۃ فیامر ابابکر فیصلی بالناس وھو یری مکانی
Baat Ye Hui Ki RasoolAllah ﷺ Ma'azallah Kuchh Qatl Na Huve Na Yakaakak Inteqaal Farmaya Balki Kai Din Raat Huzur Ko Marz Me Guzre, Moazzin Aata Namaz Ki Itla'a Deta, Huzur Abu Bakar Ko Imamat Ka Hukm Farmate Halaanki Me Huzur Ke Peshe Nazar Maujud Tha Phir Mo'azzin Aata Itla'a Deta Huzur Abu Bakar Ko Imamat Dete Halanki Me Kahiñ Gaaib Na Tha..
ولقد ارادت امرأۃ من نسائہ ان تصرفہ عن ابی بکر فابی وغضب وقال "انتن صواحب یوسف مرواابابکر فلیصل بالناس
Or Khuda Ki Qasam Azwaaje Mutahharaat Me Se Ek Bibi Ne Is Muaamla Ko Abu Bakar Se Pherna Chaha Tha, Huzure Aqdas ﷺ Ne Na Maana Or Gazab Kiya Or Farmaya Tum Wahi Yusuf Alahis Salam Waaliyañ Ho Abu Bakar Ko Hukm Do Ki Imamat Kare.
فلما قبض رسول اللہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم نظر نا فی امورنا فاخترنا لدنیا نامن رضیہ رسول اللہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم لدیننا فکانت الصلٰوۃ عظیم الاسلام وقوام الدین ، فبایعنا ابابکر رضی اللہ تعالٰی عنہ فکان لذٰلک اھلالم یختلف علیہ منا اثنان
Pas Jabki Huzur Poornoor ﷺ Ne Inteqaal Farmaya Hamne Apne Kaamoñ Me Nazar Ki To Apni Dunya Yaani Khilafat Ke Liye Use Pasand Kar Liya Jise RasoolAllah ﷺ Ne Hamare Deen Yaani Namaz Ke Liye Pasand Farmaya Tha Ki Namaz To Islam Ki Buzurgi Or Deen Ki Durusti Thi Lihaza Hamne Abu Bakar Radiallahu Anhu Se Bay'at Ki Or Vo Uske Laaiq The Ham Me Kisi Ne Is Baara Me Khilaf Na Kiya. Ye Sab Kuchh Irshad Karke Huzur Maula Ali Karramallahu Wajahu Ne Farmaya:
فادیت الٰی ابی بکر حقہ وعرفت لہ طاعتہ وغزوت معہ فی جنودہ وکنت اٰخذ اذا اعطانی واغزو اذا غزانی واضرب بین یدیہ الحدودبسوطی ۱؂۔
Pas Mene Abu Bakar Ko Unka Haq Diya Or Unki Itaa'at Laazim Jani Or Unke Sath Ho Kar Unke Lashkaroñ Me Jihaad Kiya Jab Vo Mujhe Baytul Maal Se Kuchh Dete Me Le Leta Or Jab Mujhe Ladaai Par Bhejte Me Jata Or Unke Samne Apne Taaziyana Se Had Lagata..
*📚(تاریخ دمشق الکبیر ترجمہ ۵۰۲۹ علی بن ابی طالب رضی اللہ تعالٰی عنہ داراحیاء التراث العربی بیروت ۳۳۷/۴۵ تا ۳۳۹)*
*📚(الصواعق المحرقۃ بحوالہ الدارقطنی وابن عساکر واسحٰق بن راہویہ الباب الاول الفصل الخامس دارالکتب العلمیۃ ص۷۰تا۷۲)*

Mazeed Tafseel W Hawaala Jaat Ke Liye Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ka Risala *📚(Fatawa Razviya, J-28)
رسالہغایۃ التحقیق فی امامۃ العلی والصدیق (۱۳۳۱ھ)
Ka Muta'ala Farmaye,

In Tamam Hawala Jaat Se Sabit Ki Khud Maula Ali Karramallahu Ta'ala Wajahhul Kareem Bhi Hazrat Abu Bakar Siddique Ko Ambiya W Rasool Ke Baad Sabse Afzal Mante He... Or Khilafat Zahiri Ho Ya Batini Uske Bhi Haqdaar Sabse Pahle Hazrat Abu Bakar Ko Hi Mante... 

Or Huzur ﷺ Ne Hazrat Abu Bakar Ki Khilafate Zaahiri Ke Pahle Aapko Mussale Par Imamat Ke Liye Aage Badhaya, Khilafate Zahiri Se Pahle Hi Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Me Kisi Ko Apna Khalil Banata To Abu Bakar Ko Banata,Khilafate Zahiri  Se Pahle Hi Farma Diya Tha Ki Allah Or Momineen Abu Bakar Ke Siwa Kisi Or Ke Liye Raazi Na Honge... Isse Badi Kya Deleel Hogi... Yahi Aqeedah E Ahle Sunnat He Ki Khalifa E Awwal Batini W Zahiri Hazrat Abu Bakar Siddique Radiallahu anhu He.., Or Jo Log Khilafate Batina W Zahira Karte He Unke Paas Koi Daleel Nahi... Balki Kya Hi Bure Log He Vo Jo Maula Ali Ko To Mante He Balki Maula Ki Nahi Mante... Maula Ali Se Muhabbat Ka To Dawa He Lekin Unke Qaul W Fe'al Ko Qubool Nahiñ... Allah Hidayat De
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️22 March 2023, 29 Shabanul Muazzam 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts