*_6 Mahina Baad Qarza Chukana Ho To Qurbani Wajib Hogi ?_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamo Alekum Hazrat Aalime Din Ki Bargha Me Mera Ek Swal He.. Zed Ke Pass Kuch Takriban 2 Lakh Rupye He.. Jo Use 6 mahine Ke Baad Qarze Ke Tor Par Chukane He.. To Zaid Par Qurbaani Farz He Ya Nhi...
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Filhaal Us Par Qarza He Or Ye Raqam Qarze Se Zaaid Nahiñ He Balki Agar Is 2 Lakh Se Qarza Minhaa (Mines) Kare To Fir Malike Nisaab Na Rahega To Fir Us Par Qurbani Wajib Nahiñ He.. Lekin Agar Filhaal Us Par Qarza Nahiñ He Or Ayyame Qurbani Me Ye Raqam Uske Paas He Agarche Usko 6 Mahine Ke Baad Kharch Karna Ho Ya Qarze Me Chukani Ho To Fir Jab Vo Ayyame Qurbani Me Malike Nisab He Or Koi Qarza Wagairah Bhi Nahiñ He Tab To Fir Uspar Qurbani Wajib Zaroor Hogi..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️8 July 2023, 19 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.Sgrp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment