Namaz Me Ruku'a Sajda 'Allahu Akbar' Kahne Ke Sath Kare Ya Baad Me Ya Pahle

 *Namaz Me Ruku'a Sajda 'Allahu Akbar' Kahne Ke Sath Kare Ya Baad Me Ya Pahle*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اَللّٰهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Aap Ki Bargah Mai Sawal Hai Ki Namaz Mai Buland Awaz Mai Allahu Akbar Bolne Ke Baad Haat Uthake Niyyat Kare , Allahu Akbar Kahne Ke Baad Ruqu Mai Jayenge , Allahu Akbar Kahne Ke Baad Sajda Karenge Ya Allahu Akbar Kahne Ke Saath Hi Saath Niyyat Mai Hat Bandhenge , Ruku Mai Jayenge Sajda Karenge , Ya Pahle Haath Bandhenge , Ruku Mai Jayenge Sajda Karenge Fir Allahu Akbar Kahenge ? Konsa Sahi Tariqa Hai Imam Aur Musalli Ke Liye , Hadees Ki Roushni Mai Boliye Meherbani .

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Takbeerate Inteqal Yaani Namaz Me Ek Haalat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hote Waqt Jo Takbeer Kahi Jaati He, Yuñhi Ruku'a Se Uthte Waqt Tasmee'a Yaani Samee'a Allahu Liman Hamidah Kaha Jata He, in Tamam Me Sunnat Ye He Ki Jab Ek Halat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hone Lage Maslan Qayam Se Ruku'a Ki Taraf Jaane Lage to Us Waqt Takbeer Yaani Allahu Akbar Ke "Alif" Se Aagaz Kare or Jaise Hi Halat Tabdeel Ho Jaye Maslan Qayam Se Ruku'a Me Pahunch Jaaye to Takbeer Khatam W Mukammal Karde. Sawal Me Mazkoor Donoñ Tareeqe Yaani Mukammal Takbeer Isi Saabqa Halat (Maslan Qayam) Me Kah Kar Phir Khamoshi Se Ek Halat Se Dusri Halat (Maslan Qayam Se Ruku'a) Ki Taraf Muntaqil Hona or Ek Halat Se Dusri Halat Ki Taraf Muntaqil Hone Ke Baad (Maslan Qayam Se Ruku'a Me Pahunch Ne Ke Baad) Takbeer Ka Aagaz Karna, Khilfe Sunnat or Makroohe Tanzeehi Hai, Lihaza Musalmanoñ Ko Chahiye Ki in Donoñ Tareeqoñ Se Ijtenab Kareñ or Shuru'a Me Bayan Karda Sunnat Tareeqe Par Amal Kareñ..

Matan Tanweerul Absaar or Sharah Durre Mukhtar Me He,
"(ثم)کما فرغ( یکبر)مع الانحطاط (للرکوع)
Phir Jaise Qiraat Se Farig Ho, Ruku'a Ke Liye Jhukte Sath Hi Takbeer Kahe.
*📚(Matan Tanweerul Absaar W Sharah Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtaar, J-2, a-239, 240, Matbooah Koitah)*

Allama Muhaqqiq Ibne Aabedin Ash-shaami Alaihir Rahma Durre Mukhtar Ki Ibarat (مع الانحطاط) Ke Tahat Farmate Hai,
"افاد ان السنۃ کون ابتداء التکبیر عند الخرور و انتھائہ عند استواء الظھر ۔وقیل انہ یکبر قائماً و الاول ھو الصحیح کما فی المضمرات و تمامہ فی القھستانی"

(Is Ibarat Me) Is Baat Ka Ifaada Farmaya Ki Sunnat Ye He Ki Takbeer Ki Ibteda, Ruku'a Ke Liye Jhukte Waqt Ho or Inteha Peeth Barabar Hote Waqt Ho or Ye Bhi Kaha Gaya He Ki Takbeer, Qayaam Me Kahi Jaye Lekin Pahla Qaul Hi Sahih He Jaisa Ki Mazmuraat Me He, Iski Mukmmal Bahas Qahstaani Me He.
*📚(Raddul Muhtaar, J-2, S-240, Matbooah Koitah)*

Saiyedi Aala Hazrat Ash-shah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahma Irshad Farmate Hai,
Sunnat Ye He Ki Sameea Allahu Ka 'seen' Ruku'a Se Sar Uthane Ke Sath Kaheñ or Hamidah(حمده) Ki 'haa (ہ) ' Sidha Hone Ke Sath Khatam, Isi Tarah Har Takbeere Inteqaal Me Hukm He Ki Ek Fe'al Se Dusre Fe'al Ko Jaane Ki Ibteda Allahu Akbar Ka Alif Shuru'a Ho or Khatam Ke Sath Khatam.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-188, Matbooah Raza Foundation Lahor)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Naazim Ta'alimaat W Shaikhul Hadees W Naaib Sadarul Mudarriseen Darul Uloom Mustafwiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️6 Sep 2023, 19 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts