*_Shohar Ki Waqaf Ki Hui Jagah Par Biwi Ka Rahne Ke Liye Jagah Mangna Kesa ?_*
*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Mas'ala Ye Arz He Ki Ek Shakhs Ne Apne Makan Ko Masjid Me Waqaf Kar Diya Inteqaal Ke Kai Saaloñ Baad Waqfi Kagzaat Hath Aaye.
Uske Baad Masjid Ke Muntazimeen Ne Masjid Ki Raqam Se Uska Kaam Karwaya or Us Makan Ko Imam Ke Rahne Ke Liye De Diya..
Lekin Us Shakhs Ki Biwi Jo Ki Zinda He Usne Ye Shart Lagaai He Ki Me Jab Tak Hayat Rahuñ Ek Kamra Mere Rahne Ke Liye Mujhe Supurd Kardo..
To Kya Is Tarah Shart Laga Sakte He?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Yaqeenan Ye Shart Lagana Najaaizo Haram He, Aur Unka Is Tarah Se Us Makaan Par Qabza Karke Rahna Bhi Najaaizo Haram He... Ye Makan Masjid Ka He Masjid Ki Aamdani Se Banaya Hua He or Isme Wahi Shakhs Rah Sakta He Jo Masjid Ka Imam Ho.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️2 Sep 2023, 15 Safarul Muzaffar 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment