Ek Shakhs Kursi Par Quraan Padhta Ho Ek Shakhs Niche To Kya Hukm He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuh

Ulma E Ahle Sunnat Se Ik Sawal Hai ;
Ik Room Mein Do Bande Quran E Paak Ki Tilawat Kar Rahe Hai Ik Banda Floor Par Aur Ik Bed Par Quran E Paak Padh Rahe to Is Tarah Se Quran E Paak Padhna Kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aadab Ke Khilaf Hai Ki Ek Neeche Ho Dusre Upar..

Bahare Shariyat Me He,
Qura'an Majeed Ke Aadab Me Ye Bhi He Ki Uski Taraf Peeth Na Ki Jaye, Na Paanw Felaye Jaye, Na Paanw Ko Us Se Uncha Kare, Na Ye Ki Khud Unchi Jagah Par Ho or Qura'an Majeed Niche Ho.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Quraan Majeed Or Kitaboñ Ke Aadab, Mas'ala-13)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Sahab Misbahi*
*📬Darul Ifta Ahle Sunnat W Jama'at, Khargaun MP, (Sahibe Fatawa Shimoga)*
*🗓️24 March 2024, 13 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts