*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum
Hazrat Kya Qur'an Paak Ka Padha Hua Para Kya Ramadan Mubarak Main He Baksawane Ka Hukum Hai Ya Ramadan Mubarak Ke Bad Baksawane Skhte Hai Log Kehte Hai Jo Qur'an Paak Padhi Gai Ramzan Ul Mubarak Mein 27 Ramzan Ko Bakswa Diya Jaaye.... Jawab Rahnumai Farmae
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ramzan Shareef Me Padha Hua Quraan Sharif Ramzan Shareef Hi Me Bakhshwana Koi Zaroori Nahiñ. Baad Me Bhi Bakhshwa Sakte He. Magar Koshish Kar Ke Ramzan Shareef Hi Me Pura Quraan Sharif Padh Le Our Apne Marhumeen Ko Isaal E Sawab Kar De to Ramzan Shareef Ki Barkate Bhi Shamil Ho Jaae..
Our Ramzan Sharif Me 27wi Shab Ko Hi Bakhshwana Koi Lazim Ya Zaroori Nahiñ, Aakhir Me Yaani 29 Ya 30 Ramzan Ko Bhi Isaal E Sawab Kar Sakte He.
Albtta Taaq Raatoñ Me Laylat Ul Qadr Ka Hona Hadees Sharif Me Aaya He Lihaza 27 Tak Pura Na Kar Sake to Koshish Kar Ke 29 Tak Khatm E Quraan Paak Kar Le Our Apne Marhumeen Ko Isaal Kare to Behtar Magar Laazim Ya Zaruri Nahiñ.. Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️5 Apr 2024, 25 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment