Imam Ne Qirat Shuru Kardi Or Let Aane Wala Muqtadi Sana Padhega Ya Nahiñ ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Imaam Ne Qirat Shuru Kar Di Aur Muqtadi Thoda Late Aata He to Sana Padhni Chahiye Ya Nahi 

Jawab Inayat Farmaae..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Muqtadi Jahri Namaz Ki Pahli Hi Rak'at Me Shamil Hua or Imam Ne Qir'at Shuru Kardi to Ab Muqtadi Sana Na Padhe, Balki Khamosh Rah Kar Qir'aat Sune..

Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,
Imam Ne Jahri Namaz Me Qir'at Shuru Kardi Ho to Muqtadi "Sana" Na Padhe, Balki Khamosh Rah Kar Qir'at Sune, Kyuñ Ki Qir'at Ka Sunna Farz He.
*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-61)*
*📚(Momin Ki Namaz, S-55)*

Agar Masbooq Muqtadi Ho Ki (Dusri Tisri Ya Chothi Rak'at Ke) Qayam Me Shamil Hua to Agar Jahri Namaz Ki Us Rak'at Me Shamil Ho Jis Me Imam Jahar Yaani Baland Aawaz Se Qir'at Kar Raha Ho to Ab Masbooq Ke Liye Hukm Ye He Ki Imam Ke Sath Shamil Hone Ke Baad Sana Na Parhe, Phir Imam Ke Salam Pherne Ke Baad Jab Apni Baqiya Rak'ateñ Parhne Khada Ho Tab Uski Ibteda Me Sana Parhle.

Albatta Agar Masbooq Sirri Namaz Ki (Jin Namazoñ Me Aashista Qir'at Ki Jati He Aysi) Kisi Rak'at Me Shamil Ho, Chahe Vo Koi Si Bhi Raka'at Ho, Ya Jahri Namaz Ki Teesri Ya Chothi Rak'at Me, Jisme Aahista Tilawat Ki Jati He, Usme Shamil Ho to Ab Masbooq Imam Ke Sath Shamil Hone Ke Baad Sana Parhega Taaki Sana Apne Mahal Me Digar Arkaan Ki Adayegi Se Pahle Ada Ho Jaye..

Or Qayam Ke Alawa Me Shamil Ho to Agar Ruku'a Me Aakar Mile or Use Guman Ho Ki Sana Parh Kar Imam Ko Ruku'a Hi Me Paa Lega to Sana Parh Kar Ruku'a Me Imam Ke Sath Shamil Ho Jaye. Or Agar Andesha Ho Ki Sana Parhne Tak Imam Ruku'a Se Sar Utha Lega to Ab Bagair Sana Parhe Ruku'a Me Shamil Ho Jaye Phir Jab Apni Baqiya Rak'ateñ Parhne Khada Ho Tab Us Waqt Sana Parhe..

Agar Imam Ke Pahle Sajde Me Jama'at Ke Sath Aa Kar Mila He to Is Soorat Me Bhi Sana Parh Kar Imam Ke Sath Shamil Ho Jaye.

Or Agar Ruku'a or Pahle Sajde Ke Alawa Kisi Maqam Jaise Dusre Sajde Ya Qa'ade Wagairah Me Jama'at Ke Sath Aa Kar Mila to Ab Bagair Sana Parhe, Imam Ke Sath Shamil Ho Jaye or Jab Apni Baqiya Rak'ateñ Parhne Khada Ho to Us Waqt Sana Parhe..

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Imam Ne Bil Jahar Qir'at Shuru'a Kardi to Muqtadi Sana Na Parhe Agarche Bawajahe Door Hone Ya Bahre Hone Ke Imam Ki Aawaz Na Sunta Ho Jaise Jumuah W Eidain Me Pichhli Saf Ke Muqtadi K Bawajhe Door Hone Ke Qir'at Nahiñ Sunte.. Imam Aahista Parhta Ho to Parhle.

Imam Ko Ruku'a Ya Pahle Sajda Me Paya, to Agar Galib Guman He Ki Sana Parh Kar Paa Lega to Parhe or Qa'ada Ya Dusre Sajde Me Paya to Bahetar Ye He Ki Bagair Sana Parhe Shamil Ho Jaye.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Baab Namaz Parhne Ka Tareeqa, Sunane Namaz, Mas'ala-75,76)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️14 May 2024, 5 Zil Qa'ada 1445*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts