Kya 4 Imaam Me Se Kisi Ki Bhi Taqleed Lar Sakte He ? Or Hambali Mazhab Ke Kaha Paye Jate He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki 4 Imam Me Se Kisi Ki Bhi Taqlid Kr Skte Hain Aur Kuch Log Seene Me Hath Rkhte Hai Apne Apko Hambli Kahte Hain,to Ky Unki Nmz Hoti Hai Kis Country K Log Hambli Hote Hain

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Awam O Khawas (Kyuñ Ke Ab Zaruri Ibtidai Fiqh o Hadees ka ilm rakhne Wale Bhi Khawas Kahe Jate Hen) Un Me Se Kisi Ko Bhi Apne Muqtada Imam Jin Ki pehle Se Taqleed Karte Aa Rahe Heñ Un Ko Badalna Jaiz Nahiñ, Aur Is Ka Unko Ikhtiyar Bhi Nahiñ..
Ek Hi Imam Ki Taqlid Har Haal Me Har Mas'ale Me Wajib Hai.

Jaisa Ki Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahma Farmate Hai,
Charoñ A'imma Hazrat Imam Abu Haneefa, Hazrat Imam Maalik, Hazrat Imaam Shafai, Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Me Se Kisi Ek Imam Ki Taqleed Tamam Masaail Me Wajib He Is Liye Ki Kisi Hanfi Ko Jaaiz Nahiñ Ki Kisi Mas'ala Me Kisi Dusre Imaam Ki Pairvi Kare. Is Liye Ki Ye Haqeeqat Me Apne Khwahishe Nafs Ki Pairvi Hogi. Sawal Ye Hoga Ki Aakhir Usne Aysa Kyuñ Kiya Agar Vo Mujtahid He to Use Kisi Ki Taqleed Jaaiz Nahiñ or Agar Vo Mujtahid Nahiñ to Aakhir Usne Kis Bina Par Kisi Mas'ala Me Kisi Dusre Imam Ka Mazhab Ikhtiyar Kiya. Ye to Nahiñ Kah Sakta Ki Chuñ Ki Us Khas Mas'ala Me Dusre Imam Ki Daleel Qawi He Kyuñ Ki Ye Kaam Mujtahid Ka He laañ Ki Daeel Zaeef He Siwa E Mujtahid Ke Koi Ye Nahiñ Kah Sakta Ki Falañ Ki Daleel Qawi He, Falañ Ki Daleel Zaeef, Laa Muhaala Ye Shakhs Aysa Sirf Apne Nafs Ki Khwahish Ki Bina Par Karega... الخ 
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-233)*

Or Farmate Hai,
Awam Ko Ye Jaiz Nahiñ Ki Kisi Ek Imam Ki Taqlid Ikhtiyar Karke Fir Use Chhod Kar Dusre Imam Ki Taqlid Kare.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-231)*

Har Imaam Ke Maanne Wale Ki Namaz Apne Imam Ke Bataye Huve Tareeqa Se Sahih Ho Jati He.
Hambli Kaha Jata Hai Ki Ab Zyadatar Oman, Qatar, Sharjah, Urdun Aur Iraq Ke Baaz ilaqon Me Paaye Jate Hen Misr Me Bhi Hum Ne Baaz Humbli Mazhab Waloñ Ko Dekha He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Misbahi Sahab Qibla*
*📬Fazile Jame'a Azhar Misr, Nadiyad Gujrat*
*🗓️5 Oct 2024, 1 Rabi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?

 *Masjid Ke Dusre Floor Par Namaz Padhna Kesa ? Tanha Sunnat Wagairah Padhne Ka Bhi Kya Hukm He?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum Wa Rahmatull...

Popular Posts