*🌹SAWAL:-🌹*
Az'haan اذہان Naam Rakhna Kesa ? Or Iska Matlab Kya Hai ?
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Az'haan اذہان Arbi Zaban Ka Lafz He, Ye Zahan ذہن Ki Jama'a He, or "Zahan" Bataure Sifat Bhi Istemaal Hota He, Is Soorat Me Iska Matlab Hota He, Zaheen or Danish Mand.
Aysa Hi *📚Firozul Logat, S-80* Par He...
Lihaza Is Aitbaar Se Ye Naam Rakhna Jaaiz He, Magar Bahut Bahetar He Ki Bachche Ka Asl Naam Muhammad Rakh Liya Jaye Ki Hadeese Paak Me Naame Muhammad Rakhne Ki Fazilat or Targeeb Irshad Farmaai Gai He, or Pukarne Ke Liye Ambiya E Kiram Alaihimus Salato Salam, Sahaba E Izaam Alaihimur Ridwan, or Nek Logoñ Ke Naamoñ Me Se Kisi Ke Naam Par Bachche Ka Naam Rakha Jaye Ki Hadeese Paak Me Iski Bhi Targeeb Irshad Farmaai Gai He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️24 Nov 2024, 21 Jamadi Ul Awwal 1446*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment