*Job Ki Wajah Se Zuhar Ki Sunnat Tarq Karna Kesa?*
*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Alaikum Wa Rahmatullahi Ta'ala Wa Barkatahu
Kiya Farmate Hai Ulma E Deen O Muftiyan E Shar'aa Matin Is Mas'al E Me Ki Zaid Gulf Me Job Karta Hai Zaid Lunch Ke Waqt Khana Khane Ke Liye Mess Hall Jata Hai Aane Jane Aur Khane Me Lunch Time 01 Ghanta Khatam Ho Jata Hai Aate Hi Duty Time Shuru Ho Jata Hai to Kiya Zaid Majburi Me Zohar Ki Sunnat Chhod Kar Sirf Zohar Ka Farz Ada Kar Le Kiyo Ki Staff Time Dekhta Hai Baraye Meharbani Jawab Inayat Farmaye
Irshad Ahmad Khan Razvi Siwan Bihar (Ras Al Khaimah Uae)
*🌹JAWAB:-🌹*
Zuhar Ki Sunnat Sunnate Mu'akkida He, or Unka Tarq Jaaiz Nahiñ.. Ek Baar Bhi Bila Uzr Chhodega to Mustahiqe Malaamat Hoga. Or Baar Baar Tarq Kare to Phir Vo Fasiq or Mardoode Shahadah Hoga, Is Wajah Se Zuhar Ki Sunnatoñ Ko Tarq Karne Ki Ijazat Na Hogi, Isi Tarah Se Job Se Kuchh Waqt Nikal Kar Unheñ Zaroor Padhe, or Waqt Na Bachna Ye Majboori Nahiñ He, or Shara'a Me Aysi Job Ki Jiski Wajah Se Aadmi Fisqo Fujoor Me Mubtala Ho Jaye Sahih Nahiñ, Is Wajah Se Jo Malikaane Job He or Jinke Yahañ Zaid Naukri Karta He Unse Itni Ijazat Talab Kare Ki Vo Namaz Ka Waqt Use De, Agarche Vo Namaz Me Jitna Waqt Sarf Hota He Uske Paise Mujra Karle.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab*
*📬 Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️17 Nov 2024, 14 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment