Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Musafir 92 Km Se Zyada Safar Ke Liye Nikla Or Bich Me Khane Pine Ya Washroom Ke Liye Hotel Par Ruka To Kya Namaz Qasr Karega Ya Ada ?

 *Musafir 92 Km Se Zyada Safar Ke Liye Nikla Or Bich Me Khane Pine Ya Washroom Ke Liye Hotel Par Ruka To Kya Namaz Qasr Karega Ya Ada ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
As-salāmu 'alaikum Wa Raḥmatullāhi Wa Barakātuh,
Huzoor Tājush Sharī'ah Ne Farmaaya Ki Jab Koi 92 Kms Ya Usse Zyada Ka Safar Lagaataar Karta Hai Tab Uspar Qasr Namaz Wajib Hogi.
Mera Sawaal Hai Ki Agar Koi 100 Kms Dur Safar Ke Liye Nikla Lekin Bichme 30 Mins Jaisa Washroom Wagerah Ke Liye Aur Khaane Ke Liye Hotel Par Ruka Toh Kya Is Surat Mai Bhi Uspar 92 Kms Baad Qasr Wajib Hogi?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mustaqil Irada Basti Se Nikalte Waqt Ka Agar 92 Km Ya Usse Zyada Ka He Or Raste Me Kisi Zaroorat Ke Liye Ruk Gaya Maslan Khane Pine Ya Washroom Wagairah Ke Liye To Musafir Hi Hoga, Us Par Musafir Hi Ke Ahkam Nafiz Hoge, Namaz Qasr Kare..

Agar Pehle Se Hi Us Ka Irada 40 Ya 30 Km Par Kaam Ke Liye Rukne Ka Tha, Ki Fulañ Jagah Pahunch Kar Thoda Kaam Khatam Karega Fir Aage Safar Karega Agarche 92Km Se Zyada Ka Safar Kare Is Tarah Musafir Na Hoga.. Is Tarah Tukde Tukde Kar Ke Puri Duniya Ghum Le Tab Bhi Musafir Na Hoga Jab Tak 3 Din Ki Duri Yani 92 Km Ke Mustaqil Irade Se Basti Se Na Nikla Ho, Aysi Soorat Me Musafir Na Hoga.. 

Bahare Shariyat Me He,
Safar Ke Liye Ye Bhi Zaroori He Ki Jahañ Se Chala Wahañ Se Teen Din Ki Raah Ka Irada Ho or Agar Do Din Ki Raah Ke Irada Se Nikla Wahañ Pahunch Kar Dusri Jagah Ka Irada Huva Ki Vo Bhi 3 Din Se Kam Ka Rasta He.

Ye Bhi Shart He Ki 3 Din Ka Irada Muttasil Safar Ka Ho, Agar Yuñ Irada Kiya Ki Maslan Do Din Ki Raah Par Pahunch Kar Kuchh Kaam Karna He Vo Kar Ke Phir Ek Din Ki Raah Jaauñga to Ye Tin Din Ki Raah Ka Muttasil Irada Na Huva, Musafir Na Hua.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Musafir Ki Namaz Ka Bayan, Mas'ala-14,15)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad, Gujrat*
*🗓️21 Feb 2025, 22 Shaban 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...