Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Shiaa Rafzi Ki Hotel Se Gosht Khana Kesa ?

 *Shiaa Rafzi Ki Hotel Se Gosht Khana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
السلامُ علیکم ورحمۃاللہ وبرکاتہ 
Siya Rafzi Ki Hotel Par Ghost Khana Kaisa ?

Hawale K Sath Javab De 

Humare Yaha Siya Ki Hotel Khuli Hai Waha Pur Sunni Khane K Liye Jaate Hai Unko Kis Tarah Roka Jaaye

Note:- Yaha Ghost Bechne Wale Sunni Hai Our Us Siya Ki Hotel Me Ghost Sunni K Waha Se Ja’raha Ho to Kya Huqm Hoga Ye Bhi Irsad Farmaye’ga Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shia Rafzi Apne Aqaaide Kufriya Ki Bina Par Kafiro Murtad He, Unka Zabah Kiya Hua Ya Unki Hotel Se Gosht Khana Najaaizo Haram Misle Murdaar He..

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Aaj Kal Ke Rafzi Tabraai Alal Umoom Kafiro Murtad Hai, Shayad Unme Ginti Ke Ayse Nikleñ Jo Islam Se Kuchh Hissa Rakhte Hoñ, Unka Aam Aqeedah Ye He Ki Ye Qur'aan Shareef Jo Bihamdillahi Ta'ala Hamare Hathoñ Me Maujud He Ye Nabi ﷺ Ke Baad Na Raha, Usme Se Kuchh Paare Ya Surteñ Ya Aayateñ Sahaba Kiram or Ahle Sunnat Ne Ma'azallah Kam Kardiñ, or Ye Bhi Unke Chhote Bade Sab Maante Hai Ki Hazrat Maula Ali W Digar A'imma E At'haar Karramallahu Ta'ala Wajahhahum Agle Ambiya E Kiram Alaihimus Salato Salam Se Afzal the, Ye Donoñ Aqeede Khalis Kufr Hai Jo Shakhs Quraan Majeed Se Ek Hurf, Ek Nuqta Ki Nisbat Adna Ehtemaal Ke Taur Par Kahe Ki Shayad Kisi Ne Ghata Diya Ya Barha Diya Ya Badal Diya Ho Vo Kafir He or Qur'aan Azeem Ka Munkar, Yuñhi Jo Kisi Gair Nabi Ko Kisi Nabi Se Afzal Bataye Vo Bhi Kafir , or Jabki in Ashqiya'a Ne Ba Wasf Aada E Islam Aqaaide Kufr Ikhtiyar Kiye to Murtad Huve,

Fatawa Aalamgir Me He,
ھؤلاء القوم خارجون عن ملۃ الاسلام و احکامہم احکام المرتدین۔
Ye Qaum Millate Islamiya Se Kharij He Unke Ahkaam Murtadeen Wale Hai.
*📚(فتاوٰی ہندیہ کتاب السیر الباب التاسع نورانی کتب خانہ پشاور ۲/ ۲۶۴)*
Or Murtad Ke Hath Ka Zabiha Nara Haram W Murdar Soowar Ki Maanind He, Agarche Usne Lakh Takbeereñ Parh Kar Zabah Kiya Ho.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-20, S-246, Mas'ala-94)*

Or Farmate Hai,
Rawafiz Alal Umoom Apne Mujtahidoñ Ke Pairo Kaar Hote Hai, Agar Bilfarz Galat Koi Jaahil Rafzi Un Khule Kufroñ Se Khaali Ul Zahan Bhi Ho to Fatwa E Mujtahdaan Ke Qubool Se Use Chara Nahiñ or Bil Farz Baatil Ye Bhi Maan Lijye Ki Koi Rafzi Aysa Nikle Jo Apne Mujtahideen Ke Fatwe Bhi Na Mane to Alaql Itna Yaqeenan Hoga Ki Un Kufroñ Ki Wajah Se Apne Mujtahidoñ Ko Kafir Na Kahega, Balki Unheñ Apne Deen Ka Aalim W Peshwa W Mujtahid Hi Jaanega or Jo Kisi Kafir Munkare Zarooriyate Deen Ko Kafir Na Maane Khud Kafir Murtad He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-14, S-265, Mas'ala-35)*

Or Akhir Me Farmate Hai,
Biljumla in Raafziyoñ Tabraaiyoñ Ke Baab Me Hukm Yaqeeni Qata'ee Ijmaaee Ye He Ki Vo Alal Umoom Kuffar Murtadeen Hai Unke Hath Ka Zabiha Murdar He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-14, S-268, Mas'ala-35)*

Or Huzur Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Badmazhab Ki Badmazhabi Hadde Kufr Tak Pahunch Chuki He to Usse Muaamlaat Jaaiz Nahiñ He, Kharido Farokht Usse Jaaiz Nahiñ He, or Agar Uski Hotel Me Gay or Vahañ Par Ayse Badmazhab Ke Hath Ka Zabiha, Jo Usne Apne Hath Se Zabah Kiya Ho, Ya Badmazhab Logoñ Ki Nigrani Me Vo Gosht Pakaya Gaya Ho to Misle Murdaar Haram He Usko Khana Najaaizo Haram He.. Or Agar Badmazhab Ki Badmazhabi Hadde Kufr Tak Nahiñ Pahuñchi Fir Bhi Usse Parhez Karna Laazim He, Agar Ittefaqiya Taur Par Uske Yahañ Agar Khane Ki Naubat Aai to Sabzi Wagairah Khane Me Harj Nahiñ He, Warna Parhez Lazim He.
Https://www.jamiaturraza.com/session/26april09/13.mp3

Lihaza Awwalam To Shia Rafzi Ya Digar Murtadeen Se Muaamlaat Hi Jaaiz Nahiñ, Unse Kisi Tarah Ki Kharido Farokht Karna Hi Jaaiz Nahiñ.. Or Shia Ki Hotel Se Gosht Khana Jaaiz Nahiñ Ki Unka Zabiha Khana Ya Unki Nigrani Me Paka Gosht Khana Misle Murdaar Najaaizo Haram He, Agar Gosht Bechne Wale Sunni Ho or Jahañ Se Gosht Aa Raha He Yaani Zabah Karne Wale Bhi Sunni Ho or Nazre Sunni Muslim Se Gosht Gayab Na Hua Ho to Us Gosht Ka Khana Haram Na Hoga Lekin Is Tarah Bahut Kam Mumkin He, Kahiñ Na Kahiñ Nazre Sunni Muslim Se Vo Gosht Gayab Hota Hi He Kahiñ Raste Me Laate Waqt Ya Gosht Banate Waqt Ya Packing Wagairah Me Har Waqt Sunni Ki Nigrani Me Nahiñ Rahta Aysa Gosht Khana Bhi Jaaiz Nahiñ.. 
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️13 March 2025, 12 Ramzanul Mubarak 1446*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...