Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Huqooq Ko Gazab Karne Wale Ka Hajj Qubool Hoga Ya Nahiñ ?

 *Huqooq Ko Gazab Karne Wale Ka Hajj Qubool Hoga Ya Nahiñ ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam O Alaikum
Ek Bhai Ka Masla Hai, Hazrat Rahnumayi Farmaye Is Masle Par,
Virasat Mein Kisi Ka Haq Talaafi Karna, Maslan 100 Rupiya Tha Aur Diya 10 Rupiya De, to Aise Shakhs Par Kya Hukm Hai?
Aur Virasat Ka Haq Na Dene Wala Hajj Par Jaye to Uska Hajj Qabool Ho Sakta Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Al-jawab Ba’un Al-malik Al-wahhab  
Huqooq Ko Ghazab Karne Wale Shakhs Ke Hajj Ke Bare Mein Sharai Nuqta E Nazar Ye Hai Ke Hajj Ek Farz Hai, Lekin Is Ki Adaigi Ka Gunah Karna Ek Bohat Bara Gunah Hai. Agar Koi Shakhs Kisi Ka Haq Ghazab Karta Hai, to Usay Pehle Us Haq Ko Ada Karna Chahiye. Is Ke Baad Hajj Kar Sakta Hai.  

Ab Raha Yeh Sawal Ke Aison Ka Hajj Qabool Hota Hai Ke Nahi? To Iska Behtar Ilm Allah AzzaWaJal Ko Hai, Albatta Hamare Ulama Ne Hajj-e-maqbool Ki Nishani Yeh Batayi Hai Ke Woh Pehle Se Achha Ho Jaye. 

Is Masle Ke Bare Mein Bohat Ikhtilaf-o-iztirab Hai, Lihaza Sayyidi Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Rahmatullah Aalaih Irshad Farmate Hain Ke,
Haji K Paak Maal, Paak Kamai, Paak Niyyat Se Hajj Kare, Aur Is Mein Larai Jhagray Aur Auratoñ Ke Samne Tazkira-e-jima’ Aur Har Qism Ke Gunaho Nafarmani Se Bache, Is Waqt Tak Jitne Gunah Kiye The, Bashart qubool Sab Maaf Ho Jate Hain. Phir Agar Hajj Ke Baad Fauran Mar Gaya to Itni Mohlat Na Mili Ke Huqooqullah AzzaWaJal Ya Bandoñ Ke Us Ke Zimma Thay, Unhein Ada Ya Ada Ki Fikr Karta, to Ummide wasiq Hai Ke Maula Ta’ala Apne Tamam Huqooq Se Mutlaqan Dar Guzar Farmaye, Yaani Namaz, Roza, Zakat Wagairah Faraaiz Ke Bajana Na Laya Tha, Un Ke Mutalba Par Bhi Qalame Afw-e-ilahi Phir Jaye Aur Huqooq-ul-ibad Wa Duyoon Wa Mazaalim, Maslan Kisi Ka Qarz Aata Ho, Maal Chheena Ho, Bura Kaha Ho, in Sab Ko Maula Ta’ala Apne Zimma-e-karam Par Le Le, A'shaabe huqooq Ko Roze Qiyamat Raazi Farma Kar Mutalba W Khusumat Se Nijaat Bakhshe,
Yuñhi Agar Baad Ko Zinda Raha Aur Baqadar-e-qudrat Tadarike huqooq Ada Kar Liya, Yani Zakat De Di, Namaz Roza Ki Qaza Ada Ki, Jis Ka Jo Mutalba Aata Tha De Diya, Jise Aazar Pohunchaya Tha Maaf Kar Liya, Jis Mutalba Ka Lene Wala Na Raha Ya Maloom Nahi, Us Ki Taraf Se Tasadduq Kar Diya, Bojh Qillat-e-mohlat Jo Haqqullah AzzaWaJal Ya Banda Ka Ada Karte Karte Reh Gaya, Us Ki Nisbat Apne Maal Mein Wasiyyat Kar Di, Gharz Jahañ Tak Taraq-e-bariyat Par Qudrat Mili, Taqseer Na Ki, to Us Ke Liye Umeed Aur Zyada Qawi Ke Asal Huqooq Ki Yeh Tadbeer Ho Gai Aur Isme Mukhalifate Hajj Se Dhul Chuka Tha.  

Haañ Agar Baade Hajj Bawajoode Qudrat in Umoor Mein Qasir Raha, to Yeh Sab Gunah Az-sar-e-nau Us Ke Sar Honge Ke Huqooq to Khud Baqi Hi Thay, Un Ki Ada Mein Phir Taakhir-o-taqseer Gunah Taza Hue, Aur Woh Hajj Un Ke Azalaa Ko Kaafi Na Hoga Ke Hajj Guzre Gunahoñ Ko Dhota Hai, Aaindah Ke Liye Parwana-e-biqaydi Nahiñ Hota, Balki Hajje Mabroor Ki Nishani Hi Yeh Hai Ke Pehle Se Acha Ho Kar Palte.
فانا ﷲ وانا الیہ راجعون ولاحول ولاقوۃ الا باﷲ العلی العظیم
*📚(Fatawa Razaviyyah Mutarjam, Jild 22, Safha 466)*

Yahañ Yeh Khayal Rahe Ke Hajj Ki Barkat Se Gunah Mitt Te Hain, Huqooq Ul ibaad Se Khalasi Nahiñ Hoti, Maslan Kisi Ne Qarz Liya Tha, Qarz Ki Adaigi Mein Us Ne Dair Ki, to Is Taakhir Ka Gunah Hajj Karne Se Maaf Ho Jayega, Lekin Jo Raqam Li Hui Hai Woh Wapas Lautani Hi Paray Gi.  
Wallahu Ta’ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Muhammad Shameem Akhtar Raza Yusufi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Chakai Jame'a Masjid W Khadimut Tadrees Madarsa Raza E Mustafa Chakai, Jamui, Bihar*
*🗓️22 May 2025, 23 Zul Qa'adah 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...