*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum,
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Raat Me Bhi Qaza Namaz Parh Sakte Hai, Makrooh Awqaat Ke Siwa Kisi Bhi Waqt Parh Sakte He, Koi Harj Nahiñ..
Badai'a Us-sanaai Me He,
"ليس للقضاء وقت معين بل جميع الاوقات وقت له الا ثلاثة: وقت طلوع الشمس ووقت الزوال ووقت الغروب، فانه لا يجوز القضاء في هذه الاوقات لما مر ان من شان القضاء ان يكون مثل الفائت والصلاة في هذه الاوقات تقع ناقصة والواجب في ذمته كامل، فلا ينوب الناقص عنه‘‘
Qaza Namaz Ke Liye Koi Waqt Muayyin Nahiñ He, Balki Tamam Awqaat Me Parh Sakte Hai, Siwaye Teen Awqaat Ke, Yaani Tulu E Shams, Zawaal or Guroob Ke Waqt, Ki in Awqaat Me Qaza Namaz Parhna Jaaiz Nahiñ, Jaisa Ki Guzra Ki Qaza Ki Adayegi Faut Hone Wali Namaz Ki Misl Honi Chahiye or in Awqaat Me Namaz Naqis Hoti He, Jabki Uske Zimme Kamil Namaz Wajib Hui Thi, Lihaza Naqis Uske Qaim Maqam Nahiñ Hogi.
*📚(Badai'a Us-sanaai, Kitabus Salaat, J-1, S-246, Matbuah Darul Kutub Al-ilmiya)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujarat*
*🗓️3 March 2025, 2 Ramzanul Mubarak 1446*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment