Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Musafir Par Namaz Mein Qasr Kab Wajib Hai, Kab Nahiñ ? Kashti Mein Namaz Parhne Ka Sharai Hukm

 *Musafir Par Namaz Mein Qasr Kab Wajib Hai, Kab Nahiñ ? Kashti Mein Namaz Parhne Ka Sharai Hukm ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hain Ulama-e-kiram Wa Muftiyane Izzam Is Mas’ala Mein Ke,

(1) Main Ship (Kashti) Mein Job Karta Huñ, Dubai Se Joining Hui Meri, Yeh Ship (Kashti) Do Se Teen Din Dubai Mein Rukti Hai Loading Ke Liye, Phir Wahan Se Iraq Do Se Teen Din Lagta Hai Jo Ke Do Hazaar (2000) Kilometer Ki Doori Par Hai. Ayse Me Yahañ Namaz Jo Parhein Ge, Qasr Parhein Ya Ada?

(2) Aur Raste Mein Ship (Kashti) Mein Namaz Parhni Ho to Qibla Ki Taraf Parhte to Hain, Lekin Kai Baar Qibla Change Ho Jata Hai Aur Kai Baar Mobile Mein Network Bhi Nahi Aata Jis Se Qibla Maloom Kar Sakein, to Aisi Haalat Mein Parhi Gayi Namaz Ka Kya Hukm Hai? Jawab Inayat Farma Kar Shukriya Ka Mauqa Inayat Karein.
Al-mustafti: Mohammad Shahbaz Alam, Up

*🌹JAWAB:-🌹*
بسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
حامد او مصليا و مسلما الجواب بعون الملک الوهاب
(1) Fuqha-e-Kiram Ki Tasreehat Ke Mutabiq, Shar'an Musafir Aisa Shakhs Hai Jo Masafat-e-Sharaee Ya'ani Sarrhe Banwe (92.5) Kilometer Ya Is Se Ziyada Masaafat Tay Karne Ke Irade Se Apne Ghar Se Nikle. Aise Shakhs Par Apni Basti Ki Aabadi Se Baahar Hote Hi Safar Ke Dauraan Namazoñ Mein Qasr Wajib Hai, Ya'ani Chaar Rakat Wali Farz Namaz Mein Sirf Do Rakat Parhein. Jab Tak Woh Shakhs Kisi Aabadi Mein Lagatar Pandrah (15) Din Ya Is Se Ziyada Theherne Ka Irada Na Kare Ya Apne Watane Asli Mein Na Pahunch Jaye, Tab Tak Woh Musafir Hai Aur Us Par Qasr Hi Wajib Hai. Lihaza Jab Aap Ke Safar Ki Masaafat (Doori) 2 Hazaar Kilometer Hai to Aabadi Se Baahar Hote Hi Aap Par Namazoñ Mein Qasr Wajib Hai, Jab Tak Aap Kahin Pandrah Din Ya Is Se Ziyada Rehne Ka Irada Na Kar Lein Ya Apne Watan-e-asli Mein Na Pahunch Jayein.

Hidayah Mein Hai,
السفر الذي يتغير به الاحكام ان يقصد مسيرة ثلثة ايام ولياليها و فرض المسافر في الرباعية ركعتان لا يزيد عليهما ، ولا يزال على حكم السفر حتى ينوى الاقامة في بلدة أو قرية خمسة عشر يوما او اکثر و ان اقل من ذلك قصر و التقييد بالبلدة والقرية يشير الى انه لا تصح نية الاقامة في المفازة وهو الظاهر".
*📚(Hidayah Awwaleen, Baab Salatul Musafir, Jild-1, Safha-145,146, Majlise Barakat)*

Imam Ahmad Raza Quddus Sirruhu Tahreer Farmate Hain,  
Jab Watan Se Us Shehr Ke Qasd Par Chala Aur Watan Ki Aabadi Se Baahar Nikal Gaya, Us Waqt Qasr Wajib Ho Gaya, Raste Bhar to Qasr Karega Hi Aur Agar Us Shehr Mein Pahunch Kar Is Baar Pandrah (15) Roz Ya Zyada Qayam Ka Irada Nahiñ, Balki Pandrah Din Se Kam Mein Wapas Aane Ya Wahañ Se Kahiñ Aur Jane Ka Qasd Hai to Wahañ Jab Tak Theherega Us Qayam Mein Bhi Qasr Karega. Aur Agar Wahañ Iqamat Ka Irada Hai to Sirf Rasta Bhar Qasr Kare, Jab Us Shehr Ki Aabadi Mein Dakhil Hoga Qasr Jata Rahega.
*📚(Fatawa Razaviyya Qadeem, Bab Salat Al-musafir, Jild-3, Safha- 663)*

Sadrushshariah Allama Amjad Ali a’zami Quddus Sirruhu Tahreer Farmate Hain,
"Musafir Us Waqt Tak Musafir Hai Jab Tak Apni Basti Mein Na Pahunch Jaye Ya Aabadi Mein Poore Pandrah Din Theherne Ki Niyat Na Karle. Yeh Us Waqt Hai Jab Tak Teen Din Ki Raah Chal Chuka Ho Aur Agar Teen Manzil Pahunchne Se Peshtar Wapsi Ka Irada Kar Liya to Musafir Na Raha, Agarche Jungle Mein Ho."
*📚(Bahare Shariyat Takhreej Shuda, Namaze Musafir Ka Bayan, Jild-1, Safha-744)*

(2) Sharaee Nuqta-e-nazar Se Isteqbale Qibla Yaani Qibla Rukh Kar Ke Namaz Parhna Shara’ite Namaz Se Hai, to Jis Namaz Mein Isteqbal-e-qibla Na Paya Jaye, Fuqdan-e-shart Ke Sabab Woh Namaz Bilkul Sahi Nahiñ Hogi. 
“اذا فات الشرط فات المشروط"
Chalti Kashti Par Namaz Parhne Wale Par Bhi Isteqbal-e-qibla Laazim Hai, Taaham Is Ki Soorat Yeh Hogi Ke Jaise Kashti Ghoomti Jaye, Us Mein Maujood Musalli Bhi Qibla Rukh Muñh Pherta Rahe.

Fatawa Hindiyya Mein Hai,
"و من ارادان يصلى في سفينة تطوعاً أو فريضة فعليه ان يستقبل القبلة ولا يجوز له ان يصلى حيثما كان وجهه كذا في الخلاصة، حتى لو دارت السفينة وهو يصلى توجه الى القبلة حيث دارت كذافي المنية المصلى"
*📚(كتاب الصلاة، الباب الثالث في شروط الصلاة ، الفصل الثالث ، ج:1 ص: ۷۰ تا ۷ ، دار الکتب العلمية)*
Gunyatul Mustamli Fee Sharah Munyatul Musalli Me He,
"و من صلى في السفينة فلا بد له من الاستقبال اذا كان قادرا کما في خارجها ولا يجوزان يصلى حيث تو جهت و یلزمه ان يستدير الى القبلة اذا دارت لا التكليف بقدر الامكان"
*📚(مسائل تعلق بالاستقبال، ج:۱، ص: ۴۶۳، الجامعة الاسلامية)*

Kashti Ka Mukhtalif Simt Ghumna Mufside Namaz Nahiñ, Neez Agar Mobile Wagairah Ka Network Kaam Na Karne Ke Sabab Ya Kisi Bhi Tarah Simte Qibla Maloom Na Ho Sake or Na Koi Batane Wala Ho to Is Soorat Me Hukme Sharaee Ye He Ki Tahree Karke Namaz Ada Ki Thi to Bila Shubah Aapki Namaz Ho Gai Warna Nahiñ Hui.

Fatawa Hindiya Me He,
"وإن اشتبهت عليه القبلة وليس بحضرته من يسأل عنها اجتهد وصلى كذا في الهداية فإن علم أنه أخطأ بعد ما صلى لا يعيدها، فإن علم أنه أخطأ بعدما صلى لا يعيدها وإن علم وهو في الصلاة استدار إلى القبلة وبنى عليها. كذا في الزاهدي وإذا كان بحضرته من يسأله عنها وهو من أهل المكان عالم بالقبلة فلا يجوز له التحري ، ولو كان بحضرته من يسأله عنها فلم يسأله وتحرى وصلى فإن أصاب القبلة جاز وإلا فلا كذا في منية المصلى و هكذا في شرح الطحاوی 
*📚(ایضاً، صفحہ۷۱)*

Durre Mukhtar Ma'a Tanveerul Absaar Me He,
وإن شرع بلا تحز لم يجر وإن أصاب لتركه فرض التحري، إلا إذا علم إصابته بعد فراغه فلا بعيد اتفاقاً" *📚(كتاب الصلوة ، باب شروط الصلاة ، ج: ۲ س : ۱۱۹، دار الكتب العلمية)*

Huzoor Sadrushshari'ah Allama Mufti Amjad Ali a'zami Quddassirruhu Raqam Farmate Hain,

Chalti Kashti Par Namaz Parhe to Waqt-e-tahrima Qibla Ko Muñh Kare Aur Jaisa Jaisa Woh Ghoomti Jaye Yeh Bhi Qibla Ko Muñh Pherta Rahe, Agarche Nafl Namaz Ho. *📚(Bahaare Shariyat Mukharraja, Jild-1, Safha-488)*

Neez Raqam Farmate Hain,
"Agar Kisi Shakhs Ko Kisi Jagah Qibla Ki Shanaakht Na Ho, Na Koi Aisa Musalman Hai Jo Batade, Na Wahañ Masjid Mein Mehraab Hai, Na Chaand, Sooraj, Sitare Nikle Hoñ Ya Hoñ Magar Isko Itna Ilm Nahiñ Ke Un Se Maloom Kar Sake, to Aise Ke Liye Hukm Hai Ke Tahree Kare (Soche Jidhar Qibla Hone Par Dil Jame Udhar Hi Muñh Kare). Iske Haqq Mein Wahi Qibla Hai. Tahree Karke Namaz Parhi, Baad Ko Maloom Hua Ke Qibla Ki Taraf Namaz Nahiñ Parhi Ho Gai, I'ada Ki Hajat Nahiñ. 
*📚(Bahaare Shariyat Mukharraja, Jild-1, Safha-489)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻Katabahu: Abul Hussam, (Mufti) Muhammad Raza Amjadi Gufralahu*
*📬Khadim: Markaze Ahle Sunnat Darul Uloom Noori, Indore, Mp*
*🗓️11 Muharramul Haram 1447, 7 July 2025*

*✅Al-Jawabus Saheeh, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*Mufti E Aazam Malwa, (Mufti) Muhammad Noorul Haq Gufralahu*
*📬Shaikhul Hadees Darul Uloom Noori, Indore Mp*

*✅Qad Sahhal Jawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab*
*Abul Akhtar (Mufti) Mushtaq Ahmad Amjadi Gufralahu*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*

*✅Al-Jawabus Saheeh, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*(Mufti) Manzar Mustafa Naaz Siddiqui Ashrafi Gufralahu*
*📬Khadim Ifta: Markazi Darul Ifta, Indore, Mp*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...