Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Buzurgane Deen Ke Mazar Par Nange Pair Paidal Jaane Ki Mannat Mangne Ka Sharai Hukm ?

 *Buzurgane Deen Ke Mazar Par Nange Pair Paidal Jaane Ki Mannat Mangne Ka Sharai Hukm ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Sawal Ye Hai Ki Agar Kisi Shakhs Ne Ye Mannat Mangi Ki Mera Fala Kaam Ho Gaya to Me Nange per Kisi Buzurgane Din Ki Bargah Me Jaunga. Ab Uska Fala Kaam Ho Gaya to Kya Aesi Mannat Ko Puri Karni Zaruri Hai or Kya Aesi Mannat Mangna Jaiz Hai? Or Agar Mannat Puri Nahi Kar Sakta Hai to Us Shaksh Par Kya Hukm Hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Mannat Sharai Mannat Nahiñ He, Lihaza Uska Pura Karna Zaroori Nahiñ..

Albatta Paydal Jana Chahe to Ja Skata He Agar Taqat Rkhta Ho, Our Namaz Ke Waqtoñ Ki Pabnadi Karta Ho, Raste Me Khel Kud Our Gunah Se Parhez Karta Ho..

Our Agar Raste Me Namaze Chhodta Ho, Gair Mahram Aurto Se Hansi Mazaq Karta Ho, Tab to Gunah He..

Mannat Mangni Ho to Is Tarah Mange Ke Mera Fulañ Kaam Ho Jaega to Me Do Rakaat Ya Char Rakat Namaz Padhunga Ya Itne Faqiro Ko Sadqa Karunga Ya Khilaunga Ya Itne Roze Rakhunga.  
Aaj Kal Hamari Awam Ko Mannat Kese Rakhni He Wo Bhi Nahiñ Malum Hota He, Wo Aysi Mannte Rakhte Hen Jis Ki Taqat Nahiñ Rakhte Ya Wo Gair Sharai Mannat Hoti He ,Fir Us Mannat Ko Pura Karna Zaruri Bhi Samjhte Heñ Our Us Me Sharai Hudud Ka Khyal Bhi Nahiñ Rakhte..

Allah Ta'ala Qur'an Paak Me Farmata He,
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا ۚ 
Yaani Allah Kisi Jaan Par Bojh Nahiñ Dalta Magar Us Ki Taqat Bhar..

Abu Doud Sharif Ki Hadees Me He,
Abu Dawood Ibne Abbas Radiallahu Ta'ala Anhuma Se Karte Hai, Ki Uqba Bin Aamir Radiallahu Anhu Ki Bahan Ne Mannat Maani Thi Ki Paidal Haj Karegi Or Usme Uski Taqat Na Thi, Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya: Ki "Teri Bahan Ki Takleef Se Allah AzzawaJall Ko Kya Faidah He, Vo Sawari Par Haj Kare Or Qasam Ka Kaffara Dede.
*📚(سنن أبي داود ‘‘ ، کتاب الأیمان و النذور، باب من رأی علیہ کفارۃ. إلخ، الحدیث : ۳۲۹۵، ۳۳۰۳، ص ۳۱۶ ۔ ۳۱۹)*
Khulasa, Qur'an Sharif Ki Is Aayat Our Hadees Sharif Ke Mazmun Se Pata Chala Ke Agar Mannat Sharai Bhi Ho Magar Banda Taqat Na Rakhta Ho to Is Tarah Pura Kare Jitni Usko Taqat He.. 

Bahare Shariyat Me He,
Masjid Mein Charaagh Jalaane Ya Taaq Bharne, Ya Falaañ Buzurg Ke Mazaar Par Chaadar Charhaane, Ya Gyarhwiñ Ki Niyaaz Dilaane, Ya Ghaus-E-Azam Radiyallahu Ta‘Ala Anhu Ka Tosha, Ya Shah Abdul Haq (Radiyallahu Ta‘Ala Anhu) Ka Tosha Karne, Ya Hazrat Jalal Bukhari Ka Kunda Karne, Ya Muharram Ki Niyaaz, Ya Sharbat Ya Sabeel Lagaane, Ya Meelad Shareef Karne Ki Mannat Maani to Yeh Sharai Mannat Nahiñ Hai. Magar Yeh Kaam Mana Nahiñ Hai, Kare to Achha Hai. Haañ, Albatta Is Ka Khayal Rahe Ke Koi Baat Khilaaf-E-Shar'a Uske Saath Na Milaye, Maslan Taaq Bharne Mein Raat Jagaa Hota Hai Jismein Khandan Aur Rishtedari Ki Auratein Ikatthi Hokar Gaati Bajati Hain, to Yeh Haraam Hai. Ya Chaadar Charhaane Ke Liye Baaz Log Taashe Baaje Ke Saath Jaate Hain, Yeh Na-Jaayiz Hai. Ya Masjid Mein Charaagh Jalaane Mein Baaz Log Aate Ka Charaagh Jalate Hain, Khwah Ma-Khwah Maal Zaaye'a Karna Hai Aur Na-Jaayiz Hai, Mitti Ka Charaagh Kaafi Hai.. Aur Ghee Ki Bhi Zarurat Nahiñ, Maqsad Roshni Hai Jo Tel Se Hasil Hoti Hai. Raha Yeh Ke Meelad Shareef Mein Farsh W Roshni Ka Achha Intizaam Karna Aur Mithaai Taqseem Karna Ya Logoñ Ko Bulaawa Dena Aur Is Ke Liye Tareekh Muqarrar Karna Aur Parhne Waloñ Ka Khush-Ilhaani Se Parhna, Yeh Sab Baatein Jaayiz Hain. Albatta Ghalat Aur Jhooti Riwayatoñ Ka Parhna Mana'a Hai; Parhne Walay Aur Sunne Walay Dono Gunahgaar Honge.
*📚(Bahare Shariyat, H-9, Mannat Ka Bayan, Mas'Ala-18)*

Lihaza Surta E Mas'ula Me Mannat Sharai Nahiñ Lihaza Wo Gadi Me Safar Karega Tab Bhi Chalega, Paydal Jana Us Par Zaroori Nahiñ.. Or Nange Per Jana Bhi Zaroori Nahiñ, Chappal Pahan Kar Ya Gaadi Ke Zariye Ja Sakta He.

Note: Mazeed Mannat Ke Sharaee Masaail Sikhne Ke Liye Apne Ilaqe Ke Mo'atamad Muftiyane Kiram W Aulma E Kiram Se Rabta Kare..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Khadim JRM Khambhat, Muqeem Haal, Nadiyad, Gujrat*
*🗓️24 Oct 2025, 1 Jamadi Ul Awwal 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...