Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Fatiha Me Pahle Charo Qul Baad Me Surah Fatiha Ko Parhne Se Kya Quraan Ulta Parhna Hoga ?*

 *Fatiha Me Pahle Charo Qul Baad Me Surah Fatiha Ko Parhne Se Kya Quraan Ulta Parhna Hoga ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اَللّٰهِ وَبَرَكاتُهُ
حضرت آپکی بارگاہ میں ایک سوال عرض تھا
Jesa Ki Hadees E Pak Me Hai Ki Jo Quran E Pak Ko Ulta Padhega Uska Dil Ulta Kar Diya Jayega ...

To Jab Hum Fatiha Karte Hain to
Pehle 4 Qul Padhte Hain Phir Surah Fatiha 

to Kya Ye Quran Sharif Ko Ulta Padhna Nhi Hoga ?
_rahnumayi Farmayeñ_
*جزاک اللہ احسن الجزاء*

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
الجواب بعون الملک الوہاب
Soorat-E-Mas'Ula Mein Quran Ko Ulta Parhna Nahiñ Qarar Diya Jayega.. Kyuñ Ke Fatiha Mein Chaar Qul Parhne Ke Baad Surah Fatiha Ka Parhna, Yeh Bila Shakko Shubha Quran Ko Batariq Ma'ahood Balihaaz Tartib Parhna Hai Jo Durust Aur Wajibaate Qira'at Ki Riaayat Karte Hue Parhna Hai. Aur Pesh Karda Hadees Mein Jo Qura'an Paak Ko Ulta Parhne Ke Muta'alliq Jo Wa'eed Mazkoor Hai, Woh Batariq Ghair Ma'ahood Bila Lihaaz Tartib Quran Ki Tilawat Karne Wale Par Aa'id Hai. Jaisa Ke Koi Pehle Surah Naas Parhe Phir Surah Falaq Parhe الی غیرہ علیٰ ھٰذا القیاس to Aysa Parhne Wala Hadeese Paak Ka Misdaaq Thahrega.

Jaisa Ki Imame Ahle Sunnat Alaihir Rahmatu War-Ridwan Irshad Farmate Hain,
Namaz Ho Ya Tilawat, Batariq Ma'ahood Ho, Donoñ Mei Lihaaze Tartib Wajib Hai. Agar Aks Karega to Gunehgar Hoga. Sayyiduna Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Radiallahu Ta'Ala Anhu Farmate Hain Ke Aisa Shakhs Khauf Nahiñ Karta Ke Allah Azzawajall Us Ka Dil Ulta De.

Haañ, Agar Kharij Namaz He Ki Ek Surat Parh Li Phir Khayal Aaya Ke Dusri Surat Parhuñ, Woh Parh Li Aur Us Se Uper Ki Thi to Is Mein Harj Nahiñ. Ya Maslan Hadees Mein Shab Ke Waqt Chaar Surtein Parhne Ka Irshad Hua Hai. Yaaseen Shareef: Jo Raat Mein Parhega Subah Ko Bakhsha Hua Uthega.
Surah Dukhaan Shareef Parhne Ka Irshad Hua Hai Ke Jo Ise Raat Mein Parhega Subah Us Haalat Mein Uthega Ke Sattar Hazaar Farishte Us Ke Liye Istighfaar Karte Honge.
Surah Waqi'Ah Shareef: Jo Ise Raat Parhega Mohtaji Us Ke Paas Na Aayegi.
Surah Tabarakallazi Shareef: Jo Ise Har Raat Parhega Azabe Qabr Se Mehfooz Rahega.

In Suratoñ Ki Tarteeb Yahi Hai Magar Is Gharz Ke Liye Parhne Wala Chaar Surteiñ Mutafarriq Parhna Chahta Hai Ke Har Ek Mustaqil Juda Amal Hai, Use Ikhtiyar Hai Ke Jis Ko Chahe Pehle Parhe, Jise Chahe Peechhe Parhe.
*📚(Ba-Hawala: Fatawa Razawiyya, Jild 6, Safha 236, Bab-Ul-Qira'at)*
Wallahu Ta'Ala Aa'Alam Bis-Sawab
*✍🏻Katabahu: Al-Abdul Muznib, Abu Ahmad, Muhammad Faizal Raza Razvi Qadri*
*📬 Khadimut Tadrees Darul Uloom Zia E Akhtar, Surat Gujarat*
*🗓️27 Dec 2025, 6 Rajab 1437*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...