Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Maañ Baap Ko Bataye Bagair Nikah Karna ? Mahar Baaqi Rakhna Or Phone Par Nikah Ka Hukm ?

 *Maañ Baap Ko Bataye Bagair Nikah Karna ? Mahar Baaqi Rakhna Or Phone Par Nikah Ka Hukm ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Faramte Hai Aulamae Din Va Muftiyane Sharaye Matin Is Mas'Ale Ke Bare Me

1. Zaid Ki Engagement Ho Gaye Hai...Aab Vo Nikah Karna Chahta Hai ...Par Ghar Valo Ko Bataye Bina Karna Chahta Hai Aur Ladki Bhi Uske Ghar Hi Rahege to Kya Aisa Nikah Zaid Kar Sakta Hai....?

2. Zaid Maher Baad Me Aada Kar Sakta Hai?

3. Zaid Ki Fir Dubara Se Bhi Nikah Hoga to Kya Fir Se Nikah Bhi Kar Sakta Hai Kyu Ki Ghar Valo Ko Batana Nahi Hai...

4. Zaid Rukhshati Se Pahele Sohbat Kar Sakta Hai?

5. Zaid Chup Kar Nikah Karega to Koi Nuksaan to Nahi Hoga Na?

6. Aur Call Par Nikah Karne Ka Kya Tarika Hai?
Javab Inayat Farmaye...
Shahid Hanfi Qadri Razvi
Ravli Anand Gujarat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
1. Puchhi Gai Soorat Me Bahetar or Munasib Ye He Ki Ladka Ladki Apne Maañ Baap Ko in Baatoñ Ki Zaroor Ittela'a Kare, Ki Ye Walidain Hi Bachchoñ Ke Khair Khwañ Hote He, Bagair Unki Khushnudi W Ijazat Ke Nikah Na Kare, Fir Bhi Baalig Ladka Ladki Ka Bagair Izne Awliya Yaani Bagair Maañ Baap Ki Razamandi Ke Do Gawahoñ Ke Samne Nikah Kar Liya to Nikah Ho Jayega, Lihaza Agar Ladke Ne Ladki Se Do Gawahoñ Ke Samne Ijabo Qubool Kar Liya or Maañ Baapko Nahiñ Bataya to Is Soorat Me Bhi Nikah Mun'Aqid Ho Jayega..

2. Agar Vo Maher Baaki 
Rakhna Chahta He to Haañ Uski Bhi Shariyate Mutahhara Me Ijazat He, Ki Vo Apna Mahar Baaqi Rakhe Baad Me Ada Kare.

3. Jab Dubara Nikah Karna 
Ho to Kar Sakta He, Tajdeede Nikah Se, Koi Harj Nahiñ, Albatta Dubara Mahar Dena Zaroori or Wajib Nahiñ Hoga, Wahi Pahle Wala Mahar Jo Tay Paya Gaya He Vahi Dena Lazim or Zaroori Hoga.

4. Jab Nikah Ho Gaya to Ab
Ladka Ladki Miyañ Biwi Ban Chuke He Ab Donoñ Ek Dusre Se Fayda Utha Sakte He or Hambistari Wagairah Ki Ijazat Bhi Ho Gai.. Isi Liye Pahle Hi Bataya Ki Maañ Baap Ko Bata Kar Ya Unko Raazi Karke Nikah Kare, Kyuñ Ki Aapne Kisi Ko Bataya Nahiñ Bilkhusoos Maañ Baap Ko or Fir Hambistari Kareñge or Hamal Thaher Gaya to Ek Zina Ki Tohmat Padegi, to Us Tohmat Se Bachne Ke Liye Aap Pahle Apne Maañ Baap Ko Raazi Kareñ Uske Baad Saadgi Ke Sath Ijabo Qubool Karle, Ki Agar Baadahu Hamal Thahar Bhi Jata He to Koi Harj Nahiñ Maañ Baapko Maloom Hi He,

Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshad Farmaya,
اتقوا مواضع التهم
Yaani Tohmat Ki Jagah Se Bhi Bacho.

Is Liye Munasib or Bahetar Ye He Ki Vo Maañ Baap Ko Bata Kar Hi Ijaabo Qubool Karle, Nikah Karle, or Baadahu Hambistari Wagairah Kar Sakte Hai Koi Harj Nahiñ..

5. Or Jab Shariyate Mutahhara Ke Mutabiq Nikah Kiya Gaya to Fir Inshaallahul Azeez Usse Koi Nuqsan Bhi Nahiñ Hoga, 

6. or Rahi Baat Phone Par Nikah Karne Ki to Online Ya Phone Par Nikah Nahiñ Ho Sakta, Haañ Uska Ek Tareeqa Ho Sakta He, or Ye Tareeqa He Bhi Ki Ladki Ya Ladka Apne Nikah Ka Kisi Ko Wakil Banaye Fir Vo Wakil Ladka Ya Ladki Se Ijaabo Qubool Karle, Is Taur Par Nikah Ho Sakta He..
Wallahu Ta'Ala Aa'Alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️15 Nov 2025, 23 Jamadil Awwal 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...