Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke, “Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.” Rehnumai Farmaen Jazakallahu Khairan Kaseera

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?

 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Bank Me Job Karna Jaaiz He Ya Nahiñ ?* *🌹SAWAL:-🌹* Aslamau Aalaykum Hazrat  Bank Me Job Se Related Bhi Bata Dijye Hazrat Kon Kon Si Job Kr Skate He Me Banking Me Sbi , Rbi Po Exam Ki Taiyari Kr Rha Hu to Aap Batye Field Kon Si Sahih Rehegi ?..
Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Saiyed Ka Ye Kahna Ki Me Namaz Nahi Padhuga Fir Bhi Jannat Me Jaauga ?

 *Saiyed Ka Ye Kahna Ki Me Namaz Nahi Padhuga Fir Bhi Jannat Me Jaauga ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمت اللہ وبرکاتہ
Zaid Sayyad Hai Wo Kheta Hai Ki Me Agar Namaz Nahi Parhunga Tab Bhi Mai Jannat Me Jaauñga Kyu Ki Wo Sarkar عليه السلام Ki Aal Se Hai Wo Kaheta Hai Ki Mera Jo Aqeeda Hai Vo Sahi Hai Isliye Me Jahannam Nahi Jaaunga Kya Yeh Sach Baat Hai 
—Jawab Inayat Farmaiye Hazrat—

*🌹SAWAL:-🌹*
 وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Sayyad Sahab Ka Aysa Kahna Bilkul Bhi Jaaiz W Durust Nahiñ, Sayyad Sahab Ko Is Baat Ko Apne Zahn O Dimag Me Rakhna Chahiye Ki Jo Baat Unhoñne Kahi Ye Baat to Aaj Tak Kabhi Sarkar Imam E Hasan Aur Sarkar Imam E Husain Aur Unki Ammi Jaan Sayyedah Fatima Zahra Razi Allahu Ta'ala Anhum Ne Bhi Nahiñ Kahi.. 

Kya Vo in Se Zyada Badh Kar Ho Gye H Jabki Vo to Malik E Jannat He, Jab Unki Zaban Se Aise Jumle Kabhi Nahiñ Sadir Hoye to Unki Aal Ko Bhi Ye Haq Nahiñ Ki Vo Aise Jumle Apni Zaban Se Bole Vo Bhi Namaz Ke Muta'alliq Se, Jo Ki Farz He Jaan Bhuj Kar Chhodne Wala Shakht Gunehgar Hota He Aur Baar Baar Chhodne Ki Adat Banane Wala Fasiq Hota He...

Koi Bhi Ho Gunehgar Hoga Rab Ki Bargah Me Usko Hisab O Kitab Dena Hoga..

Ab Sayyad Sahab Ka Ye Kahna Ki Mai Namaz Nahiñ Padhunga Tab Bhi Jannat Me Jaunga..

Ye Jumla Bol Kar Logoñ Me Fitna Aur Fasad Na Karaye to Karam Hoga Waise Bhi Ummat E Muslima Ka Haal Dekh Rahe H Deen Se Kitna Duri Namaz, Roza Aur Degar Sharai Ehkam Se Qaum E Muslim Kitna Dur H Aise Me Unke Samne Aise Jumle Bolna Yaani Ki Unko Deen Se Dur Karna Huva...

Agar Vo Sayaad Sahab Hai to Unko Adab Ke Saath Izzat Ke Sath Samjhaya Jaya Ki Aise Jumle Na Bole Jisse Log Deen Aur Deen Ke Ahkam Se Dur Ho Jaye 
Balki Unko Namaz Ki Azmat O Fazilat Bataye Taaki Log Deen Se Aur Uske Ahkam Se Lagao Rakhe Ibadat O Riyazat Kare...

Unka Ye Kahna Ki Namaz Nahin Padhunga Tab Bhi Jannat Me Jaunga . 
Jannat Me Koun Jayega Koun Nhi Iska Faisla Rabbb E Kaba Karega Vo Bhi Baroz E Qayamat...

Ham Aur Aap Sirf Achhe Aamal Kare Aur Apne Iman O Aqide Ki Hifazat Kare Aur Apne Rab Ki Zaat Par Yaqeen Kare Ki Hume Allah Jannat Ata Kare, Achhe Aamal Karne Ke Baad Duwa Kare Allah Se.. Agar Koi Namaz Nahiñ Parhta To Use Uski Namaz Chhodne Ka Gunah Hoga Or Uska Azab Diya Jayega, Or Aqeedah Durust He Sunni Sahihul Aqeedah He To Azabe Naar Ke Baad Jannat Me Dakhila Hoga, Magar Pahle Uske Gunaho Ki Saza Di Jayegi...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Ashraf Qadri Alimi Sahab Qibla*
*📬Madarsa Lateeful Uloom, Raza Nagar Jigna Mirzapur, Up*
*🗓️6 Feb 2026, 17 Shaban 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Comments

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...