*Ghadi (Watch) Ki Tarah Quraan Hath Me Bandh Kar Usme Dekh Kar Namaz Parhne Ka Hukm ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh
Kya Farmate Haiñ Ulma-E Deen Voh Muftiyan-E Kiram Is Masle Ke Bare Mein Keh
Namaz Mein Ghari Ki Tarah Quran Pak Ko Haath Par Bandh Kar Padhna Kaisa Hai
Saail: Akram Raza Khan
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Namaz Me Dekh Kar Qur'an Padhna Mufsid E Salat Hai, Chahe Hath Me Utha Kar Ho Ya Samne Rakh Kar Ho..
Allama Shaykh Nizamuddin Hanafi Mutawaffa 1161h Aur Ulama-E-Hind Ki Ek Jama‘at Ne Tahrir Farmaya Hai:
( وَيُفْسِدُهَا قِرَاءَتُهُ مِنْ مُصْحَفِ عِنْدَ أَبِي حَنِيفَةَ رَحِمَهُ اللَّهُ تَعَالَى - إِنَّ حَمْلَ الْمُصْحَفِ وَتَقْلِيبَ الْأَوْرَاقِ وَالنَّظَرَ فِيهِ عَمَلٌ كَثِيرٌ . وَلِأَنَّ التَّلَقَّنَ مِنَ الْمُصْحَفِ تَعَلَّمْ لَيْسَ مِنْ أَعْمَالِ الصَّلَاةِ وَهَذَا يُوجِبُ التَّسْوِيَةَ بَيْنَ الْمَحْمُولِ وَغَيْرِهِ فَتَفْسُدُ بِكُلِّ حَالٍ وَهُوَ الصَّحِيحُ.
هَكَذَا فِي الكافي. )
Aur Namaz Fasid Ho Jayegi Agar Mus'haf Se Dekh Kar Padha Imame Aazam Ke Nazdeek. Aap Ne Daleel Yeh Di Hai Ke Qur’an Ko Uthana, Us Ke Waraq Palatna Aur Us Par Nazar Rakhna Yeh Amale Kaseer Hai. Aur Baghair Uthaye Dekh Kar Padhna Ta‘allum (Seekhna) Hai Aur Woh Amal Salat Mein Se Nahiñ Hai. Baher Haal Qur’an Ko Utha Kar Padhe Ya Baghair Uthaye Samne Rakh Kar Padhe, Donoñ Soorat Mein Namaz Fasid Ho Jayegi Aur Yahi Sahih Hai.
*📚(Al-Fatawa Al-Hindiyyah, Al-Mujallad Al-Awwal, Kitab Al-Salah, S.112, Beirut Lebanon)*
Huzoor Sadrushshariyah Alayhir Rahmah Tahrir Farmate Hain,
Namaz Mein Mus'haf Sharif Se Dekh Kar Qur’an Padhna Mutlaqan Mufsid-E-Namaz Hai. Yuñhi Agar Mehrab Waghera Mein Likha Ho Use Dekh Kar Padhna Bhi Mufsid Hai.
*📚(Bahar-E-Shari‘at, Hissa 3, S-609, Razvi Kutub Ghar Dehli)*
Aur Ek Soorat Me to Amal E Kaseer Hai, Ki Us Me Warq Paltega Bhi, Aur Agar Time Ke Hisab Se Quran Khud Chal Raha Ho to Use Stop to Karna Padega Hi, Phir Dusri Soorat Ye Ki Amal Kharij Az Namaz Hai, Aur Namaz Me Agar Kharij Namaz Amal Dakhil Ho Jaye to Namaz Fasid Ho Jayegi, Gair Muqallid Haram Khor Jo Har Baat Par Bid'at Bid'at Chillate Hain Unhone Ab Nai Technology Ijad Kar Li Ki Mobile Ka Hand Stand Bana Diya Ab Use Hath Par Bandh Lo Qur'an Uthane Rakhne Ki Zaroorat Nahiñ, Lekin Ye Jahil Ye Bhool Gaye Ki Is Me Bhi Amal E Kaseer Maujood Hai Ki Baar Baar Us Me Bhi Warq Palatne Honge, Aur Agar Na Bhi Ho Tab Bhi Namaz Me Dekh Kar Qur'an Padhna Mufside Salaat to Hai Hi..
Wallahu Aa'alamu Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️1 March 2026, 11 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment