*Roza Me Rafzi Ke Liye Magfirat Ki Duaa Karne Se Roza Baqi Rahega Ya Nahiñ ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamo Alaikum
Hazrat, Zaid Ne Khamenei (Iran Ka President Rafzi) Ka Status Lagaya Aur Likha Maghfirat Ki Dua Ki, Roze Ki Halat Me, to Roza Baqi Rahega?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Rafzi Ki Maut Par Duaaiya Kalimat Pesh Karna, Us Ke Liye Maghfirat Ki Dua Karna Kufr Hai.
Sarkar Aala Hazrat Imame Ahle Sunnat Mujaddide Deeno Millat Imam Ahmad Raza Khan Fazil-E-Bareilly Alaihir Rahmah Farmate Hain:
“Kafir Ke Liye Dua-E-Maghfirat Wa Fatiha Khwani Kufre Khalis Wa Takzeebe Qur’an Hai.”
*📚(Fatawa Razawiya, Jild 21, Safha 228, Maktaba Dawat-E-Islami)*
Aur Huzoor Tajush Shariah Rahmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain:
“Kafir Ke Liye Dua E Maghfirat Kufr Hai.”
Radd-Ul-Muhtar Me Hai:
"الدعاء بالمغفرة للكافر كفر لطلبه تكذيب الله تعالى فيما اخبر"
Yani Kafir Ke Liye Dua E Maghfirat Kufr Hai, Kyun Ke Yeh Khabar-E-Ilahi Ki Takzeeb Hai.
*📚(Raddul Muhtar, Jild 2, Safha 234, Dar-Ul-Kutub Al-Ilmiyya, Beirut)*
*📚(Fatawa TajushShariah, Jild 2, Safha 130)*
Huzoor Sadrush Shariah Allama Amjad Ali Aazami Alaihir Rahmah Farmate Hain:
BadMazhab Ke Marne Ke Baad Us Ke Liye Dua-E-Maghfirat Karna Mana Hai, Balki Agar Bad-Mazhab Ki Bad-Mazhabi Hadde Kufr Tak Thi Aur Yeh Jante Hue Dua-E-Maghfirat Ki to Yeh Kufr Hai.
SadrushShariah Badrut Tariqa Mufti Amjad Ali Aazami Alaihir Rahmah Likhte Hain,
“Jo Kisi Kafir Ke Liye Us Ke Marne Ke Baad Maghfirat Ki Dua Kare, Ya Kisi Murda Murtad Ko Marhoom Ya Maghfoor Kahe, Ya Kisi Murda Hindu Ko Baikunth Baashi (Jannati) Kahe, Woh Khud Kafir Hai.”
*📚(Bahare Shariat, Jild 1, Hissa 1, Safha 187, Maktabatul Madina, Karachi)*
Chunanche Agar Rawaafiz Ko Kafir Samajhta Tha Aur Un Ke Kufriyat Se Waqif Bhi Tha, to Aisi Surat Me Us Ke Liye Dua-E-Maghfirat Karne Se Kafir Ho Gaya. Aur Jab Kafir Ho Gaya to Us Ka Roza Bhi Baqi Na Raha, Kyun Ke Roza Rakhne Ke Liye Ek Shart Yeh Bhi Hai Ke Musalman Ho.
Jab Kafir Ho Gaya to Us Ka Roza Baqi Na Raha.
Haañ, Agar Janta Na Tha Ke Rawaafiz Apne Aqaide Batila Ki Wajah Se Kafir Hain Ya Un Ke Aqaaid Se Waqif Na Tha, to Agarche Kafir to Na Hua, Lekin Us Par Lazim Hai Ke Tauba Kare, Aur Ihtiyatan Tajdeed-E-Iman Bhi Kar Le. Aur Agar Shadi Shuda Hai to Tajdeede Nikah Bhi Kar Le.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Qadri Razvi Sahab, Meerut Up*
*🗓️2 March 2026, 12 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Comments
Post a Comment