Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Ulti Chappal Ko Sidha Karne Ki Sharai Hesiyat

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamuailkum Ulti Chappal Ko Seedha Karne Ki Sharayii Haisiyat Kya H ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Chappal Ulti Padi Ho To Use Sidhi Kar Dena Chahiye.


Sunni Bahishti Zewar Me Asbaabe Faqro Tangdasti Me He,

Undhe Jute Ko Dekh Kar Sidha Na Karna. (Asbabe Tangdasti Ke Se He)

Daulate Be Zawal Me He Agar Raat Bhar Juta Undha Pada To Shaitan Us Par Aa Kar Bethta He, Or Uska Takht He.


Or Farmate Hai,

Aadmi Ye Bhi Na Bhule Ki Muasare Haqeeqi Allah Ta'ala He Or Har Nafa'a W Nuqsan Ki Kunji Uske Daste Qudrat Me He, Vo Chahe Kare Usse Koi Baaz Purs Karne Wala Nahi.

*📚(Sunni Bahishti Zewar, S-601-602)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓4 July 2021, 23 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musafah Ka Sahih Tareeqa Kya He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum ,Musafha Ka Sahih Tariqa Kya He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,


Musafha Ye He Ki Ek Shakhs Apni Hatheli Dusre Ki Hatheli Se Milaye, Faqat Ungliyoñ Ke Chhune Ka Naam Musafha Nahi He. Sunnat Ye He Ki Donoñ Hathoñ Se Musafha Kiya Jaye Or Donoñ Ke Hathoñ Ke Maabain Kapda Wagairah Koi Cheez Haail Na Ho.


Musafha Ka Ek Tareeqa Vo He Jo Bukhari Shareef Wagairah Me Abdullah Bin Mas'aud Radiallahu Anhu Se Marwi He, Ki Huzure Aqdas ﷺ Ka Daste Mubarak Unke Donoñ Hathoñ Ke Darmiyan Me Tha.


Yaani Har Ek Ka Ek Hath Dusre Ke Donoñ Hathoñ Ke Darmiyan Me Ho. 


Dusra Tareeqa Jisko Ba'az Fuqha Ne Bayan Kiya Or Uski Nisbat Bhi Vo Kahte Hai Ki Hadees Se Sabit He, Vo Ye Ki Har Ek Apna Dahina Hath Dusre Ke Dahne Se Or Baayañ Baayeñ Se Milayeñ Or Anguthe Ko Dabaye Ki Anguthe Me Ek Rag He Ki Uske Pakadne Se Muhabbat Peda Hoti He.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Musafha W Muaanaqa W Bosa W Qayam Ka Bayan, Mas'ala-3)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️4 July 2021, 22 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Juth Bol Kar Qurbani Ka Janwar Kharidna Kesa Or Ek Tariqa

 *🌹SAWAL:-🌹*

AssalamoAlaikum


Agar Mai Qurbani Ka Bakra Lene Jata Hoon Gao(village) Mein To Wo Kaafi Mehnga Dete Hai To Kya Mai Ye Bol Ke Kharid Sakta Hoon Ki Mera Iska Karobar Hai Kyunki Wo Karobar Ke Naam Par Sasta Dete Hai To Is Tarah Jhut Bolkar Lena Jaayez Hai Ya Najaayez 


Inayat Farmaye

Mote Gadde Ya Moti Qaleen Par Namaz Parhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Mote Gadde Par Namaz Parhna Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Gadda Aysa He Ki Us Par Sajda Kiya Jaye To Vo Mukammal Dab Jaye, Mazeed Dabane Se Na Dabe To Us Par Namaz Padhna Durust He, Or Agar Gadda Aysa He Ki Kuchh Dabe Fir Mazeed Dabane Se Ya Mazeed Taqat Lagane Se Dab Jata Ho, To Namaz Na Hogi. Yaani Sajda Karte Waqt Peshani Ka Jamna Zaroori He. Gadda Itna Narm Ya Mota Ho Ki Peshani Na Jame To Sajda Adaa Na Hoga, Or Namaz Bhi Na Hogi.. 


Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Kisi Narm Cheez Maslan Ghas, Rooi Qaleen Wagairah Par Sajda Kiya To Agar Peshani Jam Gai Yaani Itni Dabi Ke Ab Dabane Se Na Dabe To Jaaiz He Warna Nahi. 

Baaz Jagah Jaaroñ(Sardi/Winter) Me Masjid Me Pyaal (Yaani Chawal Ka Bhusa) Bichhate Hai, Un Logoñ Ko Sajda Karne Me Iska Lihaz Bahut Zaroori He Ki Agar Peshani Khub Na Dabi, To Namaz Hi Na Hui Or Naak Haddi Tak Na Dabi To Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hui, Kamani Daar (Yaani Spring Wale) Gadde Par Sajda Me Peshani Khub Nahi Dabti Lihaza Namaz Na Hogi.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Sajda Ka Bayan, Mas'ala-36)*


Or Farmate Hai,

Qaleen Or Bichhonoñ Par Namaz Parhne Me Harj Nahi, Jab Ki Itne Narm Or Mote Na Hoñ, Ki Sajda Me Peshani Na Thahre, Warna Namaz Na Hogi.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohat Ka Bayan, Mas'ala-76)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓19 May 2020, 25 Ramzanul Munarak 1441*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bagal Ke Baal Noch Kar Nikalna Sunnat He ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rehmatullahi Ta'ala Wa Barkatahu Hazrat Kya Bagal Ke Baal Noch Kar Nikaalna Sunnat Hai??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bagal Ke Baaloñ Ka Ukhadna Sunnat He Or Mundna Bhi Jaaiz He.

*📚(Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtar, J-8, S-671)*

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Hajamat Banwana Or Nakhun Tarashne Ka Bayan, Mas'ala-8)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️26 June 2021, 15 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah Ki Lathi Me Aawaz Nahi Kahna Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate Hai Kiram Is Ke Bare Ke Ek Jumla He Allah Ki Laathi Me Aawaz Nahi He.
Ye Kahna Kaisa Isme Koi Harj To Nahi ?


*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Allah Ki Lathi Me Awaz Nahi Is Lafz Ko Umuman Log Bataure Muhawra Bolte He,

Firozul Logat Me Iska Urfi Ma'ana He Ki,
Khuda Is Tarah Zalim Ko Saja Deta He Ki Jiska Saano Guman Bhi Nahi Hota
*📚(Firozul Logat Urdu Jame'a Naya Addison, S-118)*

Isi Tarah Urdu Logat Me Bhi He,
Yaani Allah Ta'ala Zalim Ko Aysi Achanak Saza Deta He Aysi Achanak Zalim Par Aafato Musibat Aati He Ki Koi Soch Bhi Nahi Sakta He...

Aam Taur Se Logo Ki Murad Yahi Hoti He Ki Allah Ki Lathi Me Aawaz Nahi Yaani Allah Ta'ala Zalim Ko Aysi Saza Deta He Ke Aadmi Ke Wahmo Guman Me Bhi Nahi Hota. Is Ma'ana Ke Aitebar Se Bolne Me Koi Shar'an Harj Nahi. 
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️26 June 2021, 15 Zilqad 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Rasto Par Lage CCTV Camera Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Rastoñ Me Kai Jaghoñ Par Jo Camera Hifazati Taur Par Lagaya Gaya He Uska Kya Hukm He ?


Hamne Bataya Wahañ Rukhsat Di Gai He Majbooran Us Camera Ki... Iska Kya Hukm He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Security Ke Liye Cctv Camera Lagane Ke Ta'alluq Se Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Asl Hukm Wahi He Ki Camera Aala He Tasweer Kashi Ka Or Jandar Ki Tasweer Khinchna Khinchwana Banwana Ye Mutlaqan Haramo Najaaiz He Bagair Zaroorate Shadida Jiske Bagair Chara Na Ho Iski Ijazat Nahi, Yahañ Se Mas'ale Ka Hukm Zahir He Jab Ki Hifazat Ka Intezam Dusre Tariqoñ Se Ho Sakta He To Iski Ijazat Nahi Ho Sakti..

Http://jamiaturraza.com/session/8Dec13/9.mp3


Or Camera Se Hifazat Ka Yaqeeni Hona Zaroori Nahi, Ye Tajarba Shahid He Ki Cctv Camera Hone Ke Bawajood Bhi Security Mahfooz Nahi Rahti He Sirf Ek Tasalli He Or Apne Aap Ko Itminan Dena He, Ek Had Tak To Hifazat Ho Jati He Magar Bil Qulliya Yahañ Hifazat Hasil Nahi Hoti Ki Yaqeen Ke Sath Kaha Jaye Ki Cctv Camera Lagane Se Security Hasil Ho Jayegi Or Saman Ya Dusri Chize Mahfooz Ho Jayegi..  Is Liye Ki Jo Log Chori Daketi Karna Chahte He To Camera Hack Karke Ya Camera Se Bach Kar Ke Sare Kaam Anjam De Sakte Hai Ya Muh Wagairah Dhank Kar Bhi Chori Kar Sakte He, Lihaza Camera Se Hifazat Ka Hona Yaqeeni Nahi, Is Liye Haram Kaam Maslan Tasweer Kashi Ki Ijazat Na Di Jayegi. Or Agar Kisi Tarah Zaoorate Shadida Ho Ya Camera Lagane Par Kisi Tarah Majboor Ho Ya Iske Alawa Or Koi Rasta Hi Na Ho To Iski Ijazat Hogi.


Or Agar Saail Ka Sawal Se Murad Ye He Ki Public Place Me Camera Laga Hua Hota He Vahañ Aane Jane Wale Par Kya Hukm He To Ye Camera Lagane Or Lagwane Wale Par Hukm He, Koi Is Camera Se Li Gai Tasweer Ko Najaaizo Haram Hi Manta Ho Or Majbooran Us Public Place Ya Us Jagah Se Guzarna Ho To Isme Us Par Koi Hukm Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️24 June 2021, 13 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...