Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Kuffaro Mushrikeen Ke Liye Dua E Rahmat Karna ?

 *Kuffaro Mushrikeen Ke Liye Dua E Rahmat Karna ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh 

Kya Farmate Hain Ulama-e-kiram Aur Muftiyane Sharae Mateen Darj Zail Sawal Ke Bare Mein Ke 
*Gair-muslim Ke Liye Ham Duaaeñ Kar Sakte Haiñ*

Unke Upar Koi Hadsa Ho Jaaye to Ye Kahna Ki Ya Allah Un Par Raham Farma
Bhalai Ke Liye Dua 
Ya Unka Makan Tut Gaya Ho Uske Bare Mein Dua  
Vagaira Vagaira..

Qur'an W Hadees Ki Roshni Mein Jawab Inayat Farmayeñ 
Sa'il :- Abdullah 
Uttar Pradesh, India

Qurbani Ke Janwar Ki Charbi Wagairah Kutta Ya Billi Ko Khilana Kesa ?

 *Qurbani Ke Janwar Ki Charbi Wagairah Kutta Ya Billi Ko Khilana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Qurbani Ke Janwar Mese Jo Charbi Wagera Nikalta Hai ...waste Maal Jesa Vo Dafn Na Kare or Dusre Janwar Billi ,ya Kutte Ko Khila Sakte Hai Ya Nahi Rehnumai Farmaye..

Theke Par Qurbani Dene Me Jiske Naam Se Qurbani Ho Kya Uske Naam Se Hi Janwar Kharidna Hoga

 *Theke Par Qurbani Dene Me Jiske Naam Se Qurbani Ho Kya Uske Naam Se Hi Janwar Kharidna Hoga ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabaraktuh
Hazrat, Kya Yeh Mas'ala Durust Hai Hazrat?

Aksar Dekha Jata Hai Ke Jab Qurbani Ki Jati Hai, Tabhi Log Naam Lekar Qurbani Kar Dete Hain, Magar Zaroori Mas'ala Yeh Hai Ke Jab Janwar Kharida Jaye to Jinke Naam Ki Qurbani Honi Hai, Unhi Ke Naam Se Janwar Kharida Jaye, Warna Sirf Qurbani Ke Waqt Naam Lene Se Qurbani Nahi Hogi. Kyunki Jiske Naam Se Qurbani Honi Hai, Janwar Unki Milkiyat Mein Hona Zaroori Hai. Aur Kharidne Wale Log Janwar Ko Ikattha Kharid Lete Hain Aur Qurbani Ke Waqt Naam Se Qurbani Karte Hain, Yeh Jayaz Nahiñ Hai Aur Is Tareeke Se Qurbani Nahi Hogi.

Kya Awliya E Kiram Ko Bhi Ilme Gaib Hota He ?

 *Kya Awliya E Kiram Ko Bhi Ilme Gaib Hota He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat 
Kya Gair Nabi Yaani Digar Allah Ke Nek Bando Ko Bhi Ilm E Gaib Hota Hai?
Jawab Inayat Farmaye

Ghar Me Jandar Ki Tasweer Ho Vahañ Namaz Parhna Kesa ?

 *Ghar Me Jandar Ki Tasweer Ho Vahañ Namaz Parhna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hain Ulama-e-kiram Aur Muftiyane sharae mateen Darj Zail Sawal Ke Bare Mein Ke Ghar Mein Koi Be-jaan Ashya Par Jandar Ki Tasveer Bani Ho, Masalan Jhoola Ya Chappal Ke Dabbe Waghera Par, to Is Tasveer Ke Mutalliq Kya Hukm-e-shara Hoga? Indush shara'a Namaz Ka Kya Hukm Hai Jawab Inayat Farma Kar Shukriya Ka Mauqa Dein!!
Jazakallah Khair 

Qurbani Ke Janwar Ka Khun Kapdo Par Lag Jaye To Namaz Ka Hukm

 *_Qurbani Ke Janwar Ka Khun Kapdo Par Lag Jaye To Namaz Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
*السلام عليكم و رحمة الله و بركاته*
Mai Ijtimai Qurbani Me Janwar Zibah Karta Hu Kaseer Tadad Me Zibah Karte Waqt Khoon K Chete Kapde Par Lag Jate Is Surat Me Namaz Ka Kya Huqm Hoga Q K Qurbani Gah Se Masjid Kareeb Hai Lekin Ghar Dur Hai Kapde Badalne Jana Mushkil Hota Hai.

Qurbani K Janwar K Khoon Kapde Par Lag Jay To Kya Huqm Hoga.

Qabr Par Paude Ya Darakht Lagana Kesa ?

 *Qabr Par Paude Ya Darakht Lagana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Qabr Par Paodha Lagana Kaisa Hai ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...