Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Kya Nabi Ummat Ke Kiye Baap Ki Maanid He ?




 *Kya Nabi Ummat Ke Kiye Baap Ki Maanid He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh

Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke
Kuch Log Huzoor-E-Akram ,ﷺ Ke Muta‘Alliq Yeh Hadith Bayan Karte Hain Ke:

“Har Nabi Apni Ummat Ke Liye Baap Ki Manind Hota Hai”

Kya Waqai Mein Aisi Koi Hadith Hai??

Rehnumai Farmaein
Jazak Allah

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Qisam Ki Koi Hadis Meri Nazar Se Na Guzri, Albatta Ek Hadis Sunan Ibne Majah Mein Is Tarah Hai,
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الصَّبَّاحِ ، أَنْبَأَنَا سُفْيَانُ بْنُ عُيَيْنَةَ ، عَنْ ابْنِ عَجْلَانَ ، عَنْ الْقَعْقَاعِ بْنِ حَكِيمٍ ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:" إِنَّمَا أَنَا لَكُمْ مِثْلُ الْوَالِدِ لِوَلَدِهِ، أُعَلِّمُكُمْ إِذَا أَتَيْتُمُ الْغَائِطَ فَلَا تَسْتَقْبِلُوا الْقِبْلَةَ، وَلَا تَسْتَدْبِرُوهَا، وَأَمَرَ بِثَلَاثَةِ أَحْجَارٍ، وَنَهَى عَنِ الرَّوْثِ، وَالرِّمَّةِ، وَنَهَى أَنْ يَسْتَطِيبَ الرَّجُلُ بِيَمِينِهِ".
Abu Hurairah Radiyallahu Anhu Kehte Hain Ke Rasulullah ﷺ Ne Farmaya:
“Main Tumhare Liye Aisa Hi Hooñ Jaise Baap Apne Bete Ke Liye. Main Tumhein Taleem Deta Hoon Ke Jab Tum Qaza-E-Hajat Ke Liye Baitho to Qibla Ki Taraf Na Muñh Karo Aur Na Peeth Karo.” Aap ﷺ Ne Teen Paththaroñ Se Istinja Karne Ka Hukm Diya, Aur Gobar Aur Haddi Se, Aur Daaye Haath Se Istinja Karne Se Mana'a Farmaya.
 *📚[سنن ابن ماجه/كتاب الطهارة وسننها/حدیث: 313] تخریج الحدیث دارالدعوہ: «سنن ابی داود/الطہارة 4 (8)، سنن النسائی/الطہارة 36 (40)، (تحفة الأشراف: 12859)، وقد أخرجہ: مسند احمد (2/ 247، 250) (حسن صحیح)*

Har Nabi Roohani Aitbar Se Apni Ummat Ke Liye Baap Ki Manind Hone Se Murad Yeh Hai Ke Jis Tarah Baap Aulaad Ki Tarbiyat Karta Hai, Isi Tarah Anbiya-E-Kiram Apni Ummat Ki Tarbiyat Karte Hain. Is Liye Baap Ki Manind Kaha Gaya Hai.

Ya Yeh Bhi Mumkin Hai Ke Rasoole Akram ﷺ Apni Ummat Par Walidain Se Bhi Zyada Shafqat Karne Wale Hain, 
Jaisa Ke Qur’ane Muqaddas Mein Hai:
لَقَدْ جَآءَكُمْ رَسُوْلٌ مِّنْ اَنْفُسِكُمْ عَزِیْزٌ عَلَیْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِیْصٌ عَلَیْكُمْ بِالْمُؤْمِنِیْنَ رَءُوْفٌ رَّحِیْمٌ
Beshak Tumhare Paas Tum Mein Se Woh Azeem Rasool Tashreef Laaye Jin Par Tumhara Mushakkat Mein Padna Bohat Bhaari Guzarta Hai. Woh Tumhari Bhalai Ke Nihayat Chahne Wale, Musalmanon Par Bohat Mehrban, Rehmat Farmane Wale Hain.
*📚(Surah Taubah, Ayat 128)*

Khulasa-E-Kalam Yeh Hai Ke Sarkar Do Aalam ﷺ Roohani Taur Par Ummat Ke Liye Baap Ki Manind Hain. Jis Tarah Baap Apni Aulaad Par Shafeeq Hota Hai, Sarkar ﷺ Ummat Par Us Se Hazaar Balke Be-Shumar Guna Zyada Shafqat Farmane Wale Hain. Aur Jis Tarah Baap Aulaad Ki Tarbiyat Karta Hai, Isi Tarah Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Apni Ummat Ki Tarbiyat Farmayi Hai.
Wallahu Aa'alam am Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut Up*
*🗓️27 Feb 2026, 9 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Bahare Masail, #Baharemasail #Baharemasaail

Wahabi Deobandi Ke Yahañ Job Karna Kesa ?

 

*Wahabi Deobandi Ke Yahañ Job Karna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamo Alaikum, Sawal Ye Hai Ki Devdandi Ke Yahan Kaam Karna Kaisa Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Deobandi Wahabi Ke Yaha¡ Naukri Karne Par Is Baat Ka Andesha Ho Ke Hamein Unke Aqeede Ke Muwafiq Rehna Padega, Ya Unke Saath Khana Peena Padega, Ya Unke Janaze Mein Shirkat Karni Padegi, Ya Unke Saath Namaz Padhni Padegi, Ya Unke Dabaao Mein Aakar Shariyat Ke Khilaf Bolna Padega, to Unke Yahañ Naukri Jaaiz Nahiñ.

Kyunki Hadish Sharif Mein Hai Ke Unse Door Raho, Unhe Apne Qareeb Na Aane Do, Kahiñ Woh Tumhein Gumrah Na Kar Dein, Kahin Fitne Mein Na Daal Dein. Agar Woh Bimar Pad Jaayein to Unhe Dekhne Na Jao, Agar Woh Mar Jaayein to Unke Janaze Mein Shirkat Na Karo. Unse Mulaqat Ho to Unhe Salam Na Karo, Unke Saath Paani Na Piyo, Unke Saath Khana Na Khao, Unke Saath Shadi Biyah Na Karo, Unke Janaze Ki Namaz Na Padho Aur Na Unke Saath Namaz Padho.
*📚(Bahawala Anwar-Ul-Hadish)*

Haañ, Agar Is Baat Ki Umeed Ho Ke Mazkoora Bala Baatein Nahiñ Paayi Jayengi Aur Sirf Kaam Se Matlab Rahega, to Naukri Kar Sakte Hain...

Jaisa Ke Fatawa Razviya Sharif Mein Hai Ke Sarkar Aala Hazrat Radiyallahu Anhu Se Sawal Kiya Gaya Ke Randiyaañ Aur Domniyon Ke Yahañ Mazdoori Karke Kamana Jaaiz Hai Ya Nahiñ? Agar Nahiñ Jaaiz to Nasara Ki Naukri Kyun Jaaiz Hai?

To Aap Ne Jawab Mein Irshad Farmaya: Asal Mazdoori Agar Kisi Fe'ale Najaaiz Par Ho to Sab Ke Yahañ Najaaiz Hai, Aur Jaiz Par Ho to Sab Ke Yahañ Jaaiz...
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, Jild 23, Safha 508)*

Khulasa-E-Kalam Ye Hai Ke Agar Wahabi Deobandiyon Ki Ta’Zeem Karni Pade Ya Koi Khilaf-E-Shar‘a Kaam Karna Pade to Naukri Karna Najaaiz Hai, Aur Agar Aisa Kuch Na Ho to Jaaiz Hai.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️26 Feb 2026, 8 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Bahare Masail #Baharemasail #baharemasaail

Personal Loan Par Liye Huve Paisoñ Par Zakaat Ka Hukm



*Personal Loan Par Liye Huve Paisoñ Par Zakaat Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Humne Kuch Saal Pehle 8 Lakh Ka Bank Se Loan Liya Tha 60 Months Ke Liye Jisme Me 31 Months Ho Chuke Ab Tak 330000 Bhar Chuke Hai Toh Aesi Me Personal Loan Par Zakat Ka Kya Huqum Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Personal Loan Jo Hota He Jise Ham Apne Liye Bank Se Qarz (Udhaar) Lete Hai, Vo Kitna Bhi Ham Leñ Uski Wajah Se Ham Malike Nisaab Nahiñ Hote Kyuñ Ki Vo Hamare Upar Already Wajibul Ada He, Is Wajah Se Us Paisoñ Par Zakaat Nahiñ Hoti He..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab 
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️17 March 2026, 27 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
Bahare Masail #Baharemasail #BahareMasaail

Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?



 *Namaz Me Do Sajdoñ Ke Darmiyan Dua Parhna Kesa?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat, Hazrat Mera Ye Sawal Hai Ke Internet Mein Aaj Kal Ek Dua Viral Chal Rahi Hai Jo Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jati Hai, Aap Rehnumai Farmaen Ke Kya Isko Padhna Chahiye Ya Nahi?

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?

Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?


 *Aurat Ka Halate Haiz (Period) Me Dalaailul Khairat Shareef Parhna Kesa?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Hazrat Ki Bargah Mein Sawal Arz Hai Ke,
“Aurat Halat-E-Haiz Mein Dalaail Al-Khairat Sharif Padh Sakti Hai? Kyunki Beech Mein Qurani Ayat Bhi Aati Hain.”
Rehnumai Farmaen
Jazakallahu Khairan Kaseera

Taraweeh Ka Nazrana Tay Karne Ka Jaaiz Tareeqa

 

*Taraweeh Ka Nazrana Tay Karne Ka Jaaiz Tareeqa*

*🌹SAWAL:- 🌹*
Kya Koi Aisi Jaaiz Soorat Hai Ke Tarawih Ka Paisa Pehle Tay Kar Liya Jaye? Ek Aalim Ne Kaha Ke Pehle Se Tay Karne Wale Hafiz Ke Peeche Namaz Nahiñ Hoti. Kya Yeh Baat Sahih Hai?
Saail: Muhammad Anwar Bihar

Naak Me Drop (Dawai) Daalne Se Roze Ka Hukm ?

 *Naak Me Drop (Dawai) Daalne Se Roze Ka Hukm ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Roze Ki Halat Mein Naak (Nose) Mein Drop Dalna Kaisa Hai?
Jawab Inayat Farmaye!!!

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...