*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum...Hazrat
Agar Kisi Shakhs Ko Duaye Qunoot Yaad Karne Ki Salahiyat Ho Fir Bhi Wo Jaan Boojh Kar Agar Wo Yaad Nahi Karke Sirf Rabbana Aatena Padhta Hai To Kiya Aisa Karna Durust Hai Bahawala Jawab Inayat Farmaye?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Yaad Karne Par Qudrat He To Yaad Karni Chahiye Ke Khaas Duaa E Qunoot Ka Padhna Sunnat He, Or Mutlaqan Duaa Padhna Wajib He.
Jesa Ke Sarkaar Aala Hazrat Fatawa Rizwiya Shareef Me Ek Sawal Ke Jawab Me Irshad Farmate He,
Namaz Sahih Ho Jane Me To Kalam Nahi, Na Ye Sajda E Sahw Ka Muhal Ki Sahwan Koi Wajib Tark Na Huva, Duaa E Qunoot Agar Yaad Nahi Yaad Karna Chahiye Ki Khas Uska Padhna Sunnat He, Or Jab Tak Yaad Na Ho
اَللّٰہُمَّ رَبَّنَاۤ اٰتِنَا فِی الدُّنْیَا حَسَنَةً وَّ فِی الْاٰخِرَةِ حَسَنَةً وَّ قِنَا عَذَابَ النَّار
Padh Liya Kare. Ye Bhi Yaad Na Ho To اَللّٰھُمَّ اغفِرلِی Teen Baar Kah Liya Kare, Ye Bhi Na Aata Ho To Sirf یا رب Teen Baar Kah Le Wajib Ada Ho Jayega.
*📚(Fatawa Razviya Shareef, Jild-7)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️7 Feb 2021, 24 Jamadi Ul Aakhir 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment