3 Talaq Ke Baad Wapas Nikah Karne Ke Liye Kya Kare

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh


Teen Talaq Hochuke Ho To Un Shohar Biwi Ko Wapas Nikah Karna Ho To Unhe Tasjdeed E Nikah Karna Hoga Ya Halala Karna Hoga??


Halala Hoga To Uska Taqeeqa Kya Hay


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Shohar Ne Biwi Ko Teen Talaqeñ Dedi To Bagair Halala Ke Chara Hi Nahi, Khwañ Yakbaargi Teen Talaqeñ Deñ Ya Juda Juda Karke Har Soorat Me Bagair Halala Ke Nikah Me Aane Ki Koi Soorat Nahi..


Allah Ta'ala Farmata He,

فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ

Tarjama: Phir Agar Teesri Talaq Use Di To Ab Vo Aurat Use Halal Na Hogi Jab Tak Dusre Khawind Ke Paas Na Rahe.

*📚(Surah Baqrah, Aayat-230)*


Or Yahi Baat Bukhari W Muslim Or Digar Kutube Ahadis Me Nabi E Kareem ﷺ Ne Ek Sahabi Hazrat Rafa'aa Radiallahu Anhu Ki Biwi Se Farmai..


Halala Ki Soorat Ye He Ki Agar Aurat Madkhulah He To Talaq Ki Iddat Puri Hone Ke Baad Aurat Kisi Or Se Nikahe Sahih Kare Or Ye Shohare Saani Us Aurat Se Watee Bhi Karle Ab Us Shohare Saani Ke Talaq Ya Maut Ke Baad Iddat Puri Hone Par Shohare Awwal Se Nikah Ho Sakta He Or Agar Aurat Madkhulah Nahi He To Pahle Shohar Ke Talaq Dene Ke Baad Fauran Dusre Se Nikah Kar Sakti He Ki Iske Liye Iddat Nahi.

*📚(Bahare Shariyat, Fatawa Faqihe Millat, W Digar Kutube Fiqh)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️4 Feb 2021, 21 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts