*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Aqeeqa Karne Ke Liye Baal Katwane Zaruri Hen Kya Aur Ager Aur Ager Han To Kitne Baal Kyunke Bachi Badi H To Thode Baal Katwa Sakte H ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Bachcha Paida Hone Ke Shukriya Me Jo Janwar Zabah Kiya Jata He Usko Aqeeqa Kahte Hai. Hanfiya Ke Nazdik Aqeeqa Mubah W Mustahab He. Ye Jo Kitaboñ Me Mazkoor He Ki Aqeeqa Sunnat Nahi Usse Murad Ye He Ki Sunnate Mu'akkeda Nahi Warna Jab Khud Huzure Aqdas ﷺ Ke Fe'al Se Iska Saboot Maujud He To Mutlaqan Uski Sunniyat Se Inkar Sahih Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-5)*
Lihaza Ab Us Bachchi Ke Baal Katne Ki Koi Zaroorat Nahi,
Kyu Ki Yanha Ke Rasm O Riwaj Se Jab Chhatti Hui Hogi To Baal Bhi Kaate Gaye Honge,, Or Nahi Bhi Kaate Gaye Tab Bhi Aqeeqa Ke Liye Baal Katna Zaroori Nahi.
Halañki Sharai Tour Par Paydaaish Ke Satwe Roz, Aqeeqa Karna Mustahab He,
Or Saath Saath Uska Naam Bhi Rakkha Jaye Or Balo Ko Bhi Kaata Or Un Baalo Ke Wazan Ke Barabar Chandi Khairaat Ki Jaye.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-15, Aqeeqa Ka Bayan)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️8 Feb 2021, 25 Jamadi Ul Aakhir 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment