*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualikum
Hazrat Ki Bargah Me Suwal Hai Ki Mere Ek Dost Ne Mujhse 1 Lakh Rs.. Karze Ke Tor Par Liya Shop Start Karne Ke Liye
Or Usne Ye Kaha Ki Shop Me 30%nafa Tumhara
To Kya Me 30%nafa Le Sakta Hu.....?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Soorate Mas'ula Me Ye Muamla Sood Ka Muaamla He Jo Najaaizo Haram Gunahe Kabeera He. Is Tarah Qarz De Kar 30% Ya Kuchh Bhi Nafa'a Lena Jaaiz Nahi. Ye Sood He.
Jaisa Ki Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Qata'ee Sood Or Yaqeeni Haram W Gunahe Kabeera Khabees W Murdar He.
Hadees Me He,
قال رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم کل قرض جر منفعۃً فہو ربٰو
RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jo Qarz Nafa'a Ko Khinche Vo Sood He.
*📚(کنز العمال حدیث ۱۵۵۱۶ مؤسسۃ الرسالہ بیروت ۶/ ۲۳۸)*
*📚(Fatawa Razviya, J-17, S-269, Baabul Qarz, Mas'ala-115)*
Or Isi Tarah Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Zaid Or Khalid Ka Ye Muaamla Qarz Bashart Sood Ka Muaamla He Jo Qat'an Haram W Gunah He Is Liye Zaid Or Khalid Donon Gunahgar Or Mustahiqe Azabe Naar Huve. Iske Bare Me Hadeese Paak Ke Alfaz Bahut Wazeh Hai,
Irshade Risalat ﷺ He,
كل قرض جر منفعة فهو ربا
Yaani Qarz Ki Wajah Se Jo Nafa'a Hasil Kiya Jaye Vo Sood He.
*📚(Kanzul Ummal, S-238 J-2)*
Haañ Sharai Usool W Zawabat Ki Raushni Me Iske Jawaz Ki Sabse Aasan Ye Soorat Apnai Ja Sakti He Ki Zaid Khalid Ko Ek Lakh Rupye Bataure Qarz Dede Or Ek Rupya Bataure Shirkat Unaan Dede Yaani Khalid Ki Taraf Se Ek Lakh Rupye Tijarat Me Lage Jo Zaid Ne Use Qarz Diye Or Zaid Ki Taraf Se Sirf Ek Rupya Laga, Ab Shirkat Is Tarah Kareñ Ki Tijarat Donoñ Kareñge Uske Baad Tijarat Agarche Khalid Tanha Karta Rahe Isme Koi Harj Nahi Is Se Shirkat Batil Na Hogi Or Nafa'a Fee Sad (percent) Ke Lihaz Se Tay Karleñ Warna Ye Shirkat Bhi Najaaiz Thahregi. Khuda-na-khwasta Tijarat Me Ab Agar Nuqsan Huva To Zahir He Ki Zaid Ka Sirf Ek Rupya He Baqiya Sara Rupya Khalid Ka He To Khasara Uska Hoga Na Ki Zaid Ka Kyuñ Ki Jo Kuchh Zaid Ne Khalid Ko Diya He Qarz He Jo Isse Wasool Karega.
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-275)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️24 March 2021, 10 Shaban 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment