Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Yaume ghadeer sunni ke nazdik manana kaisa.

*🌹SAWAL:-🌹*
Yaume ghadeer ham sunni mana sakte he ya nahi ???

*🌹JAWAB:-🌹*

Bad mazhab niyaz me paisa de to uska khana kaisa ? Agar maloom na ho to kya kare ??

*🌹SAWAL:-🌹*
 Ek dargah he jiske Sandal ke mauke par shiya bhi shamil hote he.. niyaz me unka bhi hissa hota he... waha niyaz kha sakte he...????
Or agar
Niyaz me unka hissa he ya nahi ye maloom nahi.. kehte he ki waha bahar ek peti he usme sab paise dalte rehte he..usi paiso se banta he...
To vaha khana kaisa ????

*🌹JAWAB:-🌹*

Shiya log allah tabark w ta'ala, huzur sallallahu alaihi w sallam w sahab e kiram ki shan me gustakhiYa karne wale kafir he...

Agar dargah ki niyaz me shiya ya kisi bhi badmazhab ka paisa he to use khana najaizo haram he.

Or agar dargah me peti rakhi hui he usme sabhi log paise dal sakte he. Maslan shiya, wahabi,jugari,sharabi, hindu, musalman vagairah...
Or hame maloom nahi ki usme kis kis ka paisa he to us se door rahna chahiye...

Jaisa ki "huzur sallallahu alaihi w sallam ne farmaya ki jo mustabah chizo se bacha vo apne deen or izzat ko bacha liya.Or jo shakhs mustabah chizo me pada vo haram me waqe'a huaa."(bukhari w muslim)

Mustabah yaani jis chiz ka haram w halal hona quraan w hadiah se sabit na ho... ya uske haram w halal hone me shak ho...

Is liye aesi jagah par nahi khana bahetar he...agar puri tahEkik na ho to Usse parhez karna bahetar he..

  • Is liye pahele taheqik kar lena bahetar he


Wallahu ta'ala aa'alam

~,.,..,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Eid e ghadeer ahele sunnat w jama'at ke nazdik..ghadeer ki shuruaat kaha se or kab hui ?? Shiya ka.fitna


✳Sawal

➡As Salaamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatahu
🌟Hazrath Rehnumayi Farmaye Aur Apne Ilm Se hame bhi Malala Farmaye...

♻Ghadeer ka matlab Kya hai..Ulma e Ahle Sunnat ka Is per Kya Aqida hai..Baraye Meharbani Tafseel se batayen..

JazakAllahu khaira..

✴Jawaab:

SARE JAHAn Se ACHCNA HINDUSTAN HAMARA YE PADHNA KAISA ??

*🌹SAWAL:-🌹*
"Sare jahan se achcha hindustan hamara" ye sher padhna kaisa???

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye sher dr iqbal ne desh ki muhabbat ke taur par  kaha he na ke  buzuragi ke taur par is liye sare jahan se achcha kuch watan Murad li jaae to kabahaT nahi..keh sakte he..

```Al-jawab:- Mufti Sharfuddin Razvi
darul ulum qadariya habibya hawda bangal```
~,.,..,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Namaz me surah fatiha ke baad surah milana wajib or hadish se sabit he


*🌹SAWAL:-🌹*

Sura e fatiha ke baad surah milana kaisa??
Or badmazhab kahte he ki surah fatiha ke baad surah na milai to bhi namaz ho jaaegi .kya ye sahi he ???

*🌹JAWAB:-🌹*

*👉🏻FARZ NAMAZ KI PAHELI DO RAKAAT OR SUNNAT W NAFL KI SABHI RAKATO ME ALHAMDU SHAREEF KE BAAD SURAH MILANA WAJIB HE*
```jaisa ki kitabo me maujud he👇🏻```

"Farz namaz ki pahli do rak'aato me or witr, sunnat ya nafl ki kisI bhi rak'at me sura e fatiha ki ek aayat padhna bhul gaya ya surat se pahle 2 martaba alhamdu Shareef padhi, *ya alhamdu shareef ke sath surat milana bhul gaya,* ya alhamdu shareef se pahle surat padhi or alhamdu Shareef ko baad me padha to *sajda e sahw wajib"*

*(Durre mukhtar,aalamgiri,bahare shariyat,hissa 4 safa 40, or Fatawa razviya jild 3 safa 123/134)*

👉🏻Or aap ne ek or sawal kiya ki badmazhab kahte he ki namaz me alhamdu Shareef ke baad surah nahi milana chahiye.

To pahli baat ye ki  4 mazhab he or charo mazahib me namza ka Tarika alag alag he.

Or ham alhamdulillah sunni Hanfi he

Hazrat Ubada Bin Saamt radiallahu anha Nabi e karim sallallahu alaihi w sallam Se Riwayat Karte He k Aap sallallahu alaihi w sallam Ne Farmaya jo Surah Fatiha Or is Se Zaayid (Yani Aik Or Surat) Na Parhe To is ki Namaz Nahi Hoti.
Is Hadith k Rawi Sufyan radiallahu anha farmaate He k Ye Hukam us Shakhs k Liye He jo Akele Namaz Parh Raha Ho…
*Ref:Sunan Abi Daud, j#01, p#119, Darul Isha’at Karachi.*

*_Sahi Muslim, j#01,P#169,Al-Meezan Karachi._*

*Sunan Nisai, j#01,p#145, Darul Isha’at Karachi.*

👉🏻NAMAZ ME SURAH FATIHA KE BAAD~

"namaz me surah fatiha ke baad surat padhna or usse pahle bismillah padhna"
*(Muslim hadish#894)*

"Pahli do rakato me surah fatiha ke sath or surat ya quraan ka kuch hissa bhi padhna"
*(Bukhari hadish#762, muslim hadish#1013, daud hadish#859)*

_"Or aakhir 2 rak'ato me sirf surah fatiha pdhna or kabhi kabhi surat bhi padhna"_
(farz ki aakhri rakato me sirf surah fatiha padhna, or sunnat w nafl ki sabhi rakato me surah fatiha ke baad quraan ki aayate ya surah padhna)
*(Muslim hadish#1013,#1014)*


In hadisho se sabit he ki surah fatiha ke baad surah milana wajib he or agar bhul kar koi surah ya quraan ki aayat milana bhul gaya to sajda e sahw wajib or agar jaanbuj kar surah fatiha ke baad quraan ki aayat na padhi to uski namaz na hui...

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

MUSALMAN KE LIYE RAKHI BANDHNA KAISA ??

*_🌹SAWAL:-🌹_*
Ek bhai ne ek hindu ladki ko behan banaya he.. wo har rakhshabandhan par usse rakhi bandhwate he aur use paise dekar usse mithayi lete he... inpar kya sharyi hukm he?  Rehnumayi farmaye...

*_🌹JAWAB:-🌹_*

Jin musalman aurto ne hinduo ko ye dora bandha ya jin musalman mardo me hindu aurto se ye dora bandhwaya *vo sab fasiq o fajeer, gunehgaar, mustahqqe azabe naar hue.lekin kafir na hue* is liye ke ye rakhi bandhan pooja nahi. Un ka kaumi tyauhar he or inka ye qaumi shuaar he.mazhabi shuaar nahi. Kisi bhi kafir ke qaumi shuaar ko ikhtiyar karna haram v gunah he. Jaise holi khailna. Haa kisi kafir ke mazhabi shuaar ko ikhtiyar karna zaroor kufr he.
Mazhabi shuaar ka matlab ye hota he ki vo cheez un ke mazhab me ibadat ho ya vo cheez un ke mazhab ki roo se un ke mazhab ki alamat ho.
Jaise choti rakhna,zunar bandhna. Or rakhi bandhna na to un ke mazhab me ibadat he or nahi un ke mazhab ki roo se un ki mazhabi alamat . Ye ek qaumi rasm he.
Wallahu ta'ala aa'alam

*(FATAWA SHAREH BUKHARI,JILD 2,SAFA 565)*

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza khan Azhari(PETLAD)_*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Gyarvi barvi manana hadish w buzurgane deen se sabiT

*_🌹SAWAL:-🌹_*
gyarvi barsi karna jayaz hai ya nai
 Kyunki in chizon ko ek khas din muqarrar kiya jaata hai Aur ye ek nayi parampara ek naya riwaj ki tarah ban jaata hai To yeh kya biddat hoti ya nai ????

*_🌹JAWAB:-🌹_*

Gyarvi barvi karna bila shakko subah jaiz he.
Ye isale sawab ki hi ek kism he.. Ye ek mustahab amal he or Ise karne se sawab milta he.
Naya riwaz vo mana he jise shariyat ne mana kiya ho..

*🌹JISNE ACHCHA AMAL IJAD KIYA USE SAWAB MILTA HE👇🏻*

*_📝Hadees :🌹_*
“Hazrat Jareer Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :
Jis Ne Koi Achchha Tareeqa Jaari Kiya Phir Us Par Amal Kiya Gaya To Us Ke Liye Apana Sawaab Bhi Hai Aur Use Amal Karne Waalon Ke Baraabar Sawaab Bhi Milega.
Jab Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee (Bhi) Na Hogi Aur Jis Ne Koi Bura Tareeka Jaari Kiya.
Phir Woh Tareeqa Apnaaya Gaya To Us Ke Liye Apana Gunaah Bhi Hai Aur Logon Ke Gunaah Ke Baraabar Bhi Jo Us Par Amal Paira Huwe.
Baghair Us Ke Ki Un Ke Gunahon Me Kuchh Kamee Ho.”
References :
*(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 71, Kitabul Ilm, Baab : Hadees : 2675)*
*‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏*
```_Imam Abu Isaa Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahi Hai.```
👉🏻IS SE SABIT HUAA KI NEK AMAL KARNE SE SAWAB MILTA HE📚

*_🌹NEK KAAMO KE LIYE DIN MUKARRAR KARNA HADISH SE SABIT👇🏻_*

*_📝Hadees :🌹_*
“Hazrat Kaab bin Malik Radi Allaho Anho Se Marvi Hai k Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat k Din Ghazwa E Tabook k liye nikle Aur Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat k roz hi Safar Karne ko Pasand Farmate the”
Reference :
*(Sahi Bukhari Vol : 03, pg : 98, Kitabuz Jihad, Hadees : 2950)*
👉🏻IS SE SABIT HOTA HE KI KISI NEK AMAL KE LIYE DEEN MUKARRAR KARNA HADISH SE SABIT HE📚

*🌹GYARVI SHAREEF KARNA BUZURGO SE SABIT HE👇🏻*

Shah Abdul Aziz Muhadis Dahelvi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1239 Hizri) jo Hazrat Shah Waliullah K bete Bhi Hai Aur Wahabiyo k Aaka Aur Maula Shah Ismail Dahelvi k Chacha bhi
Wo khud Apne wakt ki baat Farmate Hai k 11 vi Sharif Sarkari taur pe Manayi jaati thi
“Farmate Hai ki Hazrat Gaus Aazam Radi Allaho Anho k Rauz E Mubarak Par Gyarvi Tareekh Ko Badhshah Wagaira Shaher k Aqabeerin Jama Hote Namaz  E Asr K Baad Magrib Tak Kalamullah k baad Sazzada Nasheen Darmiyan Me Tashrif Farma Hote Aur Unke Ird Gird Mureedin Aur Halka bagosh Baith Kar Jikr Jehar Karte Isi Halaat me baaj Par Wazdani Kaifiyat Taari Hojati Uske Tamam Shirni Jo Niyaz tayyar Ki Hoti Taksim Ki jaati Aur Namaz E Isha padhke Log Rukhsat Hote”
*_(Malfoozat E Azizya pg : 62 Farsi)_*
👉🏻IS SE SABIT HOTA HE KI GYARVI SHAREEF KARNA AAJ KAL KA NAHI BUZURGANE DEEN SE SABIT HE📚

*_📝Or bhi kai hadish w buzurgane deen se sabit hawale maujud he lekin post zyada lambi ho jane ki vajah se yaha likhe nahi ja sakte📚_*

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza khan Azhari(PETLAD)_*
📲+
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...