Ghar Me Namaz Padhne Wala Paas Wali Masjid Ki Azan Ka Intezar Kare Ya Kahi Bhi Azan Se Namaz Padhle
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Mera Sawal Ye Hai Ki Kisi Ek Masjid Mein Azan Hojaye To Kya Humko Ghar Mein Ya Kahi Bhi Tab Namaz Ada Kar Saktey Hai Ya Hamare Pass Wali Masjid Mein Azan Hone Tak Rukna Hoga Iska Jawab Bahawala Inayat Farmai Hazrat Meherbani Hogi
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Koi Shakhs Ghar Me Namaz Padhta Ho To Uske Liye Ye Zaroori Nahi Ki Usi Ke Muhalle Ki Azan Ke Baad Namaz Padhe. Balki Shahar Me Kahi Bhi Azan Ho Jaye Jiski Aavaz Ghar Aati Ho Uske Baad Vo Namaz Ada Kar Sakta He.
Jaisa Ki Fatawa Shami Me Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Taherir Fatmate He,
لكن لا يكره تركه لمصل في بيته في المصر لأن الأذان الحي يكفيه،
*📚(رد المحتار ۔۔کتاب الصلوۃ، باب الاذان)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️30 Aug 2021, 21 Muharramul Haram 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Takht Ya Charpaai Par Namaz Padhna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualaikum
Takhat Ya Charpai Par Namaz Padhna Kesa H
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Charpai Ya Takht Par Sajda Ki Jagah Aysi He Jahañ Peshani Bilkul Jam Jati Ho, Yaani Mazeed Agar Dabaye To Na Dabe To Namaz Ho Jayegi.. Umooman Charpai Aysi Hi Hoti He. Kuchh Hi Aysi Hoti He Jisme Mote Gadde Wagairah Se Peshani Jam Nahi Paati.. Lihaza Agar Peshani Sahih Tarah Se Jam Jati Ho To Charpai Ya Takht Par Namaz Ho Jayegi..
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Tehrir Fatmate Hai,
Asl In Masaail Me Ye He Ki Jo Cheez Aysi Ho Ki Sajda Me Sar Us Par Mustaqar Ho Jaye Yaani Uska Dabna Ek Had Par Thahar Jaye Ki Phir Kisi Qadr Mubalga Kareñ Usse Zaaid Na Dabe Aysi Cheez Par Namaz Jaaiz He Khwañ Vo Charpai Ho Ya Zameen Par Rakha Huva Gaadi Ka Khatola Ya Koi Shay.
Allama Ibrahim Halbi Gunya Me Farmate Hai,
ضابطہ ان لایتسفل بالتسفیل، فحینئذ جاز سجودہ علیہ۔
Iska Zabta Ye He Ki Agar Dabane Se Niche Na Dabe To Us Par Sajda Jaaiz He.
*📚(غنیۃ المستملی الخامس من فرائض الصلوۃ السجدۃ مطبوعہ سہیل اکیڈمی لاہور ص۲۸۹)*
Raddul Muhtar Me He,
تفسیرہ،ان المساجد لوبالغ لایتسفل رأسہ ابلغ من ذلک، فصح علی طنفسۃ وحصیر وحنطۃ وشعیر وسریر وعجلۃ انکانت علی الارض۔
*📚(ردالمحتار فصل فی تالیف الصلوۃ الی انتہائہا مطبوعہ مصطفی البابی مصر ۱/۳۷۰)*
Iski Tashreeh Ye He Ki Sajda Karne Wala Agar Sar Ko Mazeed Niche Karna Chahe To Na Kar Sake, Is Liye Dabaiz Par, Thori Par, Gundum Par, Jaw Par, Takht Par Or Gaadi Par Agar Vo Zameen Par Khadi Ho To Sajda Saheeh He.
Nazar Kijye To Ye Khas Mas'ala Ka Juzya He Zabane Arab Me "سریر" Takht W Charpaai Donoñ Ko Shamil He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, Mas'ala-322)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓29 Aug 2021, 20 Muharram Ul Haram 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Machhali Ka Anda Khana Kesa
*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hazrat
Kya Machli Ke Ande/Egg Khana Jayaz Hai?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jis Janwar Ka Gosht Halaal He Uske Ande Bhi Halaal Or Jis Ka Gosht Khana Haram Uske Ande Khana Bhi Haram He. Lihaza Machhli Chuñki Halal He To Uske Ande Khana Bhi Jaaiz W Halaal He.
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,
Halal Janwar Ka Kachha Paka Anda Sab Halal He. Haañ Ki Vo Khun Ho Jaye Najis W Haram.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-21, Mas'ala-279)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️11 Aug 2021, 1 Muharram 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Hadees Me Huzur Ne Farmaya "Vo Ham Me Se Nahi" Se Kya Murad He
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Mera Suwal Yeh Hai Ke..
*Kahi Hadeeso Me Yeh Alfaz Aaya Hai Ke Huzoor Ne Farmaiye Woh Hum Me Se Nahi* Isse Kya Muraad Le ...
Iska Kya Matlab Hota Hai Yeh Janna Thaa...
Rehnumai Farmaiye
Jazak Allah
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Allama Muhammad Bin Shafai Alaihir Rahma Farmate Hai,
"Ham Me Se Nahi" Ka Matlab He Ki Hamari Sunnat Par Nahiñ Ya Hamari Raah Par Nahiñ Ya Hamare Raste Par Nahiñ.
*📚(دلیل الفالحین ، باب فی توقیر العلماء والکبار واھل الفضل ، ۲ / ۲۱۳ ، تحت الحدیث : ۳۵۵)*
Allama Abdul Rauf Manawi Alaihir Rahma Farmate Hai,
"Ham Me Se Nahiñ Yaani Hamare Kamil Musalmanoñ Me Se Nahiñ".
*📚(فیض القدیر ، حرف اللام ، ۵ / ۴۹۴ ، تحت الحدیث : ۷۶۹۲)*
Mufassire Shaheer, Muhaddise Kabeer Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate Hai,
"Ham Me Se Nahiñ, Yaani Hamari Jama'at Se Ya Hamare Tariqa Waloñ Se Ya Hamare Pyaroñ Se Nahi Ya Ham Usse Bezar Hai Vo Hamare Maqbool Logoñ Me Se Nahiñ, Ye Matlab Nahiñ Ki Vo Hamari Ummat Ya Hamari Millat Se Nahi Kyuñ Ki Gunah Se Insan Kafir Nahiñ Hota Haañ Jo Hazraate Ambiya E Kiram Ki Tauheen Kare Vo Islam Se Kharij He.
*📚(مرآۃ المناجیح ، ۶ / ۵۶۰)*
*📚(Faizane Riaz Us Saliheen, J-4, S-41)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️9 Aug 2021, 29 Zulhijja 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Aurat Ka Kaan Or Naak Chhedna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kaan Or Naak Chhiena Kis Ki Sunnat He ? Ya Sirf Jaaiz He. Or Awam Me Jo Ye Baat Mashhoor He Ki Kaan Ki Narm Haddi Chhedna Aurtoñ Ke Liye Sunnat He Or Is Par Ghar Wale Dabao Dalte Hai Kya Ye Sahih He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Aurtoñ Ko Nath Ya Bulaq Ke Liye Naak Chhedna Jaaiz He Jis Tarah Baaloñ, Baaliyoñ, Kaan Ke Gahnoñ Ke Liye Kaan Chhedna..
Durre Mukhtar Me He Ki,
Ladki Ke Kaan Chhedne Me Bataure Istehsaan Koi Mazaaiqa Nahi Kiya Naak Chhedna Bhi Jaaiz He.
*📚(درمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی البیع مطبع مجتبائی دہلی ۲/ ۲۵۲)*
Mene Isko Nahiñ Dekha, Lekin Allama Tahtawi Ne Farmaya Ki Me Kahta Huñ Ki Agar Ye Kaam Aurtoñ Ki Zebaish Me Shamil He Jaisa Ki Ba'az Shahroñ Me Riwaj He To Phir Ye Baliyoñ Ke Liye Kaan Chhed Ne Ki Tarah Ka Amal He. Or Allama Sindhi Madni Ne Farmaya, Shafaafe'a Ne Is Ke Jaaiz Hone Ki Tasreeh Ki He.
*📚(حاشیہ الطحطاوی علی الدرالمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی البیع دارالمعرفۃ بیروت ۴/ ۲۰۹)*
*📚(ردالمحتار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی البیع داراحیاء التراث العربی بیروت ۵/ ۲۷۰)*
In Donoñ Ki Baatoñ Ko Allama Shami Ne Naql Karne Ke Baad Barqarar Rakha He. Me Kahta Huñ Is Me Kuchh Shak Nahi Ki Kaan Chhedna Huzur ﷺ Ke Ahde Mubarak Me Mut'aarif Or Mash'hoor Tha Or Huzure Paak ﷺ Ne Is Par Itla'a Paai Magar Mumaneat Nahiñ Farmai, Ye Dukh Pahunchana Sirf Zebo Zinat Ke Liye Hoga Or Is Tarah Ye Bhi He Ki Kyuñ Ki Donoñ Ka Hukm Masaawi He. Pas Iska Jaaiz Hona Dalaalate Nas Ki Buniyad Par Sabit Ho Gaya Is Ilm Se Jis Me Mujtahid Wa GairMujtahid Mushtark Hai Jaisa Ki Ye Baat Apne Muhal Me Sabit Ho Chuki He.
Or Vo Sirf Ek Amre Mubah He Farz Wajib Sunnat Aslan Nahiñ, Haañ Jo Mubah Ba Niyyate Mahmooda Kiya Shar'an Mahmood Ho Jata He. Jaise Missi Lagani Ki Aurat Ko Mubah He Or Agar Shohar Ke Kiye Sungaar Ki Niyat Se Lagaye To Mustahab Ki Ye Niyyat Shar'an Mahmood He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, Mas'ala-185)*
Lihaza Aurtoñ Ko Naak Or Kaan Chhidna Jaaiz He, Or Ye Farz Wajib Ya Sunnat Nahiñ Balki Mubah He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓8 Aug 2021, 28 Zulhijja 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Eide Ghadeer Ki Mubarak Baad Dena Kesa ?
Bazar Se Laai Machhli Par Fatiha Dena Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualaikum
Bazaar Se Kharid Kr Laayi Hui Machli Ko Paka Kr Uspe Fatiha Dilana Kesa H .. Kuch Aetraaz Bhi Karte He Sahi Masla Bataye..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Koi Haraj Nahi, Fatiha De Sakte He, Or Usko Kha Bhi Sakte He, Albtta Wo Machhli Jo Taalab Ya Dariya Me Mar Kar Upar Aakar Terne Lage Usko Samak E Tafi Kehte He Uska Khana Jaaaiz Nahi.
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Machhli Tar Ho Ya Khushk Mutlaqan Halal He.
قال تعالی واحل لکم صید البحر ۳؎۔
Allah Ta'ala Ne Farmaya: Halal Kiya Gaya Tumhare Liye Bahri Shikar Ko.
*📚(Al Qura'an, 5/96)*
Siwa E Taafi Ke Jo Khud Bakhud Bagair Kisi Sababe Zahir Ke Darya Me Mar Kar Upar Aati He.
Aalamgiri Me He,
:السمک یحل اکلہ الاماطفا منہ۔
Yaani Machhali Khana Halal He Masiwa E Paani Par Terne Wale Mar Kar.
*📚(فتاوی ہندیۃ کتاب الذبائح الباب الثانی نورانی کتب خانہ پشاور ۵ /۲۸۹)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-20, Mas'ala-169)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️30 July 2021, 19 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•