Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Azan Ke Dauran Namaz Parhna Kesa ?

 *Daurane Azan Namaz Parh Sakte Hai ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hajrat Ek Sawal Aur Arz Hai Ki Jaise Abubakar Masjid Me Johar Ki Jamat 1:30 per Hoti H Aur Uske 100 Mitre Ke Doori per Ek Aur Masjid Hai Jama Masjid Us Masjid Ki Azan 1:30 per Hoti Hai to Jama Masjid Me Azan Ho Rhi H Aur Abubakar Masjid Me Jamat Hone Lagi to Kya Hukum Hai Namaz Padhi Jayege Aur Namaz Mani Jayege Jabki Hukum Hai Ki Azan Ke Wakt Quran Shareef Ko Bhi Band Kar Diya Jaye ? 

Mahrabani Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Ye Jaaiz Hai, Is Me Harj Nahiñ Hai, Azan Ke Dauran Qur'an Ki Tilawat Rok Kar Zaban Se Azan Ka Jawab Dena Amr E Mustahab Hai, Lekin Ye Hukm Namaz Ke Liye Nahiñ..

Bahrur Raaiq Me He,
 في ثمانیۃ مواضع إذا سمع الأذان لا یُجیب: في الصلوٰۃ وثلاث خطب الموسم، والجنازۃ، وفي التعلم العلم وتعلیمہ، والجماع، والمستراح وقضاء الحاجۃ والتغوط۔ *📚(البحر الرائق ۱؍۲۶۰)*

ویجیب وجوباً مع سمع الأذان ولو جنباً لا حائضاً ونفساء وسامع خطبۃ وفي صلاۃ جنازۃ وجماع، ومستراح وأکل وتعلیم علم وتعلمہ (درمختار) قال الشامي: قولہ: لا حائضًا ولا نفساء: لأنہما لیسا من أہل الإجابۃ بالفعل بخلاف الجنب؛ لأن حدثہ أخف من الحیض والنفاس لا مکان إزالتہ شریعا، قولہ: مستراح: أي بیت الخلاء، قولہ: وتعلیم علم، أي شرعي فیما یظہر ولذا عبر في الجوہرۃ: بقراء ۃ الفقہ۔ 
*📚(درمختار مع الشامي ۱؍۳۹۶ کراچی، ۲؍۶۵-۶۶)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Namazi Ke Aage Teen Saf Se Guzarna Kesa ?

 *Namazi Se Aage Teen Saf Se Guzarna Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Masjid Badi Ho to Teen Saf Ke Aage Se Nikal Sakte Hain Kya?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masjide Kabir (Yaani Badi Masjid, Jaise Masjide Haraam Aur Masjide Nabawi Sharif Ke Fi Zamana Apne Azeem Raqbe Ki Wajah Se Masjid-E-Kabir Hain) Mein Agar Koi Namaz Ada Kar Raha Ho, to Baghair Sutrah Mauza-E-Sajdah (Qayam Ki Haalat Me Sajda Ki jagah Ki Taraf Nazar Kareñ, To Jitnj Door Tak Nigah Ihata Mare Us) Tak Guzarna Jaaiz Nahiñ. Albatta Mauza-E-Sajdah Ke Bahar Se Guzar Sakte Hain. Neez Agar Koi Shakhs La-Ilmi Mein Namazi Ke Aage Se Guzar Gaya to Woh Gunahgar Nahiñ Hoga. Aur Tahqiq Yeh Hai Ke Mauza-E-Sujood Teen Gaz Hai. To Shehar Ki Jame'a Masjid Agar Raqbe Ke Hisab Se Badi Ho, Aur Badi Masjid Se Murad Woh Hai Jo Nihayat Wasee O Areez Ho, Jis Mein Misl-E-Sehra Ittisal-E-Sufuf Zaruri Ho, Jaise Masjid-E-Khwarizm Ke Solah Hazar Sutoon Hain Aur Masjid-E-Quds, Aur Aaj Kal Masjide Nabawi Sharif Aur Masjid-E-Haram Sharif Bhi Badi Masjidein Hain.

Chunanche Masjid-E-Kabir Ki Wazahat Karte Hue Imame Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ Irshad Farmate Hain:

“Masjid-E-Kabir Sirf Woh Hai Jis Mein Misl-E-Sehra Ittisal-E-Sufoof Shart Hai, Jaise Masjid-E-Khwarizm Ke Solah Hazar Sutoon Par Hai. Baqi Aam Masajid Agarche Das Hazar Gaz Mukassar Hon Masjid-E-Saghir Hain Aur Un Mein Deewar-E-Qibla Tak Bila Haail Murur (Guzarna) Najaaiz.”
*📚(Fatawa Razawiyyah, Jild-7, Safha-257)*

Sharai Council of Bareilly Sharif Ke Faisle Mein Hai:
“Baaz Fuqaha-E-Kiram Ka Qaul-E-Mukhtar Yeh Hai Ke 60 Gaz Wasee O Areez Masjid, Masjid-E-Kabir Hai, Magar Aala Hazrat Ka Mukhtar Yeh Hai Ke Jo Masjid Nihayat Wasee O Areez Ho Jis Mein Misl-E-Sehra Ittisal-E-Sufuf Shart Hai, Jaise Masjid-E-Quds Aur Masjid-E-Khwarizm Hai, Un Ke Ilawa Masjidein Masjid-E-Saghir Hain... Bittifaq-E-Raaye Yeh Tay Hua Ke Ab Masjid-E-Nabawi Aur Masjid-E-Haram Masjid-E-Kabir Ho Gayi Hain, Kyun Ke Aala Hazrat Ne Jame'a Quds Ko Masjid-E-Kabir Maana Jis Ka Kul Raqba (Area) 144000 Ek Lakh Chawalis Hazar Meter Hai Aur Masjid-E-Nabawi Aur Masjid-E-Haram Ka Kul Raqba Jame'a Quds Se Kai Guna Zyada Hai. Masjid-E-Haram Ka Kul Raqba (Area) 356000 Teen Lakh Chhappan Hazar Murabba Meter Hai Aur Masjid-E-Nabawi Ka Kul Raqba (Area) 365000 Teen Lakh Painsath Hazar Murabba Meter Hai. To Yeh Dono Masjidein Badarja Awla Masjid-E-Kabir Hain. Wallahu Ta'Ala a'Lam Bis Sawab.”
*📚(Pandrahwan Salana Fiqhi Seminar, Sharai Council of India, Bareilly Sharif)*

Chunanche Shehar Ki Jame'a Masjid Agar Is Qadr Wasee O Areez Ho to Beshak Us Mein Teen Saf Ke Aage Se Guzarna Durust Hai, Warna Agar 10000 Gaz Mukassar Bhi Ho to Deewar-E-Qibla Tak Nikalna Jaaiz Nahin Hai,

Jaisa Ke Sarkar Aala Hazrat Imam Ahl-E-Sunnat Imam Ahmad Raza Khan Fazil-E-Barelvi علیہ الرحمہ Farmate Hain,
“Aam Masajid Agarche Das Hazar Gaz Mukassar Hoñ Masjid-E-Saghir Hain Aur Un Mein Deewar-E-Qibla Tak Bila Haail Murur (Guzarna) Najaaiz.”
*📚(Fatawa Razawiyyah, Jild 7, Safha 257, Raza Foundation, Lahore)*
Wallahu a'Lam Bis Sawab
Katabahu
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️5 March 2026, 15 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Wakil (Advocate) Ko Bhag Kar Nikah Karne Waloñ Se Wakalat Ka Paisa Lena Jaaiz He Ya Nahiñ ?

 *Wakil (Advocate) Ko Bhag Kar Nikah Karne Waloñ Se Wakalat Ka Paisa Lena Jaaiz He Ya Nahiñ ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Musalman Ladka Aur Musalman Ladki Dono Apni Marzi se Bhaag Ke Shadi Karna Chahe or Usme Vakil Vakalat Ke Taur Par Nikah Wagera Karwake Legal Marriage Registration Karwake De to Vo Vakil Ke Liye Shadi Karvana or Marriage Registration Ki Legal Process Karwake Fees Lena Jaiz Hai Ya Nahi??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aaj Kal Bhag Kar Nikah Karne Ka Zamana Chal Raha Hai Ladkiyañ Aur Ladke Deen Mazhab Se Be Niyaz Ho Kar Apni Marzi Ka Nikah Karte Hai Maañ Baap Bhai Bahen Aur Darjano Rishtedaroñ Me Kisi Ki Parwah Nahiñ Karte 
Aise Nikah Me Wakalat Karna Ya Kisi Tarah Ki Madad Dena Najaaiz Hai, Aisa Isliye Ke Fitne Ka Darwaza Khulega Aur Bachche Mazeed Nafarmani Me Jaree Honge.. 

Isliye Bhagoro Ka Nikah Karwana Aur Unki Madad Karna Us Par Fees Charge Karna Sab Najaaiz Hai...
Albatta Agar Nikahe Saheeh Ho to Uski Fees Jaaiz Hai.
واللہ اعلم بالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Mufti Nizamuddin Razvi Amjadi Sahab Qibla*
*📬 Khadimut Tadrees Jaamia Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow Up*
*🗓️23 Apr 2026, 5 Zul Qadah 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Bachche Ko Dudh Pilane Ki Muddat Kitni He ?

 *Bachche Ko Dudh Pilane Ki Muddat Kitni He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
 Assalamualaikum Hazrat Ma Apni Bache Ko Doodh Kitne Time Tak Pila Sakti H

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Doodh Pilane Ki Muddat Zyada Se Zyada 2 Saal Hai Chahe Ladka Ho Ya Ladki, Us Ke Baad Pilana Jaaiz Nahiñ, Haañ Uske Pahle Agar Chhudana Chahe To Chhuda Sakte Hai...

Jaisa Ki Quraan Majeed Me He,
وَالْوَالِدٰتُ یُرْضِعْنَ اَوْلَادَهُنَّ حَوْلَیْنِ كَامِلَیْنِ لِمَنْ اَرَادَ اَنْ یُّتِمَّ الرَّضَاعَةَ
Tarjama: or Maayeñ Doodh Pilayeñ Apne Bachchoñ Ko Pure Do Baras Uske Liye Jo Dudh Ki Muddat Puri Karni Chahe.
*📚(Surah Baqrah, Aayat-233)*
Wallahu Aa'Alamu Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️4 March 2026, 14 Ramzanul Mubarak 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Reedh Ki Haddi (Back Bone) Me Takleef Ho To Namaze Taraweeh Ka Hukm?

 *Reedh Ki Haddi (Back Bone) Me Takleef Ho To Namaze Taraweeh Ka Hukm?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Aslamau Alekum Hazrat , 
Agar Kisi Ki Reedh Ki Haddi Me Takleef Yaani Gap Aa Gaya He Aur Doctor Ne Use Aaram Karne Ka Kaha He Zyada Der Khade Rahene Aur Bethne Se Mana Kara He 
Wo Kis Tarah Namaz Aur Taraweeh Padhe Kiya Wo Taraweeh Ki Namaz Chhor Sakta He ?
Rehunami Farmye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Taraweeh Sunnat E Muakkadah Hai, Bila Kisi Sharai Uzr Ke Chhodna Gunaah E Kabeera Hai, Jis Shakhs Ki Reerh Ki Haddi Me Is Qadar Takleef Hai Ki Na Zyada Der Khada Rah Sakta Hai Na Zyada Der Baith Sakta Hai, to Taraweeh Tark Kar Sakta Hai, Lekin Agar Itna Khada Ya Baith Sakta Ho Ki Tanha Taraweeh Ada Kar Sake to Kare, Kyunki Jama'at Ke Sath Taraweeh Sunnat E Muakkadah Alal Kifaya Hai Agar Muhalle Ke Chand Ashkhaas Ne Padh Li to Sab Bari Uzzimma Ho Gaye Aur Agar Kisi Ek Ne Bhi Na Padhi to Sab Gunahgar Hue, Chunanche Jis Ko Aisi Takleef Hai Wo Koshish Kare Ki Tanha Padhe Aur Wo Bhi Mumkin Na Ho To Vo Mazoor He.. Lihaza Agar Uski Aisi Condition Hai Ki Zyada Der Nahi Uth Baith Sakte to Chhod Sakte Hai Albatta Agar Itni Der Baith Sakte Ho Kursi Wagairah Par Ki 20 Rakat Soorah Ikhlas Se Padh Sakne Ke Layaq Ho to Na Chhodi Jaye..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️21 Feb 2026, 3 Ramzan 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Saal Mukammal Hone Se Pahle Maal Nisab Se Kam Ho Gaya Fir Dubara Nisab Bhar Maal Aaya To Zakat Ka Hukm?

 *Saal Mukammal Hone Se Pahle Maal Nisab Se Kam Ho Gaya Fir Dubara Nisab Bhar Maala Aaya To Zakat Ka Hukm?*

*🌹SAWAL:-🌹*
 السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُه
Muhammad Emran Hanfi Razvi
From Kolkata
Zaid Muharram Ke Mahine Me Sahibe Nisaab Hua Aur Dhul Hijjah Ke Mahine Me Wapas Faqeer Ho Gaya (Aur Jab Saal Barabar Hua to Wo Faqeer Hi Raha) Aur Phir Safar Ke Mahine Me Sahibe Nisaab Ho Gaya to Ab Zaid Par Zakat Dena Farz Hai Ya Phir Dobara Jab Pura Saal Guzar Jayega Tab Farz Hoga ??
جَزَاكَ ٱللّٰهُ خَيْرًا

*🌹JAWAB:-🌹*
 وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ 
الجواب بعون الملک الوھاب 
Sawal Mein Bayan Ki Gayi Soorat Ke Mutabiq Nisab Ka Saal Tabdeel Ho Kar Safar Se Shuru Ho Chuka Hai, Kyunki Zakat Ke Wajib Hone Ke Liye Saal Ke Shuru Aur Aakhir Mein Maal Ka Baqadre Nisab Hona Zaroori Hai. Agar Saal Ke Shuru Mein to Baqadre Nisab Ho, Magar Aakhir Mein Na Ho to Us Saal Ki Zakat Wajib Nahiñ Hoti.
Lekin Jab Dobara Kabhi Us Maal Mein Mazeed Itni Raqam Shamil Ho Jaye Ke Woh Raqam Mil Kar Nisab Ke Barabar Ho Jaye to Usi Din Se Zakat Ka Naya Saal Shuru Ho Jata Hai.
Lihaza Jab Zilhijja Ko Saal Mukammal Hua to Aap Ki Raqam Baqadre Nisab Nahiñ, Balki Kam Thi, Lihaza Zakat Wajib Na Rahi Aur Woh Saal Kaladam Ho Gaya. Lekin Jab Safar Ko Dobara Itni Raqam Aa Gayi Ke Aap Sahib-E-Nisab Ho Gaye to Ab Safar Se Zakat Ke Naye Saal Ka Aghaz Ho Chuka Hai.

Mas’Oola Surat Ke Mutalliq Shamshul A'immah, Imam Sarakhsi Rahmatullahi Ta‘Ala Alayh (Saal-E-Wafat: 483h/1090ء) Likhte Hain
لوأن رجلا لہ مائتا درھم فضاع نصفھا قبل کمال الحول بیوم۔۔۔فإن تم الحول ولم یستفد ھذہ المائۃ ثم مضت السنۃ الثانیۃ إلا یوما ثم استفاد مائۃ ثم تم الحول فلا شیء علیہ فی الحولین لأنہ تم الحول الأول ومالُہ دون النصاب فلم تلزمہ الزکاۃ ولم ینعقد الحول الثانی علی مالہ لنقصان النصاب فی أول ھذا الحول، وإنما استفاد المائۃ ولیس علی مالہ حول ینعقد فلا تلزمہ الزکاۃ ولکن ینعقد الحول من حین استفاد المائۃ لأنہ تم نصابہ الآن فإذا تم الحول من ھذا الوقت زکی المائتین
Tarjuma: Ek Shakhs Ke Paas 200 Dirham Thay, Lekin Nisabi Aitibar Se Saal Mukammal Hone Se Ek Din Pehle 100 Dirham Zaya Ho Gaye. Ab Agar Saal Ka Yeh Ek Baqi Din Bhi Nisab Ki Kami Ke Sath Hi Guzar Gaya, Lekin 100 Dirham Mein Izafa Ho Kar Maal Dobara Nisab Ki Miqdar Na Hua Aur Phir Doosra Saal Bhi Mukammal Hone Wala Tha Aur Ek Din Baqi Tha, Magar 100 Dirham Mazeed Aa Gaye Aur Saal Mukammal Ho Gaya to Us Shakhs Par Donoñ Saaloñ Mein Kuch Bhi Wajib Nahin, Kyunki Jab Pehla Saal Mukammal Hua Tha to Us Ka Maal Nisab Se Kam Tha Aur Yeh Baat Maloom Hai Ke Aakhir-E-Saal Miqdar-E-Nisab Mein Kami Ki Wajah Se Zakat Wajib Nahin Hoti.
(Aur Jahañ Tak Doosre Saal Bhi Zakat Wajib Na Hone Ka Ta‘Alluq Hai to Us Ki Wajah Yeh Hai Ke) Maal Par Nisab Ke Aitibar Se Doosra Saal Munaqid Hi Nahin Hua Tha, Kyunki Saal Ke Shuru Mein Nisab Mukammal Na Tha. Aur Jab 100 Dirham Mein Mazeed 100 Dirham Mile to Zakat Phir Bhi Lazim Na Hogi, Kyunki Us Maal Par Saal Shuru Hi Na Hua Tha.
Haañ Albatta Ab Jab Se 100 Dirham Mazeed Mile Hain to Nisabi Aitibar Se Naya Saal Shuru Ho Chuka. Lihaza Jab Dobara 200 Dirham Milne Wale Din Ke Lihaz Se Saal Mukammal Hoga to in Do Sau Dirham Ki Zakat Dega.
*📚(Al-Mabsoot, Jild 2, Kitab Nawadir-Uz-Zakat, Safha 32, Matboo‘a Dar-Ul-Kutub Al-‘Ilmiyyah, Beirut)*
Wallahu Aalamu Bisswab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Saiyed Shadab Ali Qadri Razvi Sahab, Meerut, Up*
*🗓️21 Feb 2026, 3 Ramzan 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Shadi Me Dulha Dulhan Ka Room Sajana Kesa ?

 *Shadi Me Dulha Dulhan Ka Room Sajana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamoalaikum Hazrat Saval Hai Ki Shadi Ki Raat Me Dulha Dulhan Ka Bed Sajana Kaisa Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shadi Ki Pahli Raat Dulha Dulhan Ke Bed Ya Kamre Ko Sajane Me Shar'an Koi Qabaahat Nahiñ, Haañ Israaf W Fuzool Kharchi Se Bachna Lazim He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Aala Hazrat Raza Jame'a Masjid, Gomoh, Dhanbad Jharkhand*
*🗓️29 March 2026, 9 Shawwal 1447*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...