Salam Me Magfiratuhu Ka Izafa Karna Kesa ? Assalamu Alaikum Wa Rahematullahi Wa Barkatuhu Wa Magfiratuhu Kahna Kesa ?
Salato Salam Ke Waqt Jute Chappal Utare Ya Jute Par Khade Rahw Ya Pahen Rakhe ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Warahmtul Lahi Ta'ala Barkatohu
*Muhammad Imran Raza Qadri Jajmau Sareef Kanpur Up
*Huzoor Aapki Bargha Me Ek Sawal Arz Hai Sadak Par Ya Maidaan Me Jo Hazraat Salato Salam Padte Hai Unhe Chappal Juta Utaar Kar Uske Upar Kadha Hona Chahiye Ya Fir Chappal Juta Se Hat Kar Zameen Me In Dono Suratme Behtar Surat Kya Hai Jawab Enayat Farmaden Meharbani Hogi
Halate Roza Me Blood Test Karana Kesa ?
1 Crore Ki Wirasat Me 2 Bhai 3 Bahne 1 Biwi Ka Hissa ?
Kiraya Par Diye Makan Par Zakat Ka Hukm
*🌹SAWAL:-🌹*
Makan Kiraya Par Diya Ho To Us Par Zakat Ka Kya Hukm He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Makaanat Par Zakat Nahiñ Agarche
Car Bike Mobile Freej Washing Machine Wagairah Par Zakat Ka Hukm ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Car Bike Mobile Freez Washing Machine Wagairah Par Zakat Hogi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Car Bike Mobile Ac Freez Washing Machine Wagairah Ashya Hajate Asliya Me Se He, Us Par Zakat Nahiñ.
Zakat Wajib Hone Ke Liye Chand Sharteñ Hai, Us Me Ek Shart Ye He Ki Nisab Hajate Asliya Se Farig Ho.. Yaani Jo Maal Hajate Asliya Ke Alawa Ho Us Par Zakat He.. Hajate Asliya Ke Maal Par Zakat Nahi..
Or Hajate Asliya Ki Tarif Bayan Karte Huve Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,
Hajate Asliya Yaani Jis Ki Taraf Zindagi Basar Karne Me Aadmi Ko Zaroorat He Usme Zakat Wajib Nahiñ, Jaise Rahne Ka Makan, Jarhe Garmiyoñ Me Pahanne Ke Kapde Khana Daari Ka Saman, Sawari Ke Janwar (Car Bike Wagairah Bhi) Khidmat Ke Liye Londi Gulam, Aalate Harb, Peshavaroñ Ke Awzaar, Ahle Ilm Ke Liye Hajat Ki Kitabeñ, Khane Ke Liye Galla..
*📚(Bahare Shariyat, J-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-26)*
Or Huzur Bahrul Uloom Hazrat Allama Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Tep Or Freej Hajate Asliya Me Shumar Hote Hai Is Liye Usme Zakat Wajib Nahiñ.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-144)*
Lihaza Jis Tarah Freej Hajate Asliya Me He Waise Hi Washing Machine Mobile Wagairah Hajate Asliya Me He. Jis Par Zakat Nahiñ.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 April 2022, 19 Ramzanul Mubarak 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Bijli Ki Chori Karna Kesa ? Or Uske Ghar Dawat Khana Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Electricity Ki Chori Karna Kaisa Answer In Details With Aur Aise Shakhs Ke Waha Dawat Khana Kaisa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Chori Ki Bijli Istemal Karna Ye Fe'al Jaaiz Nahi, Musalaman Ko Isse Bachna Chahiye.. Magar Uske Yahañ Dawati Ashya Maale Halal Se Kharidi Gai Ho To Uske Yahañ Khane Me Harj Nahiñ.
Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,
Masjid Me Bila Connection Chori Se Bijli Jalana Mana'a He K Isme Hukumat Ko Dhoka Dena Or Uske Qanoon Ko Todna He. Apne Aap Ko Ahaanat Ke Liye Pesh Karna, Apni Izzat Ko Khatra Me Dalna He. Or Izzat Ki Hifazat Karna Zillat W Ruswai Se Bachna Zaroori He.
Sarkar Mufti Aazame Hind Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai Ki Yahañ Kuffar Agarche Harbi Hai Magar Bila Ticket (rail Me) Safar Karna Apne Ko Ahaanat Ke Liye Pesh Karna He Apni Izzat Ko Khatra Me Dalna He Ki Khilafe Qanoon He. Mustawjab Saza Hoga Is Harkat Se Ehteraz Lazim Jo Maujube Zillat W Ruswai Ho.
*📚(Fatawa Mustafwiya, J-3, S-146)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-192)*
Lihaza Chori Ki Bijli Istemal Karna Qanoonan Jurm He Jisse Pakde Jane Par Musalman Ki Beizzati Or Ruswai Ka Andesha He Or Qanoonan Saza Ka Haqdaar Hoga Jisse Musalaman Ko Ehteraz Lazim He.. Magar Chori Ki Bijli Istemal Karne Se Us Ki Dawat Khana Najaaizo Haram Na Hoga.. Ki Jo Khane Ki Cheeze Se Vo Halal Kamai Ki He. Or Agarche Us Bijli Se Freej Wagairah Chalata Ho Magar Khana Najaaiz Na Hoga.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 April 2022, 19 Ramzanul Mubarak 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•