Halate Roza Me Corona Report Karana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 
Roza Ki Halat Me Corona Report Kara Sakte He???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Corona Test Me Ye Hota He Ki Isme Stick Dakhil Ki Jati He Usme Dawai Wagairah Nahi Hoti Sirf Stick Hoti He Jis Par Sirf Cotten Yaani Rui Lagi Hoti He Use Naak Ya Halq Me Dakhil Ki Jati He Or Mawaad Hasil Kiya Jata He, Isme Koi Cheez Badan Ke Andar Naak Ya Muñh Ke Zariye Dakhil Nahi Hoti Is Liye Isse Roza Nahi Tutega, Kyuñ Ki Qaaida E Kulliya Ye He Ki Jo Cheez Manfaz Ke Zariya Pet Ya Dimag Tak Pahunche To Roza Fasid Ho Jayega.. Lihaza Is Tarah Corona Report Karane Se Roza Na Tutega.

Jaisa Ki Raddul Muhtar Me He,
المفطر انما ھوالداخل من المنافذ 
*📚(Raddul Muhtar, J-3, S-367, Zakariya Book Depo)*

Or Fatawa Baraily Shareef Me He,
Jima'a Or Uske Mulhiqaat Ke Alawa Roza Ko Todne Wali Sirf Vo Dawa Or Giza He Jo Masaamat Or Ragoñ Ke Alawa Manfaz Se Sirf Dimag Ya Pet Me Pahunche.

Jaisa Ki *📚Durre Mukhtar, J-2, S-108* Par He
الضابط وصول مافیہ صلاح بدنہ لجوفہ اھ
Or Raddul Muhtar Me He,
الذی ذکرہ المحققون ان معنی المفطر وصول ما فیہ صلاح البدن الی الجوف أعم من کونہ غذاء أو دواء اھ
*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-371, 372)*

Lihaza Kisi Cheez Ka Masam Ke Zariye Pet Ya Dimag Me Dakhil Hone Se Roza Fasid Hoga Or Yahañ Corona Report Karane Se Koi Cheez Pet Ya Dimag Me Nahi Jati Lihaza Is Tarah Corona Test Karane Se Roza Fasid Na Hoga.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓19 April 2021, 6 Ramzanul Mubarak 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Halate Roza Me Dant Me Cement Ya Masala Bharana Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ

Sawal :- Kiya Roze Mai Daanto (Teeth) Mai Cement Bhar Sakte Hai 

Hazrat Rehnumaye Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Daant Me Cement Bharne Ya Masala Bharne Me Pahle Daant Ko Paani Se Saaf Kiya Jata He Jisse Paani Ka Halq Me Jane Ka Andesha Rahta He Or Masala Ya Koi Dawa Ke Ajza Ka Bhi Halq Me Jane Ka Andesha Rehta He, Lihaza Paani Ya Dawa Ya Cement Ke Koi Ajza Halq Se Niche Chale Gaye To Roza Fasid Ho Jayega Or Agar Nahi To Roza Na Tutega, Lihaza Roze Ki Halat Me Daant Me Masala Bharane Se Ijtenab Karna Chahiye. Bahetar He Roza Iftar Karne Ke Baad Hi Daanto Ki Treatment Karaye..


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Daanto Se Khun Nikal Kar Halq Se Niche Utra Or Khun Thuk Se Zyada Ya Barabar Tha Ya Kam Tha, Magar Uska Maza Halq Me Mahsoos Huva To In Sab Soortoñ Me Roza Jata Raha Or Agar Kam Tha Or Maza Bhi Mahsoos Na Huva To Nahi.


Roza Me Daant Ukhadvaya Or Khun Nikal Kar Halq Se Niche Utra, Agarche Sute Me Aysa Huva To Roza Ki Qaza Wajib He.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Todne Wali Cheezo Ka Bayan, Mas'ala-3,4)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️18 April 2021, 5 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tarawih Ki 4 Raka'at Chhut Jaye To Kab Padhe

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Agar Taraweeh 4 Rakat Ho Chuki Ho.... To Kya Hum Ko Us Chuti Huwi Namaz Ko Padhna Hoga Agar Padhna Hai To Kab Padhe Aur Kounse Sureh Padhe Jawab Inayat Farmai Hazrat Meherbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tarawih Ki 4 Raka'at Ya Kuchh Raka'at Chhut Gai To Witr Jama'at Se Padhne Ke Baad Chhuti Hui Raka'ate Ada Karle, Jabki Isha Bhi Jama'at Se Padha Ho, Jo Bhi Soorah Yaad Ho Padh Sakta He.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Iska (Tarawih Ka) Waqt Farz Isha Ke Baad Se Tulu'a Fajr Tak He Witr Se Pahle Bhi Ho Sakti He Or Baad Bhi To Agar Kuchh Raka'ateñ Uski Baaqi Rah Gai Ki Imam Witr Ko Khada Ho Gaya To Imam Ke Sath Witr Padhle Fir Baaqi Ada Karle Jab Ki Farz Jama'at Se Padhe Hoñ Or Ye Afzal He Or Agar Tarawih Puri Karke Witr Tanha Padhe To Bhi Jaaiz He Or Agar Baad Me Maloom Huva Ki Namaze Isha Bagair Taharat Padhi Thi Or Tarawih W Witr Taharat Ke Sath To Isha W Tarawih Phir Padhe Witr Ho Gaya.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Tarawih Ka Bayan, Mas'ala-3)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️18 April 2021, 5 Ramzanul Mubarak 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Se Zameen Girvi Lena Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh, Hindu Ki Zamin Girvi Pe Lena Kaisa Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Gair Muslim Se Zameen Girvi Lena Or Usse Faaida Uthana Bhi Jaaiz He,


Jaisa Ki Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,

Gair Muslim Ka Khet Rahan Me Le Kar Usse Faaidah Hasil Karna Jaaiz He Ki Ye Intefa'a Usi Ki Raza Se He Or Murtahin (jisne Apne Paas Girvi Rakha) Ki Taraf Se Koi Gadr W Bad Ahdi Bhi Nahi.

Hidaya Babur Riba'a Me He,

لان مالھم مباح فی دارھم بای طریق اخذہ المسلم اخذ مالا مباحا اذا لم یکن فیہ غدر

*📚(J-2, S-70)*

Or Aysa Hi *📚(Fatawa Amjadiya, J-3, S-344)* Me Bhi He.

*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-271)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓18 April 2021, 5 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Iftar Karaye To Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ghair Muslim Siyasi Log Iftar Party Kar Rahe Hai Aur Masjid Ki Commitee Unko Ijazath De Rahi Hai.. Aisi Surath Me.. Wo Iftar Party Me Shirkath Karna Kaisa?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Gair Muslim Ke Ghar Ka Pakaya Huva Khana Ya Diya Huva Khana Agar Gosht Ke Alawa He Or Vo Paak W Halaal He To Us se Iftar Karna Jaaiz He Magar Bachna Bahetar He.


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,

Hindu Ke Yahañ Ka Gosht Ki Nazre Muslim se Gayib Ho Gaya Ho Haram He Or Baaqi Cheezoñ Me Bachna Hi Taqaza E Ehtiyat He Agarche Jab Tak Shay E Muayyan Ke Najis Hone Ka Ilm Na Ho Najasat Ka Hukm Nahi Diya Jayega.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-13)*


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate Hai,

Hindu Ke Yahañ Gosht Khana Haram He Or Dusri Chiz Me Fatwa Jawaz Or Taqwa Aheteraz, Imam Muhammed Rahematullah Alaihi Farmate He به ناخذ مالم نعرف شيئا بعینه

*📚(Fatawa Razviya Jild Nuham Nisf Aakhir Safa 163)*

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-314)*


Or Isi Tarah Fatawa Europe Me He,

Mushrikeen Ki Banaai Hui Cheezoñ Ke Istemal Ya Ashya Khuradni Ke Khane Me Koi Harj W Mumaneat Nahiñ Or Na Unki Bheji Hui Cheezoñ Se Iftar Karne Ki Mumaneat He Baaqi Raha Sawab To Indush Shara'a Sawab Ahle Iman Ke Sath Mukhtas He.

*📚(Fatawa Europe, S-300)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓13 April 2021, 30 Shaban 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tarawih Ki Namaz Ghar Me Padhna Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai...

Kya Koi Banda E Momin Tarawe Ki Nmaz Ghar Main Padh Sakhta Hai Ekele......

Hojaaegi Ya Nhi??????

Jawab Inayat Farmaaae....


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Tarawih Me Jama'at Sunnate Kifaya He Ki Agar Masjide Muhalla Ke Sab Log Chhod Deñge To Sab Gunahgaar Hoñge Or Agar Kisi Ek Ne Tanha Padhli To Gunahgar Nahiñ Magar Jo Shakhs Muqtada Ho Ki Uske Hone Se Jama'at Badi Hoti He Or Chhor Dega To Log Kam Ho Jayeñge Use Bila Azr Jama'at Chhorne Ki Ijazat Nahi.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Tarawih Ka Bayan, Mas'ala-16)*


Lihaza Tarawih Ghar Par Tanha Padhna Jaaiz He Magar Masjid Me Jama'at Se Padhna Afzal He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓13 April 2021, 30 Shaban 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Saiyedah Ka Gair Saiyed Se Nikah Karna kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ


Kya Koi Sayyed Ladki Gair E Sayyed Ladke Se Yani Dusri Surname Ke Ladke Se Nikaah Kar Sakti H 

Jawab Inayat Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Saiyedzaadi Ka Nikah Gaire Saiyed Se Wali (Yaani Baap Dada Wagairah) Ki Ijazat Ke Bagair Nahi Ho Sakta, Or Agar Bagair Wali Ki Ijazat Se Nikah Kiya To Nikah Hua Hi Nahi. Or Agar Saiyedah Nabaliga Ho To Uska Wali Gair Saiyed Ke Nasab Par Matla'a Ho Kar Pesh Az Nikah Ijazate Sahiha De To Nikah Durust Ho Jayega, Or Agar Saiyedah Baliga Ho To Khud Uski Or Uske Wali Ki Pesh Az Nikah Gaire Saiyed Ke Nasab Par Matla'a Ho Kar Sarahatan Razamandi Ho To Nikah Ho Durust Jayega.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Saiyed Har Qaum Ki Aurat Se Nikah Kar Sakte Hai Or Saiyedani Ka Nikah Quraish Ke Har Qabeela Se Ho Sakta He Khwañ Alwi Ho Ya Abbasi Ya Ja'afari Ya Siddiqui Ya Farooqi Ya Usmani Ya Umoori, Rahe Gair Quraish Jaise Ansari Ya Mugal Ya Pathan Unme Jo Aalime Deen Muazzam Muslimeen Ho Usse Mutlaqan Nikah Ho Sakta He Warna Agar Saiyedani Nabaliga He Or Us Gair Quraish Ke Sath Uska Nikah Karne Wala Wali Baap Dada Nahi To Nikah Batil Hoga Agarche Chacha Ya Saga Bhai Kare, Or Agar Baap Dada Apni Kisi Ladki Ka Nikah Ayse Hi Pahle Kar Chuke Hai To Ab Unke Kiye Bhi Na Ho Sakega Or Agar Baliga He Or Uska Koi Wali Nahi To Vo Apni Khushi Se Us Gair Quraishi Se Apna Nikah Kar Sakti He, Or Agar Uska Koi Wali Yaani Baap Dada Pardada Unki Awlad W Nasl Se Koi Mard Maujud He Or Us Ne Pesh Az Nikah Ki Ijazat Dedi Jab Bhi Jaaiz Hoga, Warna Baliga Ka Kiya Huva Bhi Batil Mahaz Hoga.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, S-700, Mas'ala-440)*


Or Dusri Jagah Farmate Hai,

Agar Baliga Saiyedani Khud Apna Nikah Apni Khushi W Marzi Se Kisi Mugal Pathan Ya Ansari Shaikh Gair Aalime Deen Se Karegi To Nikah Sare Se Hoga Hi Nahi Jab Tak Uska Wali Pesh Az Nikah Mard Ke Nasab Par Matla'a Ho Kar Sarahatan Apni Razamandi Zahir Na Karde.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, S-701, Mas'ala-441)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓12 April 2021, 29 Shaban 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Colour Kaam Karne Wale Ke Jism Par Colour Laga Ho To Wuzu Or Gusl Hoga Ya Nahi

 *🌹SAWAL:-🌹*

*السلام علیکم*

Hazrat Kya Jo Shakhs Color Rangne Ka Kaam Karta Ho Uske Jism Par Jagah Jagah Color Lag Jaate Hai To Kya Wuzu Or Gusl Me Usko Chudana Jaruri Hai Jabki Wo Daily Ka Kaam Hai? 

*Sahil Raza Razavi*

*Rajsamand Rajasthan*


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jis Cheez Ki Aadmi Ko Umooman Ya Khusoosan Zaroorat Padti Rahti He Or Uski Nigehdasht W Ehtiyat Me Harj Ho, Nakhunoñ Ke Andar Ya Upar Ya Or Kisi Dhone Ki Jagah Par Uske Lage Rah Jane Se Agarche Jarm Daar Ho, Agarche Uske Niche Paani Na Pahunche, Agarche Sakht Cheez Ho Wuzu Ho Jayega, Jaise Pakane, Gundhnwle Waloñ Ke Liye Aata, Rangrez Ke Liye Rang Ka Jarm, Aurtoñ Ke Liye Mahendi Ka Jarm, Likhne Waloñ Ke liye Roshnaai Ka Jarm, Mazdoor Ke liye Gara Mitti, Aam Logoñ Ke Liye Kue Ya Palak Me Surma Ka Jarm, Isi Tarah Badan Ka Mel, Mitti, Gubaar, Makhkhi, Machchhar Ki Beet Wagairah.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-2, Wuzu Ka Bayan, Mas'ala-25)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️9 April 2021, 26 Shaban 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hamila Aurat Ko Roze Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Koi Aurat Hamal Se He Or Doctor Bole Ki Ramzan Ke Roze Mat Rakho Varna Nuksan Ka Andesa He To Ase Me Kiya Kare Hawale Ke Sath Jawab Inayat Kare


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Abu Dawood W Tirmizi W Nasai W Ibne Maja Anas Bin Malik Ka'abi Radiallahu Anhu Se Raawi, Ki Huzure Aqdas ﷺ Ne Farmaya: Ki Allah Ta'ala Ne Musafir Se Aadhi Namaz Muaaf Farmadi (Yaani Char Raka'at Wali Do Padhe) Or Musafir Or Dudh Pilane Wali Or Hamila Se Roza Muaaf Farma Diya. (Ki Unko Ijazat He Ki Us Waqt Na Rakheñ Baad Me Vo Miqdar Puri Karleñ)


Safar W Hamal Or Bachcha Ko Dudh Pilana Or Marz Or Burhapa Or Khaufe Halak W Ikrah W Nuqsane Aql Or Jihad Ye Sab Roza Na Rakhne Ke Liye Uzr Hai, In Wajhoñ Se Agar Koi Roza Na Rakhe To Gunahgar Nahiñ.

*📚(Durre Mukhtar)*


Hamal Wali Or Dudh Pilane Wali Ko Agar Apni Jaan Ya Bachcha Ka Sahiha Andesha He, To Ijazat He Ki Us Waqt Roza Na Rakhe, Khwañ Dudh Pilane Wali Bachcha Ki Maañ Ho Ya Daai Agarche Ramzan Me Dudh Pilane Ki Naukri Ki Ho.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-5)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️11 April 2021, 28 Shaban 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ruki Hui Train Me Namaz Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Hazrat Agar Ruki Hui Train Ke Upar Namaz Padhi To  Namaz Ka Kya Hukum Hai...


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ruki Hui Train Par Namaz Ho Jayegi. Or Agar Chalti Hui He To Usme Isteqarar Alal Ard Yaani Sawari Ka Zameen Par Thaherna Nahi Paya Jata, Lihaza Chalti Train Ya Bus Wagairah Me Farz Witr Or Fajar Ki Sunnat Namaze Na Ho Sakegi. Or Agar Train Thahri Hui (Stable) Ho To Usme Isteqarar Alal Ard Paya Jata He Lihaza Ruki Hui Train Me Namaz Jaaiz He. 


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Thahri Hui Rail Me Sab Namazeñ Jaaiz Hai Or Chalti Hui Me Sunnate Subah Ke Siwa Sab Sunnat W Nafl Jaaiz Hai Magar Farz W Witr Ya Subah Ki Sunnateñ Nahi Ho Sakti Ehtemam Kare Ki Thahri Me Padhe Or Dekhe Ki Waqt Jata He (Chalti Train) Me Padhlw Or Jab Thahre Phir Phere ( Yaani Chalti Train Me Padhi Hui Namaz Ka Thaharne Ke Baad Ae'aada Kare).

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-5 S-113, Mas'ala-256)*


Lihaza Thahri Hui Train Me Sabhi Namaze Jaaiz He

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 April 2021, 25 Shaban 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khatti Dakar Se Roza Nahi Tutta

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum hazrat Kai Baar Roze Ki Halat Me Khatti Dakar Aati He Kya Isse Roza Tutega Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khatti Dakaar Aaane Se Roza Nahi Tutega Agarche Uska Maza Halq Me Mahsoos Ho.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Khatti Dakar Se Roza Nahi Jata.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10 ,S-486, Mas'ala-223)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Leta Hua Tha Or Khana Gale Tak Aakar Wapas Chala Gaya To Roza Ka Kya Hukm He?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salam O Alaikum 
Roze Ki Haalat Main Laita Aur Khana Gale Ko Aaya Ab Fouran Khada Ho Gaya Aur Khana Utar Gaya Gale Main Maza Mehsus Huaa To Kya Huqm Hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Roza Na Tutega. Ye Us Qay (Ulti) Ki Tarah He Jo Munh Bhar Se Kam Hoti He, Jaise Munh Bhar Se Kam Qay Ki Wajah Se Roza Nahi Tutta Agarche Vo Wapas Halq Se Niche Utar Gai Ho Isi Tarah Is Soorat Me Bhi Roza Na Tutega.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Qasdan(Janbujh Kar) Bhar Munh Qay (Ulti) Ki Or Rozadar Hona Yaad He To Mutlaqan Roza Jata Raha, Or Usse Kam Ki  To Nahi. Or Bila Ikhtiyar Qay(ulti) Ho Gai To Bhar Munh He Ya Nahi, Or Bahre Taqdeer Vo Lot Kar Halq Me Chali Gai Ya Usne Khud Lotai Ya Loti, Na Lotai To Agar Bhar Munh Na Ho To Roza Na Gaya. Agarche Lot Gai Ya Usne Khud Lotai.
Or Bhar Munh He Or Usne Lotai, Agarche Usme Se Sirf Chane Barabar Halq Se Utri To Roza Jata Raha Warna Nahi.

Qae(Ulti) Ke Ye Ahkam Us Waqt He Ki Qay(vomet) Me Khana Aaye Ya Sufra Ya Khoon. Or Balgam Aaya To Mutlaqan Roza Na Toota.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, S-123)*

Lihaza Sirf Let Kar Utha Or Khana Gale Se Wapas Chala Gaya Agarche Halq Me Maza Mahsoos Hua Roza Na Tuta.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️12 April 2020*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts