Bagair Wuzu Fatiha Dena Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Bagair Wuzu Ke Fateha Kar Sakte Hai ???
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Qura'an Shareef Ko Bila Wuzu Chhuna Najaaiz He, Bila Wuzu Padh Sakta He Bagair Chhuye, Or Fatiha Me Bhi Qura'an Shareef Ki Surtoñ Or Aaytoñ Ko Bila Chhuye Padha Jata He, Lihaza Jaaiz He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️31 July 2021, 20 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Topi Pahan Kar Toilet Jana Kesa Or Nalain Ya Gumbad Ke Naqsh Wali Topi Pahan Kar Toilet Jane Ka Hukm
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Wa Alaikum Hazrat
Kya Topi Pahan Ke Toilet Me Ja Sakte Hai..???
Wo Topi Pahan'na Kaisa Hai Jispe Aqa ﷺ Ki Nalain Paak Ki Naks(design) Bani Hoti Hai.
Aur Usko Aam Topiyo Jese Rakh Sakte H Kya??
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Peshab Ya Istenja Ke Waqt Sar Topi Wagairah Se Dhankna Bahetar He.
Jaisa Ki Huzur Bahrul Uloom Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Peshab Ya Pakhana Ke Liye Nange Sar Jana Mana'a He, Topi, Amama Jo Bhi Pahne Ho Istenja Ke Liye Ja Sakta He.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-5, S-412)*
Or Agar Aysi Topi Ho Jisme Nalain Shareef Ya Gumbade Khazra Ya Kisi Bhi Mazar Ka Naqsh Ya Isme Jalalat Ho To Use Pahan Kar Baytul Khala Jana Be Adbi He.
Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Nalain Shareef Wagairah Ko Topi Me Laga Kar Istenja Khana Wagairah Me Hargiz Na Jaye Ki Be Adbi He.
Muhaqqiqe Alal Itlaq Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelwi Radiallahu Anhu Taherir Fatmate Hai,
Baytul Khala Me Dakhil Hone Wale Ko Chahiye Ki Aysi Cheez Ko Jis Me Khuda Or Rasool Ka Naam Likha Ho Ya Qura'an Ka Koi Kalma Ho To Apne Hamraah Na Le Jaye Or Ba'az Shuru'a Me Kaha Gaya Ki Ye Hukm Tamam Ambiya E Kiram Ke Isma'a Ko Bhi Shamil He.
*📚(Ash'atul Lam'aat, J-1, S-201)*
Or Jis Tarah Nalain Shareef Ki Ta'azeem Lazim He Usi Tarah Uske Nuqoosh Ki Ta'azeem Bhi Zaroori He Kyuñ Ki Ta'azeem W Tauheen Ke Silsila Me Jo Hukm Asl Ka He Wahi Hukm Nuqoosh Ka He.
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddise Barailvy Radiallahu Anhu Taherir Fatmate Hai Ki,
Aulma E Deen Ne Naqshe Ka Aezazo izaam Wahi Rakha He Jo Asl Ka Rakhte Hai.
*📚(Fatawa Razviya, Jild Nuham Nisf Awwal, Safha-150)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-182)*
Lihaza Jis Topi Par Naqshe Na'alain Shareef Ya Gumbade Khazra Ya Kisi Bhi Mazar Ka Gumbad Ya Allah W Rasool Ka Naam Ho Use Pahan Kar Baytul Khala Jana Be Adbi He.. Or Saadi Topi Wagairah Se Sar Dhank Kar Baytul Khala Jana Bahetar He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓1 Aug 2021, 21 Zulhijja 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Soteli Khala Se Nikah Karna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Sauteli Khala Se Nikah Ho Sakta H...?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sauteli Khala Se Murad Ye Ho Ki Apni Sauteli Maañ Ki Sagi Bahan To Usse Nikah Jaaiz He. Jab Ki Koi Or Maane'a Nikah Na Ho. Or Isse Murad Agar Ye Ho Ki Apni Haqeeqi Maañ Ya Razaai Maañ Ki Sauteli Bahan To Isse Nikah Haram He.
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Soteli Maañ Ka Baap Na Apna Nana, Na Soteli Maañ Ki Bahan Apni Khala. Soteli Maañ Ki Haqeeqi Maañ Ya Bahan Ya Beti Sab Se Nikah Jaaiz He.
Durre Mukhtar Me He,
لاتحرم ام زوجۃ الاب ولابنتھا
Baap Ki Mankooha Ki Maañ Or Beti Haram Nahiñ Hoti.
*📚(Raddul Muhtar, J-2, S-279)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-175)*
Isi Tarah Ek Or Jagah Farmate Hai,
Sauteli Maañ Ki Bahan Se Nikah Jaaiz He, Kuchh Harj Nahi
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-401)*
Or Farmate Hai,
Sauteli Khala Ke Haram He Iske Ma'ana Haqeeqi Ya Razaai Maañ Ki Sauteli Bahan, Na Ki Soteli Maañ Ki Haqeeqi Ya Razaai Bahan.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-182)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
*🗓1 Aug 2021, 21 Zulhijja 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Gair Muslim Ko Ojhdi Dena Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Ojhdi (hojdi) Isko Mangne Ke Liye Gair Muslim Aate Hai Dhobi Aur Bhi Chote Jati Ke Hote Hai Kya Ye Unko De Sakte Hai???
Roza Me Kulli Karte Waqt Paani Halq Ke Niche Utar Gaya To ??
*🌹SAWAL:-🌹*
Ulema Ikeaam Hazraat Ki Baargaah Me Mera Salaam Arz Hai
Assalaam Alaikum Wa Rahmatullaahi Wa Barakaatuhu
Mera Sawaal Hai,
Agar Azan Se Pehle Hi Roze Ki Niyyat Ki Thi Aur Wuzu Ki Haalat Me Kulli Karte Waqt Ya Naak Me Pani Chadhaate Waqt Pani Be-ikhtiyaar Hi Gale Se Neeche Utar Gaya To Kya Roza Toot Gaya Ya Baaki Raha.?
Baraaye Karam Is Sawal Me Meri Islah Farmayein, Jazaakalllaah
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Rozadar Hona Yaad Ho Aur Kulli Karne Me Be Ikhtiyar Paani Halaq Se Utar Gaya To Roza Tut Jaayega. Or Agar Rozadar Hona Bhul Gaya Ho To Nahi Tutega..
Bahare Shariyat Me He,
Kulli Kar Raha Tha Bila Qasd Paani Halq Se Utar Gaya Ya Naak Me Paani Charaya Or Dimag Ko Char Gaya Roza Jata Raha, Magar Jabki Roza Hona Bhul Gaya Ho To Na Tutega Agarche Qasdan Ho. Yuñhi Kisi Ne Rozadaar Ki Taraf Koi Cheez Phenki, Vo Uske Halq Me Chali Gai Roza Jata Raha.
*📚(Bahaare Shariyat, H-5, Roza Todne Wali Cheezoñ Ka Bayan, Mas'ala-11)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️19 July 2021, 8 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Zulhijja Ki 11 Tarikh Ko Roza Rakhna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai Ke...
Ke Koi Shaks Har Mahine Main 11vi Tarikh Ko Roza Rakhta Ho To Is Baar Eid Ka Dusra Din Aa Raha Hai To Kya Wo Roza Rakh Sakta Hai??
Jawab Inayat Farmae..........
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Saal Me 5 Dino Ke Roze Rakhna Makrooh E Tehrimi He, Aur Agar In Dino Me Roze Rakkhe To Todna Wajib He, Agar Inhi Dino Me Roza Rakhne Ki Mannat Mani To In Dino Me Pura Karna Wajib Nahi Balki Dusre Dino Me Pura Kare, Wo 5 Din Ye Hai,
Eid Ul Fitr Ka Din Aur Zil Hijjah Ke 10/11/12/13 In Dino Me Roza Rakhna Makrooh E Tehrimi He...
Har Mahine Ki 13/14/15 Wi Ka Nafli Roza Rakhne Ke Ta'alluq Se Hadees Sharif Me Fazilat Aai He,
Jesa Ke Hadees Sharif Me He...
Imam Ahmad W Tirmizi W Nasai W Ibne Maja Abu Zar Radiallahu Anhu Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Jab Mahine Me 3 Roze Rakhne Hoñ To Tera, Chaudah, Pandrah Ko Rakho.
Magar In 5 Dino (Eid Ul Fitr Aur Zil Hajj Ki 10/11/12/13 Me Roza Rakhna Makrooh E Tehrimi He, Ke Ye Allah Wahdahu La Sharik Ki Janib Se Khane Pine Aur Khushi Ke Ayyam He, Ye Rukhsat Allah Ta'ala Ki Janib Se He, Banda Isko Azimat Me Nahi Badal Sakta, Balki Yanha Tak Bataya Ke Agar In Dino Me Koi Bhul Se Roza Rakh Bhi Le To Uska Todna Wajib He...
*📚(Bahare Shariyat Hissa 5)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️17 July 2021, 6 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Sajda E Sahw Kya He Or Kese Karte He ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Sajda E Sahw Kya Hai Or Kesa Karta Hai ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Wajibat E Namaz Me Se Koi Cheez Bhul Kar Chhut Jaae, Maslan Surah Fatiha Ki Ek Aayat Bhi Padhna Bhul Gaya Ya Surat Milana Bhul Gaya Wagairah Aakhir Me Attahiyyat Padhne Ke Baad Dahini Taraf Salam Fere, Fir Do Sajde Kare Aur Dubara Attahiyyat, Durood Shareef W Duaa E Masura Padh Kar Dono Janib Salam Fer Kar Namaz Mukammal Kare Ye Sajda E Sahw Ka Tariqa He..
Note...Agar Koi Aysa Wajib He Jo Wajibat E Salat Se Nahi Balki Amr E Kharij Ke Sabab He Jese Qura'an Shareef Ko Tartib Se Padhna To Aysi Surat Me Sajda E Sahw Nahi Karna He, Aur Agar Qasdan Wajib Ko Chhod Diya He To Fir Sajda E Sahw Se Kaam Nahi Chalega Namaz Ko Duhrana Hoga.
*📚Hawala: Bahaare Shariyat, Hissa 4, Sajda E Sahw Ka Bayan.*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Ddewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️13 July 2021, 2 Zulhijja 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza,Petlad Gujarat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•