*🌹SAWAL:-🌹*
Dadhi Rakhna Sunnat he ya Wajib ?
*🌹JAWAB:-🌹*
```Hamare Muashre me Aksar Log Darhi rakhana Gair Zaruri Smjhte hain
Jabki Haqeeqat ye hai ki Darhi Rakhna Sirf Sunnat Hi nahi Balki Isko Wajib Kaha Gya hai```
Imame aazam abu hanifa or aaj tak ke tamam aulma e ahnaf ne dadhi ko wajib kaha,
Or shaikh Muhaddise haqq Dahelvi alaihir rahma ne mishqat ki shara'a me bhi dadhi rakhne ko wajib kaha he or Imame Ahle sunnat Aala Hazrat Alaihir Rahma ne Dadhi ke mas'ale par ek makhsoos kitab likhi jisme dadhi rakhne ko wajib kaha gaya he,Aam tarike se vo Huzur sallallahu Alaihi w sallam ka shiyaar w aadat hone ki wajah se ma'aroof tarike se sunnat kaha jata he lekin ye ki dadhi ka rakhna wajib he.
Uski sharai miqdar ek musht he, uska rakhna wajib he..
ye baat aap ke zahen me rahe ki kabhi kabhi wajib ko sunnat keh diya jata he. Yaani sunnat to urf me kaha jata he lekin haqikat me uska hukm wajib ka he misal ke taur par ham jab idul adha ke mauke par qurani karte he to ye qurbani kya he ? Agar koi shakhs na kare to sakht gunehgar hoga or jo kare to yakeenan bahut bada sawab paega. or umooman aap jante he ki qurbani karna wajib he.
Nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ki hadish he hazrate zaid ibne arqam radiallahu anhu ne sawal kiya vo farmate he huzur sallallahu alaihi w sallam ke sahaba e kiram ne aap se sawal kiya aap ne ye kaha ya rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ye qurbani kya he ? Aap sallallahu alaihi w sallam ne farmaya hamare baap hazrat ibrahim alaihis salam ki sunnat he to hazrate ibrahim ka tarika or nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ka tarika hone ke aetbar se ise sunnat kaha jata he lekin ye yani qurbani wajib he. isi tarike se umooman mash'hoor he ki dadhi ka rakhna sunnat he lekin haqikat me dadhi ka rakhna wajib he.koi shaks dadhi na rakhe to vo tarke dadhi ka gunahgaar hoga
Iske Bareme Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Iska Khas Hukm dia hai
Hadees Shareef:-
MushrikoN ki Mukhalifat Karo Darhi ko Badhaao Aur Moonchho ko Chhota karo
*📚(Bukhari Sharif 5892, 5893)*
Hadees shareef:-
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Ta'ala Anhu
Farmate hain ki Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Moonchho ko Chhota karne Aur Darhi ko Badhaane ka hukm Dia Hai
*📚(Abu dawd 4199*
*📚Muslim Sharif 259*
*📚Tirmizi Sharif 2764)*
Quraan Ka hukm Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ki Ita'At Karne Ke Liye Allah Ta'ala Quraan me Irshad Farmata hai
Aur Jo Kuchh Rasool صلى الله عليه وسلم Tumhe De Wo le lo Aur Jis Baat Se Manaa Farmayen Usse Ruk Jao Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Sakht Azaab Dene Wala Hai
*📚(Surah Hashr 59 Ayah No.7)*
Is Ayat Par Agar Gour Kia Jae To Hamen Pata Chalta he ki Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ke Hukmo ko Manna
Asal me Allah ke Hukm ko manna he, Aur Allah ke Hukm Ko Manna Aur Uspar Amal Karna Har Insan Par Farz hai
Aur Ek Jagah Allah Rabbul izzat
Irshad Farmata hai
مَنۡ یُّطِعِ الرَّسُوۡلَ فَقَدۡ اَطَاعَ اللّٰہ
Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari ki Usne Meri Yaani
Allah ki Farmabardari ki
*📚(Surah Nisa 4 Ayah no. 90)*
Yaani Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ke hukm ko maana Usne Allah ke hukm ko Maana Ab Chunki Darhi Badhane
Ka hukm Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne Farmaya hai Isliye Dadhi Rakhne me Na Sirf Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari hai Balki Allah ki Farmabardari hai Dadhi Rakhane me Na Sirf Hadees Par Amal karna hua Balki Quraane Paak Par bhi Amal karna hua
Darhi Rakhna Wajib hai Aur isko katana ek Haraam Amal hai
jo Allah Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم ki Narazgi ka Baish
hai
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*
📲
=========➖➖➖➖=======

No comments:
Post a Comment