Marhum Ki Kaza Namaz W Roze Ka Fidya kese Ada Kare ? Or Fidye Ka Calculation Kese Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalmoalyekum marhoom ka jindgi ka fidiya dene ki kya sharait hi maslan koi kisi ki walida ya walid jinhoney hayatey zindgi me roje na rakh paye hon aur aulad unka fidiya dena chahey to calculation kaisey kiya jaye...Rehnumai farmayen..?!

 Jawab inayat farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*

Sab se pahle to aap 12 baras adni muddat bulug ki nikal lijye, or Unki umr jitni ho uska andaza lagaiye. Maan Lijye unki umr 70 saal ki thi or vo faut ho gaye, Ab 12 saal Adni bulug ke nikal lijye, jisse 58 hoge, Yani 58 saal ke roze ya namaz un par farz thi,  ab andaza lagaiye ki aap ke walida ya walid ki kitni namaze qaza hui ya kitne roze kaza huye. Ya unhone kitne roze rakhe ya namaze padhi, jab Aap Andaza laga le to ek roze ka fidya vahi hoga jo sadqa e fitra ka he. Yaani 2 kilo 47 gram aante ki kimat. Or isi tarah se ek namaz ka fidya hoga 2 kilo 47 gram, yaani 1 din me 6 namaze hogi, yaani 5 to farz namaze or ek witar. Yaani 6 namazo ka fidya 1 din me dena hoga. 1 fidya sawa do sher aante ki kimat hogi or ek din me Namaz ke 6 fidye hoge. Ab unki namaz ka hisab lagaiye or is tarah se fidya ada kar sakte he.

2 kilo 47 gram Aante Ki Kimat Gujrat me Takriban 50 Rupye ke karib hoti he. Is hisab se Calculation karke qimat ada kar sakte he.

_Aala Hazrat Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate he_

Agar Mayyat par namaz Roza Qaza he or usne itna maal na chhora jis ke salas se ba-halat wasiyat uska fidya ada ho sake ya wasiyat na ki or sab warsa ada e fidya par raazi nahi to pahli soorat me uska tihai maal ka hisab lagaye ki usse kis qadar ka fidya ada ho sakta he maslan farz karo ke charum ki qadr he to salas maal faqeer ko ba niyyat fidya de faqeer us se le kar fir waris ko hiba karde ye fir ba niyat fidya de faqeer fir le kar hiba karde or har baar faqeer w waris qabza karte jaye yahañ tak ki fidya ada ho jaye ya maal bilkul nahi he to waris maslan derh ser gehuñ ya us ki kimat kisi se qarz le kar uska ulat fer karle agar che hazar baar ya zaaid me fidya ki had tak Pahuche.

Durre Mukhtar me he,
Agar koi shakhs faut ho jata he or us par namaze he or apne kaffara ki wasiyat kar jata he to har namaz ke aoz fitra ki tarah gandum ka nisf Saa'a diya jayega witr or tarawih ka bhi yahi hukm he or ye us ke tihai maal se diya jayega or agar mayyat ne maal hi nahi chhora to waris nisf Saa'a qarz le kar kisi faqeer ko de or fir faqeer nisf waris ko de, isi tarah dete rahe yahañ tak ki tamam namazo ka aoz ho jaye
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-101)*

Iske Siwa Jo awam me raaij he ki sare fidya ke aoz ek Qura'an de diya ki vo to be baha he yuñ Ada nahi hota. Qura'an majeed beshak be baha he magar jo be baha yaani kalame ilahi ke warqo me likha ho vo maal nahi, na vo dene ki cheez he to jo maal he yaani kagaz or pathe isi tarah qimat mu'atebar hogi or jab miqdare fidya ko na pahunche gi fidya kyunke ada hoga ye Nihayat hi wazeh he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-8, S-166)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts