*🌹SAWAL:-🌹*
ASSALAAMUALAIKUM Wa Rahmat Ullahi Wa Barkatuh
Ghouse Paak Raziallahu Talaanh Ki Wiladat Kab Huwi Aur Wisaal Kab Farmae
11v Shareef Manana Kaha Se Sabit Hay
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Saiyed Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alaihi Qasba Jeelan Yakum Ramzan Baroz Jumuah Mubarak Hijri 470 Mutabia 1075 Iswi Ko Paida Huve.
Hafiz Ibne Kaseer Damishqi Apni Tasneef Al-Bidaya Wan-Nihaya Me Huzur Gause Paak Ka San Wiladat 470 Hijri Likhte Hai Or Imam Yafa'ee Apni Tasneef Miraatul Jinan W Ibrarul Yaqzaan Me Farmate Hai Jab Bhi Huzur Gause Aazam Se Aap Ke Saal Wiladat Ke Muta'alliq Sawal Kiya To Aap Ne Farmaya Mujhe Sahih Taur Par Yaad Nahi Albatta Itna Zaroor Janta Huñ Ki Jis Saal ME Badad Aaya Usi Sal Abdul Wahab Tameemi Ka Wisal Huva Os Waqt 488 Hijri Tha Or Us Waqt Meri Umr 18 Saal Ki Thi..
Is Hisab Aap Ka San
Wiladat 470 Hijri Huva..
Allama Jaami Ne Nafhatul Uns Ke Andar Huzur Gause Aazam Ke Muta'alliq Jo Kuchh Likha He Vo Imam Yafa'ee Ki Kitab Se Likha He Or Baad Ke Jumla Sawaneh Nigaroñ Ki Jo Kuchh Tahreerat Or Bayanat He Vo Zyada Tar Nafhaat Hi Se Makhooz Hai.
Isi Liye Yahi Mash'hoor He Ki Aap Ka San Wiladat 470 Hijri He...
Agarche Baaz Hazraat Ka Ikhtelaf He Magar Beshtar Ahle Tahqeeq Ne Ise Hi Tarikhe Wiladat Qaraar Diya He.
Aap Ka Wisal Rabi Us Saani 561 Hijri Me Huva.
Aapke Wisal Ke Muta'alliq 4 Tarikhe Milti He.
8, 10, 11, 17
_Giyarvi Sharif Ka Subut_
Giyarvi Sharif Isal E Sawab Ka Name He Aur Isaal E Sawab Karna Quraan Majid Se Sabit He
*📚Surah Hashr, Aayat 10*
وَ الَّذِیْنَ جَآءُوْ مِنْۢ بَعْدِهِمْ یَقُوْلُوْنَ رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا وَ لِاِخْوَانِنَا الَّذِیْنَ سَبَقُوْنَا بِالْاِیْمَانِ وَ لَا تَجْعَلْ فِیْ قُلُوْبِنَا غِلًّا لِّلَّذِیْنَ اٰمَنُوْا رَبَّنَاۤ اِنَّكَ رَءُوْفٌ رَّحِیْمٌ۠
Tarjama: Un Ke Bad Aane Vale Arz Karte Hen Ay Hamare Rab Hame Aur Hamare Un Bhaiyo Ko Bakhsh De Jo Ham Se Pehle Iman Laye Aur Hamare Dilo Me Iman Valo Ke Liye Koi Kina Na Rakh Ae Hamare Rab Beshk Tu Nihayat Maherban Bahut Rehmat Vala He.
Is Aayat Se Sabit Huva Isal E Savab Jaaiz V Durust He
Aur Giyarvi Sharif Per Bhi Fatiha Khwani Quraan Khwani Aur Zikr O Azkaar Karke Bargah E Gosiyat Me Tohfa Paish Kiya Jata He
Lihaza Giyarvi Manana Jaiz O Durust Aur Kaare Sawab He. Albttah Jo Kam Ilm Hazraat Giyarvi Sharif Per Nach Gane Ya Gair Sharai Kaam Karte Ho To Ye Jaaiz Nahi
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️8 Oct 2020, 20 Safar1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•