*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Mote Gadde Par Namaz Parhna Kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Gadda Aysa He Ki Us Par Sajda Kiya Jaye To Vo Mukammal Dab Jaye, Mazeed Dabane Se Na Dabe To Us Par Namaz Padhna Durust He, Or Agar Gadda Aysa He Ki Kuchh Dabe Fir Mazeed Dabane Se Ya Mazeed Taqat Lagane Se Dab Jata Ho, To Namaz Na Hogi. Yaani Sajda Karte Waqt Peshani Ka Jamna Zaroori He. Gadda Itna Narm Ya Mota Ho Ki Peshani Na Jame To Sajda Adaa Na Hoga, Or Namaz Bhi Na Hogi..
Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,
Kisi Narm Cheez Maslan Ghas, Rooi Qaleen Wagairah Par Sajda Kiya To Agar Peshani Jam Gai Yaani Itni Dabi Ke Ab Dabane Se Na Dabe To Jaaiz He Warna Nahi.
Baaz Jagah Jaaroñ(Sardi/Winter) Me Masjid Me Pyaal (Yaani Chawal Ka Bhusa) Bichhate Hai, Un Logoñ Ko Sajda Karne Me Iska Lihaz Bahut Zaroori He Ki Agar Peshani Khub Na Dabi, To Namaz Hi Na Hui Or Naak Haddi Tak Na Dabi To Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hui, Kamani Daar (Yaani Spring Wale) Gadde Par Sajda Me Peshani Khub Nahi Dabti Lihaza Namaz Na Hogi.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Sajda Ka Bayan, Mas'ala-36)*
Or Farmate Hai,
Qaleen Or Bichhonoñ Par Namaz Parhne Me Harj Nahi, Jab Ki Itne Narm Or Mote Na Hoñ, Ki Sajda Me Peshani Na Thahre, Warna Namaz Na Hogi.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohat Ka Bayan, Mas'ala-76)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓19 May 2020, 25 Ramzanul Munarak 1441*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•