*🌹SAWAL:-🌹*
Aurat ko uski shadi par usko jo saman(jahez) diya jata he us pe kiska haqq he??
*🌹JAWAB:-🌹*
Jahez sab aurat ka hota he dusre ka isme koi haq nahi. Is liye aurat uski malike mustaqil hoti he jaisa ke *durre mukhtar jild-2 safa 319* me bhi he.
Or saiyedna aala hazrat imam Ahmed raza muhaddise barailvy alaihir rahma ek sawal ke jawab me taherir farmate he 'zewar wagairah jahez ke zaid ne apni beti ko diya khas malike dukhtar he,shohar ko kisi tarah ka istehqaqi malikana is me nahi, na iska tararruf be raza w izne zauja ho sake..*makhuz (fatawa razviya jild-5,safa-529)*

Or farmate hai
Shak nahiñ ki ab aamma e balaad arbo ajam ka urf gaalib w zahir w faash w mushtahar w mutlaqan yahi he ki jahez jo dulhan ko diya jata he dulhan ki milk samjha jata he balki jahez kahte hi use hai jo us Waqt bataure tamlik dulhan ke sath bheja jata he.

*(Fatawa razviya, J-5, S-545)*
Lihaza jahez ki malik aurat hi hoti he shohar nahi hota agarche vo jahez ka mutalba karta he. Jaise ke masjid ka mutawwali chanda ka mutalba karta he magar uska malik nahi hota.
Albatta kapda rupya wagairah jo ke dulhan ki taraf se dulhe ke makan par bataure lagn aata he dulha baade qabza uska malik ho jata he ke isme yahi urfo aam he agarche kahne me riwaj mukhtalif he aesa *fatawaz razviya jild-5, safa-561* par he.
*📚Ba-Hawal:- (FATAWA FAQIHE MILLAT, JILD-1,SAFA-425)*
============================
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲848
========➖➖➖➖➖======
No comments:
Post a Comment