FAAL NAMA DEKHNA KESA?

*🌹SAWAL:-🌹*
Faal Kholna ya dekhna kesa he ? zaid faal kholta he or batata he ki tumhara  ye kaam Hoga ye kaam nahi hoga iski haqiqat kya he ? Faal kholne or khulwane wale dono par hukme shara'a kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Faal Ek qism ka istekhara he, Vahi Faal Jaiz he jo Ahadise Nabvi se sabit he, Jo istekhara karke kiya jata he or istekhara ka tariqa bahare shariyat me maujud he. Magar Jo awam me mash'hoor he vo hargiz jaiz nahi, us par yaqeen karna haram balki kufr he.

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate He_

Faal ek qism ka istekhara he, Istekhara ki asl kutube ahadis me ba-kasrat maujud he Magar ye faal naame jo awam me mash'hoor or akabir ki taraf mansoob he be asl wa batil he, or Qura'ane azeem se faal kholna mana'a he. Or diwan hafiz wagairah se bataure tafawil jaiz he.
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-23, S-389)*

Or faal par yaqeen karna ya yaqeeni kahna kufr he

_Jaisa ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate He,_

Agar Ye ahkam qata'ee w yaqeen ke sath lagata ho jab to vo Musalman hi nahi, is ki tasdeeq karne wale ko Sahih Hadish me Farmaya
قد کفر بما نزل علی محمد صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم
UsNe us cheez ke sath kufr kiya jo Muhammad Sallallahu alaihi w sallam par utari gai.
*📚(Jame'a Tirmizi, 1/19)*

Or Agar Yaqeen Nahi Karta Jab bhi aam taur par jo faal dekhna raaij he moasiyat (Yani Gunah) se khali nahi.
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-23, S-100)*

_Or Farmate He,_
Aap Sallallahu alaihi w sallam Ne Farmaya Buri Faal Nikalna or us par kaar band hona mushrikeen ka tariqa or dastoor he.
*📚(Musand Ahemad Bin Hambal, 1/438)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-266)*

Or Jo Qura'an Se Faal Nikalte he, Jesa ki log esa karte he ki falaN ka rishta Falañ se achcha he ki nahi to Qura'an ne kareem kholte he or agar usme sab se pahle koi esi aayat nazar aa gai jisme bashaarat he to samajte he faal achchi he rishta karlo. Or agar usme jahannam wagairah ki waeed aa gai to sochte he faal buri he rishta achcha nahi he.. is tarah karna bhi mana he.

Aulmae Ahnaf Ka yahi Qaul He ki Quran se faal nikalna najaiz w mamnoo'a w makroohe tahrimi he.

_Jaisa ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate He_

Qur'an Shareef se faal dekhne me a'imma e mazahib arbaa ke char qaul he ba'az hanbaliya mubah kahte he or shafaiya makroohe tanzihi or malikiya haram kahte he or hamare aulma e hanfiya farmate he najaiz w mamnoo'a w makroohe tahrimi he Qur'an is liye na utara gaya hamara qaul qaule malikiya ke qareeb he balki indut Tahqeeq dono ka ek hasil he.
 Or zyada tafsil ke liye dekhe..
*📚(FATAWA AFRICA, S-149)*

Jo Log Jhuthe Faal Dekhte ya dikhate he unhki imamat bhi nahi..

_Jaisa ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate He_

Nujoomi, Rumal pichhe namaz durust nahi Yuhi Jhuthe faal naamo wale. Haañ agaf jaiz taur par faal dekhe or na us par yaqeen kare na yaqeen dilae to harj nahi.
*📚(FATAWA RAZVIYA, -6, 620)*

Faal kholne wala agar istekhara karke batata he jaisa ki ahadis me he diwan hafiz wagairah (ya is ke misl kitab) se faal kholta he to ye jaiz he, Na kholne wale par gunah, na khulwane wale par, kyu ki he nek faal he or iska zikr ahadise tayybah me maujud he.
Nabi Akram Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya chhoot chhat or barsuguni koi cheez naji or me nek faal ko pasand karta hu.
*📚(IBNE MAJA, HADISH-3537)*

Or jo awam me mash'hoor he faal naama dekh kar vo be asl w batil he jo jaiz nahi.. or Qur'an Shareef se faal nikalna bhi mamnoo'a w najaiz he..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖========

HATH PAIR KE BAAL DOOR KARNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat ek bhai ka sawal hai ki paon ke bal nikalna kaisa hai unki tadad zyda hone ki vajeh si use takleef horahi hai to aise me kya per ke bal utar sakte hain ta upar upar se nikal sakte hai??

*🌹JAWAB:-🌹*

_Pair Ya Hath Ke Baal Door Kar Sakte he._

_Jaisa ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahma Farmate He,_

Bhanwo Ke Baal Bade Ho Gaye To unko tarashva Sakte he, chahera ke baal lena bhi jaiz he jis ko khat banwana kahte he, Sina Or Pith ke baal mundna ya katarwana Achcha nahi, Hath Paanw, Pet Par Se Baal Door Kar Sakte He.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-288)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖========

MUQTADI KI GALTI PAR SAJDA E SHAW NAHI. IMAM KI IQTEDA ZAROORI

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

👇Hazrat Mera Ek Sawal Hai

1) Imam Ki Ikteda Me Jab Muktadi Ba Jamat Namaz Aada Karta Hai Us Dauran Agar Muktadi Se Koi Galti Hojaye To Kya Uski Namaz Hojaigi
Jaisa ke Khiyam Me Ruko me Sajde Me Ya Attahiya me,,???

*🌹JAWAB:-🌹*

Agar Muqtadi se ba-Halate iqteda yaani imam ke sath(piche) namaz padhne ki halat me sahw waqe'a huaa yaani koi bhul hui, to muqtadi ko sajda e sahw karna wajib nahi or namaz ka e'aada bhi uske zimme nahi.
*📚(AALAMGIRI, J-1, S-128)*
*📚(BAHERUR RAIQ, J-2, S-108)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-58)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-642)*
*📚(MOMIN KI NAMAZ, S-367)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖========

FAJAR KI SUNNAT NAMAZ QAZA KARNA KESA OR KAB PADHE?

*🌹SAWAL:-🌹*
Fajar Ki Sunnat Namaz Ki Qaza Padhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Agar Fajar ki qaza namaz usi din zawal se pahle ada kar raha ho to sunnate padhna afzal he. Agar zawal ke baad qaza kare to sirf farz ki qaza padhe. Fajar ki sunnat namazo ke alawa kisi Sunnat ki qaza nahi.

Fatawa Razviya Shareef Me He,
Agar farz se pahle sunnate fajr nahi padhi he or farz ki jama'at ke baad tulu'a aaftab tak agarche wasee'a waqt baki he or ab Padhna chahta he, to jaiz nahi.
*📚(AALAMGIRI)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-620)*

Fajr ki Sunnato ko  Aaftab tulu'a hone ke baad, aaftab buland hone ke baad qaza kare,  Farz Ke baad tulu'a aaftab se pahle padhna jaiz nahi.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-616)*

Agar Fajr Ki namaz qaza ho gai  or agar usi din nisfunNehar se pahle qaza padhta he, to farz ke sath sath sunnat bhi qaza kare, sunnate fajr ke alawa dusri kisi sunnat ki qaza nahi ho sakti.
*📚(RADUUL MOHTAR)*

Agar Fajr Ki namaz ki qaza nisfunNehar ke baad(Duphar sooraj dhalne) ya us din ke baad karta he, to ab sunnat ki qaza nahi ho sakti, sirf farz ki qaza kare.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-620)*

*📚(MOMIN KI NAMAZ, NAMAZE FAJR KE MASAIL)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖========

CONDOM KA ISTEMAL KARNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum ek sawal
Condom yani (nirodh) ka istamal hambistari  k waqt karna Jayez he ya nahi hadis ki roshni me jawab inayat farmayen

*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam W Rahematullah,

_Condom Ka istemal Karna Jaiz He._

_Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alahir Rahma Farmate He,_

Waqti Taur par zarooratan hamal ke isteqarar ko rokne ke liye dawa ya injection dena jaiz he. Na ki hamesha ke liye.

_Or Farmate He,_

Mahaz is khauf se ki zyada bachche ho jaege to kon parhae likhaega  hamal na thaharne ki wajah dawa ka istemal jaiz nahi ki kam padha likha shakhs bhi apni zindagi achchi tarah guzar sakta he. Is liye ki allah ta'ala sab ko rozi dene wala he. Usi ka irshad he.
وَلَا تَقْتُلُوا أَوْلَادَكُم مِّنْ إِمْلَاقٍ ۖ نَّحْنُ نَرْزُقُكُمْ وَإِيَّاهُمْ
Tarjama:- Or Apni Aulad qatl na karo muflisi ke baais, ham tumhe or unhe sab ko rizk dege.
*📚(SURA E AN'AAM, AAYAT-151)*

Or esi Dawa istemal karna ki jisse hamesha ke liye hamal na ho ye ummate muslimah ki zyadati ko rokna he halaki huzur Sallallahu alaihi w sallam ne zyadati ko pasand farmaya. Lekin agar janti he ki hamal thaharne ki wajah se uski sehat kharab ho jaegi ya Chhota bachcha he jiski tandurasti dudh na Milne ki bina par kharab ho jaegi to is qism ki majboori ke tahat waqti taur par hamal na thaharne ki dawa (condom/nirodh) wagairah ka istemal durust he  or hamesha ke liye bachcha paida karne ki taqat khatm ho jane ke liye aysi cheez ka amal me lana haram w najaiz he.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S -333)*

_Condom ya nirodh Ka istemal Jaiz he ki ye azl ke hukm me he._

Azl use kahte he ki mubasharat ke waqt jab mard ko inzal  hona karib ho, to mard apne aale ko aurat mi farz se nikal kar mani raham ke bahar kharij karde. Is tarah jab mard ki mani aurat ke raham me nahi pahuchti he to hamal karar nahi pata.

Hadish shareef me bhi he ki sahaba e kiram ne aulad ki paidaish ko rokne ke liye azl kiya tha.

Hadish Shareef Me He Ki RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya Agar Tum Chaho To Usse Azl Karlo.
*📚(SAHIH MUSLIM, Baraqm:134, 1439)*

Hazrat Jabir RadiAllahu Anhu farmate he, ham nabi e kareem Sallallahu alaihi w sallam ke mubarak zamane me azl kiya karte the, halaki Qur'an e kareem nazil ho raha tha. Imam tirmizi  is hadish ke muta'allik farmate he ye hasan sahi he.
*📚(TIRMIZI SHAREEF,  J-1, S-583)*

Mishkat W  Muslim shareef  me Hazrate Jabir RadiAllahu Anhu se yah riwayat marwi he ki " izl ke muta'allik huzur Sallallahu alaihi w sallam ko khabar pahuchi lekin aap ne hame mana na farmaya.
*📚(MUSLIM SHAREEF, J-1, S-465)*
*📚(MISHKAT SHAREEF, J-2, S-87)*

Azl Karne ka Maqsad yah hota he ki hamal na thahre. Is maqsad ke tahat mard apni mani ko aurat ke raham me jane se rokta he. Yahi Maqsad condom ya nirodh se hasil hota he. Chunanche azl par qayas karke kaha ja sakta he ki jis tarah azl najaiz nahi isi tarah condom ya nirodh ka istemal bhi najaiz nahi. Kyu ki azl or condom se ek hi maqsad hasil hota he.

Ahadis w fiqh ki mustanad kitabo me Yah naql he ki azl apni biwi ki ijazat ke bagair nahi kar sakta.

Amirul Mu'amineen Hazrat Umar Farooqe Aazam RadiAllahu Anhu se riwayat he,
RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne aazad aurat(biwi) se bagair uski ijazat ke azl karne se mana farmaya.
*📚(IBNE MAJA, J-1, BAAB NO.- 618, SAFA-539)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

BE DAM YAHI TO PANCH HE MAQSOODE QAINAT SHER PADHNA KESA ?

huzoor Ek Bhai ne sawal kiya hai Rahnumai farmayein 👇

Bedam yahi to panch hai maksude kainat,

Khairunisa,  hussain o hassan,  mustafa, ali

Jawaab

Mushkil Ash'aar Mahal be Mahal Parhne se ehteraz karna chahiye. Balke is zamane me shafa'at ke Mauzu k sath wa'eedaat ka bhi zikr hona chahiye taake Awaam gunah par jarri na ho.
Haan ehtiyaat is me hai k Maqbooleen ke Kalam ko Manfi jehat se Mauzu e sukhan na banaya jaaye aur mumkina hadd tak Ta'weel ki raah ikhtiyar ki jaaye.  Yahi Sayyedi AlaHazrat ka Sanee' hai.

○●●●●●●●●●●●●○
📝 (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Ridawi Amjadi Dar Al-Ifta
Barkati Islamic Centre Mumbai .

Pathan Moin Raza Azhari Petlad

ISLAM ME KITNI SHADI KI IJAZAT OR KONSI AAYAT QURAN KI

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Quran me kitni shadi karne ka huqm h or konsi ayat me he.

*🌹JAWAB:-🌹*

Mard ke liye ek se zaaid shadiya jin ki ta'dad zyada se zyada chaar(4) he. Vo bhi is soorat me ki sabhi ko sarkha insaf de sake. Warna ek se zaaid shadi karna zulm he.  Or zulm or na-insafi se bachne ke liye ek shadi karna hi bahetar he..

Jesa ki Qur'an Shareef Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata he,
وَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا تُقْسِطُوا فِي الْيَتَامَىٰ فَانكِحُوا مَا طَابَ لَكُم مِّنَ النِّسَاءِ مَثْنَىٰ وَثُلَاثَ وَرُبَاعَ ۖ فَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا تَعْدِلُوا فَوَاحِدَةً أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ ۚ ذَٰلِكَ أَدْنَىٰ أَلَّا تَعُولُوا
Or Agar Tumhe Andesha ho ki yateem ladkiyo me insaf na karoge to nikah me laao jo aurte tumhe khush aaye do do or teen teen or chaar chaar fir agar daro ki do bibiyo ko barabar na rakh sakoge to ek hi karo ya kaneez jin ke tum malik ho ye us se zyada qareeb he tum se zulm na ho.

*📚(SURA E NISA, AAYAT-3)*

*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

VALENTINE KO GIFT DENE PAR HUKME SHARA'A

*🌹SAWAL:-🌹*
Valentine Day ko ladka ladki ek dusre ko gift dete he vo dena or lena kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Valentine Day ho ya koi bhi din ho Ajnabi mard aurat ka najaiz muhabbat me jo aapas me gift ya tohfe diye jate he Uske Bare me Fuqha E kiram Ne Farmaya  ke ye rishwat ke hukm me dakhil he is liye najaizo haram he ayse gift lena or dena dono hi najaizo haram he agar kisi ne tahaif(gift) liye he to us par taubah ke sath sath ye gift wapas karna bhi lazim he.

_Chunanche baherurraiq me he,_
Aashiq w mashooq (najaiz muhabbat me giraftar) aapas me ek dusre ko jo (tahaif) dete he vo rishwat he un ka wapas karna wajib he or vo milkiyat me dakhil nahi hote.
*📚(BAHERURRAIQ, KITABUL QAZA'A, 6/441)*

Aysa hi _Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahemad Raza Khan Alaihir Rahemato ridwan_ ne
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-497)* me bhi farmaya he....

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬 Pathan Moin Raza Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑*
============➖➖➖➖==========

AYB WALI CHEEZ FAROKHT KARNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

👇Hazrat Zaid Ka Ek Sawal Hai'???

Zaid Ki Ek Dukan Hai
Us Ka Business Hai
School Bag College Bag Aur Luggage Bag Ka
Par Hazrat Wo Tamam Bag Jo Hai Out Of Station Se Aata Hai
Jis Transport Se Maal Load Hokar Lori Mein Apni Mukami Jagah par Aata Hai To Us Me Kuch Bag Damage Ho Jate Hain Par Hum Us Damage Bag Ko Repair Karke Bachte Hain Magar Us Me Hame Aib Nazar Aata Hai To Kya Hum Us Aib Ko Chupa Kar Customber Ko Wo Bag Bech Saktey Hain Agar Aib Batayenge To Customber Wo Maal Nahi Kharidega Agar Maal Nahi Bikega To Hamara Nuksan Hoga Aur Jis Company Se Hame Maal Aata Hai Wo Wapas Bhi Nahi Lega,
Kya Islam Me Aisa Karobar Karna Sahi Hai
Kya Islam Hame Is Ki Ijazat Deta Hai??

👆Hazrat Jawab Inayat Farmayiye

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikum Assalam Wa Rahematullah,

Jo shay ham farokht kare us ka ayb se khali hona zaroori he. Agar us me ayb he to bechne wale par ye wajib w zaroori he ki kharidne wale par ayb ko zahir kare. Agar ayb zahir na kiya to gunahgar hoga.

Ahadis nabwiya me is ta'alluk se sakht wa'aid aai he..

Ibne maja ne wasla RadiAllahu anhu se riwayat ki , ke huzur Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya, jis ne ayb wali cheez bee'a ki or us ko zahir na kiya, vo hamesha allah ta'ala ki narazgi me he ya farmaya ke hamesha farishte us par la'anat karte he.

Imam ahmad w ibne maja w hakim ne uqba bin aamir RadiAllahu Anhu se riwayat ki ke huzur Sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya, ek Musalman dusre Musalman ka bhai he or jab Musalman apne bhai ke hath koi cheez beche jis me ayb ho to jab tak bayan na kare, use bechna halal nahi..

Dar Qutni w hakim w bayhaqi abu saeed RadiAllahu Anhu  se raawi ki huzur Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya, na khud ko zarar pahunchne de, na dusre ko zarar pahunchae, jo dusro ko zarar dega or jo dusre par mashqat dalega allah ta'ala us par mashqat dale ga.

Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan ayb ki ta'areef tahrir farmate he..

Urfe Shara'a me ayb jis ki wajah se mubee'a ko wapas kar sakte he vo he jis se taajiro ki nazar me cheez ki qeemat kam ho jae. Or us ke baad Taherir farmate he, mubee'a me ayb ho to us ka zahir kar dena baae'a par wajib he chhupana haram w gunahe kabeera he. Yuhi saman ka ayb mushtari par zahir kar dena wajib he agar bagair ayb zahir kiye cheez bee'a kardi to ma'aloom hone ke ba'ad wapas kar sakte he usko khayare ayb kahte he,khayare ayb ke liye ye zaroori nahi ki waqte aqd ye keh de ki ayb ma'aloom hone par mushtari ko wapas karne ka haq hasil hoga.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-11, KHAYARE AYB KA BAHANY)*

Lihaza us ayb ko Chhupa kar farokht najaiz he haañ kharidne wala agar us ayb par raazi ho to jaiz.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍AL-JAWAB:- HAZRAT ALLAMA MUFTI TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI*
*_📬TADRISO IFTA DARUL ULOOM QADARIYA RAZVIYA PETLAD_*

*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲8487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

HALATE HAMAL ME NIKAH KARNA

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek aurat halte hamal se pahle se ho uske bad uska nikah hua ho is halat me nikah jaiz h ya nhi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jis Aurat ko zina ka hamal he us se nikah ho sakta he, fir agar usi ka vo hamal he to watee bhi kar sakta he or ahar dusre ka he to jab tak bachcha paida ho le watee jaiz nahi.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-7, S-37)*

*✍AL-JAWAB:- HAZRAT ALLAMA MUFTI TAUFIQ SAHAB MISBAHI*
*_📬DARSO TADRIS DARUL ULOOM QADARIYA RAZVIYA PETLAD GUJRAT_*

*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

JAADU KA ASAR HOTA HE OR USKA INKAR KUFR NAHI

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

👇Hazrat Mera Ek Sawal Hai,??

Kya Jadoo Ka Asar Hota Hai
Kya Jadoo Ka Inkaar Karna Kufr Hai,???

👆Hazrat Rehnumai Farmayiye Maherbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
Walaikum assalam
Jadu ka asar hota hai
Lekin jadu zaruriate din me se nahi hai ki jis ke inkar se kufr jazim aaye
Yani jadu ka inkar karna kufr nahi hai
Wallahu aalam

*✍🏻Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI,*
*_📬DAR UL ULOOM MUSTAFYA, HALDARVA,GUJRAT_*

*_📬 Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

NAAM BADALNE PAR AQIQA ZAROORI NAHI

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu

Sa'il Faqeer Saddam Hussain Razvi Noori Mumbai

Sawal:-
Kya Farmate Hai Ulama e Deen Muftiyane Sharai mateen is Mas'ale me
Ke Ek Shaqsh jo Shadi Shuda hai Magar Ab Apna Naam Badalna Chahta hai toh kya Usse Naam Badalne Ke Dubara Aqeeqa Karna hoga? 

Aur Agar dubara Aqeeqa karna hoga Toh Naam Change hoga Isse Nikah Per Koi farq Padega q ki nikah Jis Naam se hua tha Woh change hogayega??? 

Baraye Karam Jawab Inayat Farmaye InshaAllah Tabarak Wata'ala Karam hog Nawazish hogi

KISI BHI MAZHAB ME AURTO KO MASJID JANE KI IJAZAT NAHI

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrath Kya Imam e Maalik ,Ya Imam e Ahmed bin Hambal ,Ya Imam e Shafai k Nazdeek --kya Aurat Ka Masjid Jaake Namaz Padhna Jayez Hai ? Baraye Karam Jawab inayat Farmaye
(Raziallahutaalan)

*🌹JAWAB:-🌹*
Is zamana me kisi imam k nazdeek aurato ko masjid jane ki ijazat nahi hai wo apne ghar ke us hisse me jahan zyada parda ho Namaz ada karen to zyada sawab hai.

*✍🏻 AL-JAWAB:- HAZRAT ALLAMA MUFTI MAQSOOD AKHTAR QADRI SAHAB*
*_📬Khadim Ridawi Amjadi Dar Al-Ifta, Barkati Islamic Centre Mumbai*

*_📬 Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts