Aaseb Se Hifazat Ke Liye Charag Jalana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamalekum Warahmtullah Lahi Ta'ala Barkatohu


Chiraag Jalana Kaisa Hai

Kuch Log Bala Ko Door Karne Ke Liye Chiraag Jalate Hai Iski Asl Kya Hai Chiraag Jala Sakte Hai Ya Nahi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aaseb Wagairah Se Hifazat Ke Liye Charag Jalane Me Harj Nahi Jaise Kichhochha Ka Charag Sarkar Makhdoom Ashraf Jahañgir Simnani Radiallahu Anhu Ki Taraf Mansoob He Or Baraily Ka Charag Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Ki Taraf Mansoob He. 


Allama Tatheer Ahemad Sahab Qibla Taherir Farmate Hai,

Aamal Or Wazaaif Ki Kitaboñ Me Jo Aaseb Wagairah Ke Ilaj Ke Liye Chhota Charag Or Bada Charag Roshan Karne Ke Liye Likha He Vo Alag Cheez He Vo Kisi Buzurg Ke Naam Se Roshan Nahiñ Kiya Jata. (Uska Jalana Durust He)

*📚(Galat Fahemiyañ Or Unki Islah, S-197, Islami Kutub Khana Baraily Shareef)*


Or *📚(Ahkame Shariyat, H-3, S-229,230, Nizamiya Kutub Ghar Lahor)* Me Malfoozate Aala Hazrat Me Bada Charag Jalane Ka Tareeqa Bhi Bataya Gaya He. Jo Sahar, Aaseb Or Marz Ke Liye Mujarrab He.


Lihaza Aaseb Wagairah Door Karne Ke Liye Charag Jalana Jisme Koi Khilafe Shara'a Kaam Na Ho Jaaiz W Durust He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️28 Dec 2021, 23 Jamadi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Hazrat Madaar Paak Maqame Samdiyat Par Faaiz The ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Hazrat Badiuddin Zinda Shah Madaar Alaihir Rahma Maqaame Samdiyat Par Faaiz The ??


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haqq Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,


Ye Kahna Ki Madaar Sahab Quddassirahu Maqaame Samdiyat Par Faaiz The, Kisi Tarah Durust Nahi Balki Bahut Hi Khatarnak He Is Liye Ki Samdiyat Ke Ma'ana Hai "Samad Hona" Or "Samad" Allah Ta'ala Ki Aysi Sifate Khaassa He Ki Iska Itlaaq Makhlooq Par Jaaiz Nahiñ Is Liye Ki Samad Ke Ma'ana He Jo Sab Se Be Niyaaz Ho Or Sari Makhlooq Uski Mohtaj Ho Or Hamesha Se Ho Hamesha Rahe.


Jalaalain Me "الصمد" Ki Tafseer He:

"المقصود فی الحوائج علی الدوام"

*📚(Jalaalain Shareef, S-508, Surah Ikhlaas)*


Jamal Me Farmaya:

Samad Vo Zaat He Jiski Janib Hamesha Hamesha Hajat Me Qasd Kiya Jaye Or Uske Alawa Sab Apne Tamaam Halat Me Uske Mohtaj Hai Jo Hamesha Se He Or Hamesha Rahe..

*📚(Jamal, Jild Raabe'a, S-601,602)*


Neez Ka'ab Ahbaar Ne Farmaya : 

"لم یلد ولم یولد"

Samad Ki Tafseer He Yaani Jiske Na Maañ Baap Hai Or Na Awlad Hai. Samad Ke Ek Ma'ana Ye Hai:

"مالا جوف له"

Jiske Andar Khala Na Ho.


In Donoñ Ma'anoñ Me Se Koi Bhi Hazrat Madaar Par Sadiq Nahiñ Balki Pahle Do Ma'anoñ Ko Sabit Manna Kufr He Rah Gaya Ye

Ehtemal Ki Samdiyat Ke Koi Naye Ma'ana Garh Kar Itlaaq Kiya Jaye To Ye Bhi Jaaiz Nahi. Kya Iski Ijazat Ho Sakti He Ki Koi Be Baak Ye Kahe Ki Mera Peer Maqaame Rabwiyat Par Faaiz He Or Ma'ana Ye Banaye Ki Apne Mureedin Ko Sulook Ki Ta'aleem Deta He. Koi Be Baak Ye Kahe Ki Mera Peer Uloohiyat Par Faaiz He Or Ma'ana Ye Bataye Ki Sare Peeroñ Ka Peer He To Kya Iski Ijazat Hogi ?? Hargiz Nahiñ Isi Tarah Samad Ka Jab Ek Ma'ana Muta'ayyin He To Uska Naya Ma'ana Garh Kar Kisi Par Uske Itlaaq Ki Ijazat Hargiz Nahiñ Hogi. 


Rah Gaya Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Quddassirahu K Akhbarul Akhyaar Me Ye Taherir Farmana:

"گویند کہ وے در مقام صمدیت بود" 

Ye Iske Sahih Hone Ki Daleel Nahi. Ye Hazrat Shaikh Ne Bataure Ta'ajjub Zikr Farmaya He. Iske Shuru'a Me He:

"غریب احوال و عجائب اطوارازوئے نقل می کنند گویند کہ در مقام صمدیت بود"

Log Aapke Muta'lliq Bare Bare Ajeebo Gareeb Waqe'aat Naql Karte Hai Ki Aap Maqame Samdiyat Par The.

*📚(Akhbaarul Akhyaar)*


Madariyoñ Ke Alawa Kisi Silsila Me Maqaame Samdiyat Ka Koi Zikr Nahi Milta Or Na Tasawwuf Ki Kitaboñ Me Kahiñ Iska Pata He Or Koi Madaari Aaj Tak Maqaame Samdiyat Ki Tashreeh Nahiñ Kar Saka, Or Ba Zaahir Ye Bahut Khatarnak Jumla He.


Is Liye Ye Kahna Hazrat Madaar Sahab Quddassirahu Maqaame Samdiyat Par The Sahih Nahi.

*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-188, 189)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓27 Dec 2021, 22 Jamadi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Madaarul Aalameen Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Badiuddin Zinda Shah Madaar Alaihir Rahma Ko Madaarul Aalameen Kahna Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Madaarul Aalameen Kahna Jaaiz Nahi..


Huzur Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Sawal Hua Ki, Madaarul Aalameen Kahna Kesa ?

Logat Me "Madaar" Ke Ma'ana 1. Gardish Ki Jagah, 2. Munhasir Kiya Gaya, 3. Jis Par Koi Baat Thahri Ho, 4. Daaira 5. Qayaam 6. Inhesar.. Is Wazaahat Ki Roshni Me Madaarul Aalameen Ke Jo Matlab Zahir Hote Hai Vo Hasbe Zail Hai:


1. Hazrat Saiyeduna Badiuddin Qutbul Madaar Alaihir Rahma Ke Aage Sare Aalam Gardish Karte Hai. 

Hazrat Sare Aalam Ko Ghere Huve Hai


2. Hazrat Sare Aalam Ka Thahraw Hai.


3. Hazrat Sare Aalam Ka Qayam Hai.


4. Hazrat Sare Aalam Ka Markaz Hai, Aur Daira Hai, Neez Hazrat Par Sare Aalam Ka Inhesar He.


Jiske Jawab Me Aap Taherir Farmate Hai,

Madaarul Aalameen Kahna Jaaiz Nahi Is Liye Ki Iske Aksar Ma'ani Khasa E Janabe Risalat Ma'aab  ﷺ Hai Or Dusra Ma'ani Khaasa e Uloohiyat He.

*📚(Fatawa Tajushshariya, J-1, S-439)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️27 Dec 2021, 22 Jamadi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusl Ke Dauran Wuzu Tut Jaye To Kya Baad Me Ibadat Ke Liye Naya Wuzu Karna Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Agar Koi Gusl Ke Liye Niyat Kiya Aur Gusl Ke Dauraan Yaani Jab Wo Apne Jism Me Paani Daal Raha Tha Uss Waqt Usko Istinza Aagayi Ya Hawa Khaarij Hogayi To Gusl Karne Ke Baad Usko Wudhu Bhi Karna Hoga Kya?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Pakhana Ya Peshab Karne Se Sirf Wuzu Wajib Ho Jata He, Lihaza Agar Gusl Karne Ke Baad Aapne Peshab Pakhana Kiya Uske Baad Agar Aapko Aysi Ibadat Karni He Jo Bagair Wuzu Ke Nahi Ho Sakti To Aap Par Wuzu Karna Farz Hoga.. Misaal Ke Taur Par Namaz Padhni He Qura'an Shareef Chhuna He To Uske Liye Wuzu Karna Hoga Or Bhi Digar Ibadate Hai Jinke Liye Wuzu Zaroori He To Agarche Aapne Gusl Kar Liya Ho Lekin Gusl Karne Ke Baad Istinja Wagairah Karne De Wuzu Wajib Hoga, Lihaza Namaz Wagairah Padhni He Ya Qura'an Shareef Chhuna He To Uske Liye Firse Wuzu Karna Hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️20 Dec 2021, 15 Jamadi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ehtelam Na Ho Sirf Chhote Chhote Dhabbe Pade To Gusl Or Paaki Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

As Salamu Aliakum

Sawal:- Ke Kisi Shaks Ko Ahtelaam Nhi Huwa Bus Chote Chote Dhabbe Padhgye Hoo Jo Ek Darham Se Kam Ho Sirif 2 Dhabbe Pade Ho To Kya Uspe Gusul Karna Chahiye Ya Nhi????? Jawab Inayat Farmaae.


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Ye Ek Do Dhabbe Usne Subah Nind Se Bedaar Hone Ke Baad Dekhe To Us Par Gusl Farz He, Chahe Usko Khwab Yaad Ho Ya Na Ho, Rahi Baat Ye Ki Jagte Me Usne Ye Dhabbe Dekhe Or Usko Yaqeen He Ki Ye Ehtelam Ke Nahi He, Albatta Us Par Gusl Farz Na Hoga..


Haañ Jis Jagah Par Ye Najasat Ke Dhabbe He Chahe Badan Ho Ya Kapda Vo Jagah Zaroor Napaak Ho Jayega, To Agar Najasat Ke Dhabbe Kapde Ya Badan Me Ek Dirham Se Zyada He To Uska Paak Karna Farz, Ki Bagair Use Paak Kiye Namaz Padhli To Hogi Hi Nahi, Or Qasdan Padhi To Gunah Bhi Hua Or Agar Ba-Niyyate Istekhfaaf He To Kufr Huaa..


Or Agar Dirham Ke Barabar He To Paak Karna Wajib Bagair Paak Kiye Namaz Padhi To Makroohe Tahreemi Hui Yaani Aysi Namaz Ka Ae'aada Wajib He. Or Qasdan Padhi Gunehgar Bhi Huaa..


Or Agar Vo Dhabba Ek Dirham Se Kam He To Paak Karna Sunnat, Ki Paak Nahi Kiya Or Namaz Padhli To Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui, Or Uska Ae'aada Karna Bahetar He.

Aysa hi *📚(Bahare Shariyat, H-2, Najasatoñ Ke Muta'lliq ahkam, Mas'ala-1)* me he...


Lihaza Apni Halat Ko Dekhe Ki Vo Napaaki Ke Dhabbe Kab Dekhe, Agar Jagne Ke Baad Dekhe He, Tari Ko Aapne Mahesoos Kiya He To Yaqeenan Aap Par Gusl Farz He. Or Agar Jagne Ke Baad Aapko Ye Dhabbe Lage Ya Aage Se Koi Cheez Kharij Hui Or Aapko Yaqeen He Ki Vo Mani Nahi He To Aap Par Gusl Farz Nahi Balki Wuzu Farz Hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️20 Dec 2021, 15 Jamadi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bimari Or Kamzori Ki Wajah Se Namaz Kese Padhe..

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum  Hazrat Bimari Aur Kamzori Ki Wajah Se Pairo Aur Kamar Uthna Baithna Namumkin To Nahi Lekin Bahut Takleef Uthne Baithne Me Hoti Hai . To Kya Is Wajah Se Tamam Namaze Baith Kar ( Nafil Ki Tarah ) Padh Sakte Hain .


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Allah Tabarak W Ta'ala Qura'an Paak Me Irshad Farmata He,

لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا 

*📚(Surah Baqrah, Aayat-286)*

Allah Tabarak W Ta'ala Kisi Jaan Par Uski Taqat Se Zyada Bojh Nahi Dalta..


Lihaza Agar Aapko Khade Ho Kar Namaz Padhne Me Ya Qayam Se Sajde Me Jate Huve Kaafi Dard Hota He Or Kamzori Ki Bina Par Aap Qayam Wagairah Sahih Taur Par Ada Nahi Kar Sakte To Fir Aap Beth Kar Namaz Ada Kar Sakte Hai, Albatta Ye Baat Zaroor He Ki Khade Hone Me Agar Kuchh Adna Si Takleef Gai Dard Ho To Uska Aitebar Nahi.


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,

Khade Hone Se Mahaz Kuchh Takleef Hona Uzr Nahi, Balki Qayam Us Waqt Saqit Hoga Ki Khada Na Ho Sake Ya Sajda Na Kar Sake.. Yuñhi Khada To Ho Sakta He Magar Usse Marz Me Zyadati Hoti He Ya Der Me Achcha Hoga Ya Naqaabile Bardasht Takleef Hogi To Beth Kar Namaz Padhe.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Namaz Padhne Ka Tareeqa, Mas'ala-22)*


Or Agar Aap Me Allah Tabarak W Ta'ala Ne Itni Taqat Di He Ki Kuchh Der Bhi Khade Ho Sakte He To Khade Ho Kar 'Allahu Akbar' Takbire Taherima Kahe... Fir Beth Kar Baaki Namaz Ada Kare..


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,

Agar Kuchh Der Bhi Khada Ho Sakta He, Agarche Utna Hi Ki Khada Ho Kar Allahu Akbar Kah Le, To Farz He Ki Khada Ho Kar Itna Kah Le Phir Beth Jaye.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Namaz Padhne Ka Tareeqa, Mas'ala-24)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️20 Dec 2021, 15 Jamadi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namazi Ke Aage Chappal Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Hazrat Mene Dekha He Ke Agar Koi Namazi Namaz Padh Rha Ho To Kuch Log Uske Aage Chappal Rkh Dete He To Kya Wo Chappal Rkhna Sahi He Ya Nhi?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Koi Shakhs Namaz Padhta Ho To Uske Aage Jute Chappal Wagairah Rakhna Ye Karahat Se Khali Nahi Kyuñ Ki Namazi Ke Aage Koi Aysa Kaam Karna Jisse Namazi Ka Dil Bate Ye Makrooh He.


Huzur Sadrushshariyah BadrutTariqa Alaihir Rahma Bahare Shariyat Me Aysa Hi Farmate Hai,

Namazi Ke Aage Koi Aysi Cheez Ho Jo Uske Khushu'a Khuzu'a Me Khalal Daale Ya Namaz Se Uska Dil Hata De Ye Makrooh He.. Haañ Ye Karahat Karahate Tanziha He.


Or Farmate Hai,

Aysi Cheez Ke Samne Ki Jo Dil Ko Mashgool Rakhe Namaz Makrooh He. Maslan Zeenat W Lahw Laeeb Wagairah...

*📚(Bahare Shariyat, H-3,Makroohat Ka Bayan, Mas'ala 77)*


Ab Rahi Ye Baat Ki Jute Wagairah Le Kar Masjid Me Jana Is Ta'alluq Se Huzur Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Farmaya Ki,

Mene Isme Jo Taheqiq Ki He Uska Khulasa Ye He Ki Naye Or Paak Jute Me Jo Najasat Ki Jaghoñ Or Shal W Shuba Ke Maqaamat Se Mmahfooz Ho, Bilakarahat Namaz Parhna Jaaiz He Or Usme Koi Harj Nahi, Hindustani Jute Ka Bhi Yahi Hukm He Jab Ki Vo Aysa Sakht Or Tang Na Ho Jo Ungliyañ Bichhane Or Un Par Tek Lagane Me Rukawat Ho, Balki Uske Mustahab Hone Ka Qaul Bhi Kiya Jata He. Lekin Iske Alawa Jute Me Namaz Parhne Or Uske Sath Masaajid Me Chalne Se Bhi Mana'a Kiya Jayega Agarche Pahle Dour Me Uski Ijazat Thi Kuchh Ahkaam Ikhtilaafe Zamana Se Badal Jate Hai.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-4, S-488, رسالہالاحلی من السکر لطلبۃ سکرروسر)*


Lihaza Agar Jute Saaf Ho Suthre Ho Naye Ho, Najasatoñ Or Napaakiyoñ Gandagiyoñ Wagairah Najasatoñ Se Paak Ho To Fir Usko Masjid Me Le Ja Sakta He. Albatta Chuñki Abhi In Tamam Cheezo Se Jutoñ Ko Bachana Mushkil He Lihaza Jutoñ Ko Masjid Me Na Le Jaaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️20 Dec 2021, 15 Jamadi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dunya Me Sabse Pahle Kiski Qabr Banai Gai

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazrat Ek Sawal Duniya Me Sabse Pahle Kiski Qabr Banayi Gayi Wazahat Farma Dijiye


*🌹JAWAB:-🌹*

WaAlaykumusSalam WaraHmatullah WaBarakatuh. Sarkar E Hadrat E Adam AlayhisSalam Ke Shahzadey Hadrat Haabeel RadiAllaahuAnh Ki Qabr Sabsey Pehley Bani Jinko Unke Bhai Qaabeel Ne Qatl Kar Diya Tha. Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Janab Masood Noori Sahab, Jaipur Rajasthan*

*🗓️4 Dec 2021, 28 Rabi Us Saani 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kis Sahabi Ne Huzur ﷺ Ke Dandan Madfan Me Rakhne Ki Wasiyat Ki Thu

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalam Alaikum Hazrat Sawal Hai, Kin Sahabi E Rasool Alaihissalam Ne Farmaye Baad Parda Madfan Se Pahle Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Nakhu'n Mubarak Zuban Ke Niche Rakhne Ko Wasiyat Ki??  Islah Farmaye Hazrat,  Jazak Allah


*🌹JAWAB:-🌹*

WaAlaykumusSalam WaraHmatullah WaBarakatuh. SaHabi E Rasoolullaah SallallaahuAlayheWasallam Hadrat E Ameer E MuAawiyah RadiAllaahuAnh Ne Yeh Wasiyyat Ki Hui Thi Aur Aesa Hi Kiya Gaya.

*✍🏻Masood Noori Sahab Jaipur Rajasthan*

*🗓️19 Dec 2021, 14 Jamadi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kaam Karte Waqt Shoes Pahan Kar Mobile Me Qura'an Sunna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu


Phone Me Qur'an Shareef Lagakar


Dukaan Me Shoes Ya Sleeper Pehen K Reh Sakte Hai Kya


Mere Ek Dost Ka Barbar Shop Hai

Usme Wo Log Qur'an Shareef Lagakar Shoe Pehenke Kaam Karte Hai

Kya Aisa Kar Sakte Hai Kya


*🌹JAWAB:-🌹*

WaAlaykumusSalam WaraHmatullah WaBarakatuh. Jaaiz Hai. Lekin Quran E Paak Adab Se Sunna Chahiyye Bey Tawajjohi Se Nahi..

*✍🏻Masood Noori Sahab Jaipur Rajasthan*

*🗓️19 Dec 2021, 14 Jamadi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jo Wahabi Apne Aqabir Ke Kufriyat Na Janta Ho Uski Mayyat Me Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Wahabi Devbandi Sullehkulli Ki Mard Ya Orat Ki Mayyat Me Jaana Kaisa Mitti Dena Kaisa Or Woh Wahabi Devbandi Sullehkulli Jo Sada Hua Nhi Hai Jo Inki Qufri Aqaid Bhi Nhi Jaanta H Or Kuch To Inke A Kabir Ko Bhi Nhi Jaante H Jinhone Gustakhi Ki H Woh Apne Ap Ko Sirf Musalman Bolte H Iski Wazaahat Farma De


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Wahabi Deobandi Apne Kufriya Aqaaid Ki Buniyad Par Aulma E Harmain Shareefain Or Barre Sageer Ke Aulma E Ahle Sunnat Ke Fatawa Ke Mutabiq Jo Hussamul Harmain Me Darj He, Apne Kufriya Aqaaid Ki Buniyad Par Kafiro Murtad He.. Ayso Ki Namaze Janaza Padhna Najaaizo Haram Or Jisne Musalman Samajh Kar Namaz Padhi To Vo Aulma Harmain Shareefain Ke Fatwa Ke Mutabiq Unke Kufr Me Shal Karne Ki Bina Par Vo Khud Bhi Kafir..


Kafiro Mushrikeen Ki Namaze Janaza Ke Ta'alluq Se Rab Tabarak W Ta'ala Ne Irshad Farmaya,


وَلَا تُصَلِّ عَلَىٰ أَحَدٍ مِّنْهُم مَّاتَ أَبَدًا وَلَا تَقُمْ عَلَىٰ قَبْرِهِ ۖ إِنَّهُمْ كَفَرُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَمَاتُوا وَهُمْ فَاسِقُونَ

Or Unme Se Kisi Ki Mayyat Par Kabhi Namaz Na Padhna Or Uski Qabr Par Khade Hona, Beshak Vo Allah Or Rasool Se Munkir Huve Or Fisq Hi Me Mar Gaye.

*📚(Surah Taubah, Aayat-84)* 


Or Yuñ Bhi Gumrah Badmazhab Ke Sath Uthne Bethne Se Bhi RasoolAllah ﷺ Ne Mana Farmaya Or Ek Hadees Shareef Me RasoolAllah ﷺ Ne Unke Sath Namaz Padhne Or Unki Namaze Janaza Padhne Se Bhi Mana Farmaya.


Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Fatawa Amjadiya Me Taherir Farmate Hai,


Hadees Me Farmaya,

لَا تُؤَاكِلُوهُمْ، وَلَا تُشَارِبُوهُمْ وَلَا تُجَالِسُوهُمْ وَلَا تُنَاكِحُوهُمْ وَلَا تُصَلُّوا عَلَيْهِمْ وَلَا تُصَلُّوا مَعَهُمْ، 

Unke Sath Na Khao Na Unke Sath Paani Piyo Or Unke Paas Na Betho Unke Sath Shadi Biyah Na Karo Or Vo Bimar Ho To Iyadat Ko Na Jaao Or Jab Mar Jaaye To Janaza Par Na Jao Or Vo Mar Jaaye To Na Unki Namaze Janaza Padho Na Unke Sath Namaz Padho.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-397)*


Lihaza Qura'an Shareef Ki Aayate Karima Or RasoolAllah ﷺ Ke Irshad Ke Mutabik Wahabi Deobandi Gumrah Badmazhab Ki Namaze Janaza Hargiz Hargiz Na Padha Jaaye..


Rahi Baat Vo Bhole Bhale Musalaman Jo Unke Aqaaid Par Muntara'a Nahi Jinko Ye Bhi Maloom Nahi Ki Sunniyoñ Ke Kya Aqaaid He Wahabi Deobandi Jamati Ke Kya Aqaaid He, Or Apne Aapko Sunni Kahte Ho To Ayso Ki Namaze Janaza Padhi Jaye..


Albatta Jis Shakhs Ke Imano Kufr Ke Bare Me Shak Ho To Uski Namaze Janaza Na Padhi Jaye. 


Saiyedut Tafaasir Saiyedul Mufassireen Allama Saiyed Naeemuddin Muradabadi Alaihir Rahmato Ridwan Tafsiee Khazainul Irfan Me Mas'ala Taherir Farmate Hai,

Ki Jis Shakhs Ke Momin Ya Kafir Hone Me Shubah Ho Uski Janaze Ki Namaz Na Padhi Jaye.

*📚(Tafsir Khazainul Irfan, Surah Taubah, Tahat Aayat-84)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️20 Dec 2021, 15 Jamadi Ul Awwal 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me Aurtoñ Ka Program Rakhna Kesa

 

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Masjid Me Auraton Ka Bayan Rakhna Kaisa Hai?
Aor Hamare Mohlle Me Hafte Me 1 Bar Masjid Me Program Ho Raha Hai, Karna Chaiye Ya Nahi Karna Chahiye Ye Bataye Jarur Bataiyega
Jawab Ka Talbgar Afroj Razvi
Kandivali Mumbai
Details Me Jawab Hoga To Behtar Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masjid Me Aurtoñ Ka Program Karna Yaqeenan Usme Bahut Sari Qabahateñ He. Lekin Is Poorfitan Dour Me Jahañ Musalman Bachchiyoñ Or Aurtoñ Ke Darmiyan Jab Iman Ke Lutere Kuffaro Mushrikeen Hamari Aurtoñ Par Unki Izzato Iman Par Hamla Aawar Ho Rahe Hai Ayse Daur Me Unke Ijtema'at Ko Band Kara Dena Ye Bhi Munasib Nahi. Lihaza Bahetar Or Munasib Ye He Ki Aurtoñ Ke Ijtema'at Unke Programat Kisi Makhsoos Ghar Me Rakhe Ya Kisi Hall Wagairah Me Rakhe, Masjid Me Na Rakha Jaye Usse Bacha Jaye, Kyuñ Ki Masjid Me Rakhne Me Bahut Sari Qabahateñ He Jo Ahle Ilm Par Makhfi Nahi. Fir Bhi Aap Apne Kisi Ilaqe Ke Kisi Aalim Ya Mufti Sahab Se Rabta Kare Vo Vahañ Ke Halat Ka Jaaiza Le Kar Aapko Tasaffi Bakhsh Jawab Dege.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️20 Dec 2021, 15 Jamadi Ul Awwal 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Nashe Me Di Hui Talaq Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Bhai 


Zaid Ney Sharab Pikar Apni Biwi Ko 3 Baar Talak Bol To Kya Waqie Talak Ho Gayi ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sharab Pi Kar Talaq Dene Se Talaq Waqe'a Ho Jayegi..


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Talaq Ke Liye Shart Ye He Ki Shohar Aaqil Balig Ho, Nabalig Ya Majnoon Na Khud Talaq De Samta He Na Uski Taraf Se Uska Wali Magar Nasha Wale Ne Talaq Di To Waqe'a Ho Jayegi Ki Ye Aaqil Ke Hukm Me He Or Nasha Khwah Sharab Pine Se Ho Ya Bhang Wagairah Kisi Or Cheez Se...

*📚(Bahare Shariyat, H-8, Talaq Ka Bayan, Mas'ala-5)*


Or Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate Hai,

Apni Biwi Ko Talaq Di Agarche Sharab Ke Nashe Me Di Talaq Waqe'a Ho Gai.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-133)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓13 Dec 2021, 8 Jamadi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khinzir (Pig) Ka Karobar Karna Kesa Or Uski Kamai Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

As Salamu Alekum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu.


Janab Ek Sawal Aya Hai.

Sawal-

Jis Tarah Log Gao Me Bakre Ya Bakriyan Palte Hai Or Fir Bade Ho Jane Par Use Sahi Kimat Me Bech Dete Hai.

Kya Isi Tarah Se Kisi Kafir Ke Sath Partnership Me Khinzir Ka Bhi Karobar Kiya Ja Sakta Hai.

Baraye Karam Rehnumayi Farmaye



 Ek Muslim Hai Jo Ye Karobar Karta Hai Per Manne Ko Tayyar Hi Nahi K Ye Haram Hai

Kehta Hai K Hawala Pesh Karo Jisse Haram Sabit Ho


Aarif Raza Qadri

Jabalpur Madhya Pradesh


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Khinzir Ki Kharido Farokht Haram He Ki Ye Najise Ayn He.


Jaisa Ki Hadeese Paak Me He,

Sahihain Me Jabir Radiallahu Anhu Se Marwi, RasoolAllah ﷺ Se Saal Fatah Makka Me Jabki Makka Muazzama Me Tashreeh Farmathe Ye Farmate Suna Ki: Allah ﷻ W Rasool  ﷺ Ne Sharab W Murdad W Khinzir Or Butoñ Ki Bee'a (Kharido Farokht) Ko Haram Qarar Diya. Kisi Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Murda Ki Charbi Ki Nisbat Kya Irshad He, Kyuñ Ki Kashtiyoñ Me Lagai Jaati He Or Khaal Me Lagate Hai Or Log Charag Me Jalate Hai (Yaani Khane Ke Alawa Dusre Tareeq Par Iska Istemal Jaaiz He Ya Nahi) ? Farmaya: Nahi, Vo Haram He. Phir Farmaya Allah Ta'ala Yuhudiyoñ Ko Qatl Kare, Allah Ta'ala Ne Jab Charbiyoñ Ko Un Par Haram Farma Diya To Unhoñ Ne Pighla Kar Bech Dali Or Saman (Qeemat) Kha Liya. 

*📚(صحیح مسلم''،کتاب المساقاۃوالمزارعۃ،باب تحریم بیع الخمر...إلخ،الحدیث:۷۱۔(۱۵۸۱)،ص۸۵۲.)*

*📚(Bahate Shariyat, H-11, Bee'a Fasid Ka Bayan, Hadees-4)*


Is Hadees Ko Abu Dawood, Imam Tirmizi, Ibne Maja, Imam Nasai, Imam Tabrani Or Digar Muhaddiseen Ne Bhi Naql Ki He.


Or Ek Hadeese Paak Me He,

Ibne Maja Ne Ibne Abbas Radiallahu Anhuma Se Riwayat Ki, Ke Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya, Beshak Allah Ta'ala Ne Sharab Or Uske Saman (Qeemat) Ko Haram Kiya Or Murda Ko Haram Kiya Or Uske Saman Ko Or Khinzir Ko Haram Kiya Or Uske Saman Ko.

*📚(''سنن أبي داود''،کتاب البیوع،باب في ثمن الخمر...إلخ،الحدیث:۳۴۸۵،ج۳،ص۳۸۶.)*

*📚(Bahare Shariyat, H-11, Bee'a Fasid Ka Bayan, Hadeea-6)*


Lihaza Khinzir Ki Kharido Farokht Se Milne Wali Raqam Bhi Haram He.


Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,

Khinzir Ke Baal Ya Or Kisi Juz Ki Bee'a Batil He.

*📚(Bahare Shariyat, H-11, Bee'a Fasid Ki Digar Surteñ, Mas'ala-48)*


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Khinzir Ki Khaal Ya Haddi Kisi Haal Me Aslan Kharido Farokht Ya Kisi Qism Ke Intefa'a Ke Qabil Nahi لنجاسۃ علینہا (Uske Najise Ayn Hone Ki Wajah Se)

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-17, Mas'ala-65)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️9 Dec 2021, 4 Jamadi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrat Ibrahim Alaihis Salam Ne Hazrat Ismail Ki Jagah Jo Mendha Zabah Kiya Uske Gosht Ko Kisne Khaya

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazrat Hazrat Ismail Alaihis Salam Ko Qurbani Ke Liye Jab Zabah Karne Ja Rahe The To Ain Waqt Allah TaAla Ne Mendha Bhej Diya Tha To Ya Btaye Wo Mendha Qurban Hua Tha To Wo Mendhe Ke Gost Ka Kya Kiya Gya Tha Wazahat Farma Dijiye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Fatawa Baraily Shareef Me He,

Hazrat Saiyeduna Ibrahim Alaihis Salato Salam Ne Jis Jannati Mendhe Ki Qurbani Ki Thi Us Mendhe Ka Gosht Kisne Khaya Tha Koi Riwayat Nazar Se Na Guzri Albatta Ye Dekha Ki Ma Baaqi Ko Darindoñ Or Parindoñ Ne Khaya Tha..


*📚Tafseer Saawi J-3, S-322* Par He,

Or Baade Zabah Mendha Se Jo Bacha Usko Darindoñ Or Parindoñ Ne Kha Liya Is Liye Ki Aag Usme Asar Nahi Karti Jo Jannat Se Ho.

*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-301)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓6 Dec 2021, 1 Jamadi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Huzur ﷺ Ke Kitne Chacha The ? Or Kya Abu Jahal Huzur Ka Chacha Tha ???

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazrat  Nabib E Kareem Huzur صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  Ke Kitne Chacha The Wazahat Farmaye


Or Kya Abu Jahal Huzur ﷺ Ka Chacha Tha ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzure Aqdas ﷺ Ke Chachaoñ Ki Ta'adad Me Muarrikheen Ka Ikhtelaf He, Ba'az Ke Nazdik Unki Ta'adad 9 Ba'az Ne Kaha Ki 10 Or Ba'az Ka Qaul He Ki 11 Magar Sahibe Mawahibul Ladunniya Ne 

"ذخائر العقبيٰ في مناقب ذوي القربيٰ" 

Se Naql Karte Huve Taherir Farmaya Ki Aap  ﷺ Ke Walide Majid Hazrate Abdullah رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ke Ilawa Abdul Muttalib Ke 12 Bete The Jin Ke Naam Ye He:

1: Haris

2: Abu Talib

3: Zubair

4: Hamza

5: Abbas

6: Abu Lahab

7: Gaidaq

8: Maqoom

9: Zaraar

10: Kasm

11: Abdul Ka'ab

12: Jahal


Inme Se Sirf Hazrate Hamza W Hazrate Abbas  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُما Ne Islam Qubool Kiya.

*📚(Seerate Mustafa, Safha-562)*


Or Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Abu Jahal Huzur ﷺ Ka Chacha Nahi Tha.

*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-354)*


Or Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,

Abu Jahal Huzur ﷺ Ka Chacha Tha Ye Bilkul Galat Bhi He Or Musalamanoñ Ke Liye Ishtegal Angez Bhi He Abu Jahal Ka Qabeela Banu Makhzoom Ka Tha Or Huzure Aqdas ﷺ Bani Hashim Se The Phir Abu Jahal Huzure Aqdas ﷺ Ka Chacha Kaise Ho Sakta He ? Abu Jahal Bahut Sarkash Fasaadi Kafir Tha Kisi Fasadi W Sarkash Badnaam Aadmi Ko Agar Kisi Shareef Izzat Daar Aadmi Ka Chacha Bataya Jaye Or Rishte Me Vo Uska Chacha Na Ho To Ye Ek Tarah Ki Gaali Hoti He.

*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-411)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️5 Dec 2021, 29 Rabi Us Saani 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Aurat Qurbani Ka Janwar Zabah Kar Sakti He?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Rahmatullahi Wa Barakatuh Hazrat ...


Ladki Aur Aurat Ko Qurbani Karna Kaisa Jawab Ata Farma Dijiye Kahin Se Sabit Hai To Daleel  Send Kar Dijiye..

Kya Aurat Fatiha Kar Sakti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Rahmatullahi Wa Barakatuh Hazrat ...


Ladki Ya Aurat Ko Fatiha Karna Kaisa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aurat Bhi Fatiha Kar Sakti He..


Jaisa Ki Huzur Bahrul Uloom Hazrat Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,


Aurat Fatiha Zaroor Kar Sakti He Jab Aurteñ Namaz Padh Sakti Hai To Fatiha W Durood Paaki Ke Aalam Me Zaroor Kar Sakti Hai.

*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-28)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓30 Nov 2021, 24 Rabi Us Saani 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Junubi Or Haiz W Nifaz Wali Aurat Ko Azan Ka Jawab Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum 

Ek Sawal Hai Ki Kya Junubi Or Haiz Wa Nifas Wali Orat Azaan Ka Jawab De Sakti Hai?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Fatawa Aalamgiri Me He,

و یجوز للجنب و الحائض الدعوات و جواب الاذان و نحو ذلک " اھ 

Yaani Junubi Or Haaiza Ke Liye Duaayeñ Parhna Or Azan Ka Jawab Dena Or Us Jaise Azkaar Parhna Jaaiz He..

*📚(فتاوی عالمگیری کتاب الطہارۃ الفصل الرابع فی احکام الحیض و النفاس و الا ستحاضة, ج 1 , ص 38)*


Or Bahare Shariyat Me He,

In Sab Ko (Yaani Be Wuzu Or Junub Or Haiz W Nifas Wali Ko) Azan Ka Jawab Dena Jaaiz He.

*📚(Bahare Shariyat, H-2, Baab Gusl Kin Cheezoñ Se Farz Hota He, Mas'ala-42)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 Nov 2021, 18 Rabi Us Saani1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts