*🌹SAWAL:-🌹*
Allah ta'ala ko 'Miya' kahna kesa ? Ya Allah Miya kahna kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
*_👉YE JAIZ NAHI_*
```Mujaddide Aazam Aala Hazrat Imam Ahmad Raza alaihir rahma farmate he ki``` Allah ta'ala ko Miya kahna mamnu wa mayoob he, Urdu zuban me Miya ke 3 mana he Jin me se do Allah ta'ala ke liye muhaal he.
*📚(FATWA RAZVIYA J-14,S-276)*
```Aala Hazrat ek dusre muqaam par Irshad farmate he``` ke lafze 'miyan' ke teen Maana he, ek maana he "maula" to Allah ta'ala beshak mauala he,
Dusra maana "shauhar" aur Teesra maana he "Zina ka dalal"
In me se do aise he jinse shaane uloohiyat paak he lihaza iska istemal jayez nahi he.
*📚(MALFUZATE AALA HAZRAT, H-1,S-174)*
```Shareh Bukhari Hazrat allama shariful Haqq amjadi alaihir rahma taherir farmate he``` ke jis Lafz ke chand maana ho or kuchh maani khabees ho or vo lafz shara'a me warid na ho to is ka itlaq allah Azzawajal par mana he, Allama Shami ne farmaya ke *ایھم معنی المحال کاف للمنع*
*📗(Raddul Muhtar,J-9,S-568)*
Iski misaal "Raayina" he jab huzoor ki baat ko sahab e kiraam achchi tarah sun na paate to arz karte "Raayina" yaani huzoor hamari Riayat farmaiye, yahoodiyo ki lughat me "Raayina" ka maana Bewakoof ke he, yahoodi bhi Raayina Raayina kehne Lage aur vo khabees maana ki niyat se kehte the
Allah ta'ala ne sahaba Ko Raayina kehne se mana farma diya aur hukm diya ke "Unzurna" kaho, Isi tarah yahan bhi khatra he, aap Allah ta'ala Ko "Miyan" kahenge, aap ki niyat galat nahi hogi Lekin koi be deen dusre khabees maana ki niyat se kahega to kaun rokega, wo keh dega ke aap bhi to aesa kahte he is liye aese alfaz ke istemal ki ijazat nahi.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI,J-1,S-137)*
===========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲

No comments:
Post a Comment