Dudh pite bache ka peshab lag jaae to namaz ka kya hukm he?

*🌹SAWAL:-🌹*
Dudh Pite Bachche ke peshab ka kya hukm he ?
Or usme namaz ka kya hukm he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Dudh pite ladke ladki ka peshab najasate galiza he. Yah jo awam me mash'hoor he ki doodh pite bachche ka peshab paak he bilkul galat he.

Isi tarah dudh pine wale bachche ne dudh daal diya agar bhar muh he to najasate galiza he.

Najasate Galiza ka hukm ye he ki agar kapde ya badan me ek dirham se zyada lag jaae to uska paak karna farz he agar be paak kiye namaz padh li to hogi hi nahi or agar jaan bujkar padhi to gunah bhi huaa or agar istikhfaf(halka samajna) ki niyat se he to kufr he. Or agar dirham ke barabar he to paak karna wajib he agar be paak kiye namaz padhi to makruhe tahrimi hui yani aesi namaz ka lautana wajib he or jaan buj kar padhi to gunahgaar bhi huaa agar dirham se kam he to paak karna sunnat he ki be paak kiye namaz ho gai magar sunnat ke khilaf he or uska lautana bahetar he.
Agar patli najasat jaise aadmi ka peshab or sharab to dirham se murad uski lambai chaudai he or shariyat ne uski mikdar hatheli gahrai  ke barabar batai yani hatheli khoob faila kar barabar rakhe or us par aahista se itna pani daale ki usse zyada paani na ruk sake ab paani ka jitna failav he utna bada dirham samja jaaye or uski miqdar takriban yaha ke rupees ke barabar he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, HISSA-2,NAJASATO KE AHKAM)*

=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲8487928693
=========➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts