Madina Afzal He Ya Makka ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Madina Shareef arsho kursi w ka'aba shareef se Afzal He ya nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ummat ka is baat par ijma'a he ki tamam rooe zameen par afzal maqamat or buzurg tareen shahro me makka muazzama or madina munawwara he. Ab in do shahro me se kis ko dusre par fazilat or tarjeeh di jaae ? To is me aulma e kiram is baat par muttafiq he ki zameen ka vo khitta or mutabarrak hissa jo rahematallil aalameen huzur Sallallahu alaihi w sallam ke jasade atHar se mas kiye hue he vo na sirf makka mukarrama balki kaaba tulllah se bhi afzal he, arshe azeem se bhi uski shaan bala, aala bartar, arfa'a or intihai buland he.

Ameerul muamineen saiyedna umar farooq or abdullah bin umar radiallahu anhuma or digar sahaba e kiram ki ek jama'at or hazrat malik bin anas or aksar aulmae madeena,, makka mukarrama par madina munawwara ko fazilat dete he,, magar vo shahar madina tayyeba  ko makka mukarrama ke shahar par fazilat dete he albatta kaaba tullah ko mustasna karte he or kaaba muazzama ko sab se afzal karar dete he, lekin ye baat tay shuda he or usi par aulma e mutaqaddeen or muta'akhireen ka ittefaq he ki Qabr e atHar saiyede qainat Sallallahu alaihi w sallam mutlaqan or bil-umoom afzal w akram w arfa'a he khwaN shahare makka mukarrama ho ha kaaba tullah ho ya arshe majeed ho.. Qabre AtHar saat aasmano, arshe majeed or kaaba tullah se afzal he or is me kisi ka bhi ikhtelaf nahi he.

Is par mukammal ittefaq he or iman he ki awwal zaat allah ki he us ke baad koi afzal zaat he to allah ke aakhri nabi Sallallahu alaihi w sallam ki zaat he jo afzalo aala he, baaqi sari chize afzaliyat me kam he, ye sach he ke kaaba tullah shareef ki badi azmat w afzaliyat he or arshe azeem, loho qalam wagairah ki apni apni azmat or fazilat he, iska koi Bhi Musalman inkar nahi kar sakta, agar inkar kare to vo Musalman nahi, lekin pahle allah or fir huzur Sallallahu alaihi w sallam he.

Ye jo bhi mas'ala he vo ahele ilm ka ijmai mas'ala he , wajah iski bilkul zahir he ki aap Sallallahu alaihi w sallam afzalul khalq he, koi Makhlooq bhi aap Sallallahu alaihi w sallam se afzal nahi or ek hadish me he ki aadami jis mitti se paida hota he usi me dafan kiya jata he, lihaza jis paak mitti me aap Sallallahu alaihi w sallam ke jasade atHar ki tadfeen hui usi se aap Sallallahu alaihi w sallam ki takhleeq hui, or jab aap Sallallahu alaihi w sallam afzalul khalq hue to vo Paak mitti bhi tamam makhlooq se afzal hui.

Or ye zameen is liye bhi afzal he ki isko jasade atHar se mas hone ka jo sharf hasil he vo baaqi tamam makhlooqat ko hasil nahi..

Ye baat bilkul wazeh or barhaq he ki sabse pahle Allah Ta'ala fir huzure aqdas Sallallahu alaihi w sallam he magar zere bahas mas'ale me khuda-na-khwasta Allah Ta'ala ke darmiyan taqabul nahi kiya jaa raha, balki aap Sallallahu alaihi w sallam ke darmiyan or dusri Makhlooqat ke darmiyan taqabul he.

*Kaaba ho, arsh ho, kursi ho, ye sab Makhlooq he, or aap Sallallahu alaihi w sallam tamam makhlooq ze afzal he, or qabare mubarak ki jasade atHar se lagi hui mitti is aetbar se ashraf w afzal he ki jasade atHar se ham aagosh hone ki jo Sa'adat use hasil he vo na kaaba ko hasil he, na Arsho Kursi ko.*

_Mujaddide Aazam Aala Hazrat Alahir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate he_

Turbate AtHar yaani vo zameen ke jism anwar se mutassil he ka'aba muazzama balki arsh se bhi afzal he
 *📚(Maslak mutaqisti ma'a irshadus saari baab zyarate saiyedul mursaleen Sallallahu alaihi w sallam, darul kutubul arbi bayrut, S-336)*

صرح بہ عقیل الحنبلی وتلقاہ العلماء بالقبول
Is Par Abu Aqeel hambli ne tasreeh ki or tamam aulma ne ise qubool kiya

Baaqi Mazar Shareef ka baalai hissa is me dakhil nahi  ka'aba muazzama madeena tayyabah se afzal he, ha is me ikhtelaf he ki madina tayybah siwae mauzu'a turbate athar or makka muazzama siwa e ka'aba mukarrama in Dono me kon afzal he, aksar janib sani he or apna maslak awwal or yahi mazhabe farooqe aazam RadiyAllahu ta'ala anhu he,

Tibrani ki Hadish me tasreeh he,
کہالمدینۃ افضل من مکۃ
Madina makka se afzal he
*📚(Al-Majmaul Kabeerul Tibrani Hadish 4450, Almaktabjl faisalya bayrut 6/288)*

*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-10, S-711)*

_Or kuchh Hadish e paak bhi mulaheza ho_

 Anas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh ALLAH jitni makka mein barkat ata farmayee hai madiney mein us sey Duguni barkat ata farma.
*📚(Sahih Bukhari, Vol 3, 1885)*

Aisha Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ya Allah hamare Dilon mein madine ki Muhabbat is tarah paida kar de jaise makka ki muhabbat hai bulki is sey bhi ziyada
*📚(Sahih Bukhari, Vol 3, 1889)*

Ibn Umar Radi allahu anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum mein se jo ye kar sake ki wo madine mein aakar mare to wo aisa jarur kare isliye ki main madine mein marne wale ke haq mein gawahi dunga
*📚(Sunan Ibn majah, Jild 2, 1269-Hasan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Az:- Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts