*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
👇Hazrat Zaid Ka Ek Sawal Hai,??
Zaid Jis Jaga Kaam Karta Hai Us Kaam Ke Kharib Me Ek Masjid Hai Par Us Masjid Ka Jo Imam Hai Wo Shafai Mazhab Ka Manne Wala Hai
Aur Us Imam Ka Aqeeda Bhi Durust Hai
Lekin Zaid Hanafi Mazhab Ka Manne Wala Hai
To Kya Zaid Shafai Mazhab Ke Imam Ke Piche Namaz padh Sakta Hai,???
👆Hazrat Rehnumai Farmayiye
*🌹JAWAB:-🌹*
Walaikum Assalam W rahematullah,
_Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Farmate he,_
Hanfi us waqt dusre mazhab wale ki iqteda kar sakta he jaha uski iqteda jaiz ho lekin agar imam ayse kisi amr ka murtakib ho jo hamare mazhab me naqize wuzu ya mufside namaz ho jaise maa'e must'amal se taharat ya chhaothai sar se kam ka masah ya khon e fasad w reem(peep), Zakhm w qay(wamet) wagairah nejasat e gair sabilaen par wuzu na karna ya qadre dirham se zaaid mani aalood kapde se namaz padhna ya sahibe tarteeb ho kar faut shuda namazo ke yaad hone or waqt me wus'at ke ba-wajood namaz waqti shuru'a kar dena ya koi farz ek baar padh kar fir usi namaz me imam ho jana to aysi halat me hanfi ko sare se uski iqteda jaiz nahi or us ke pichhe namaz mahaz batil he.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-145)*
lihaza agar zaid ko ma’loom hai keh shaf’ee imam mazhab e hanfi ke sharaait o faraaiz ki ri’aayat taharat o namaz men karta hai to uske peechhe namaz padhe aur agar ma’loom ho keh ri’aayat nahin karta hai to iqteda na kare aur agar iqtida karli hai to phir se padhe aur agar yaqeen hai keh ri’aayat nahin kiya maslan dekh liya hai keh mazhab e hanfi men jo chizen farz hain un men se koi farz ada nahin kiya maslan chuthai sar ka masah nahin kiya sirf kuchh baal bhiga liya to aisi soorat men uske peechhe hanfi ki namaz nahin hogi Aisi namazon ko phir se padhna zaid par farz hai.
Isi tarah Usko is tarah samajhen misal ke taur par ek hauz ya talab se wuzu karna hai ab hanafi mazahab ke manane wale ke liye zaruri hai wah hauz ya talab dah dar dah ya us se bada ho tabhi uska wuzu hoga agar dah dar dah se chota hai to wuzu nahi hoga lekin shafai mazahab ke manane wale ke liye dah dar dah hona zaruri nahi us se chote hauz ya talab ke pani se us ka wuzu hojayega ab agar shafai imam us chote hauz ya talab se wuzu kar ke namaz padhaye to hanafi muktadi ki namaz nahi hogi isi tarah aur bhi jo masail hain un me agar imam masaile hanafi ki riayat karega to namaz hogi agar masaile hanafi ki riayat nahi karega to namaz nahi hogi.
Hanfi ko hanfi imam ki iqtida karni chahiye keh ye afzal hai..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Al-Jawab:- Hazrat Allama Maulana Mukhtar Ahemad Faizi Sahab Qibla*
*_📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa, Gujrat_*
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲8
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

No comments:
Post a Comment